मैं तुम्हारे भीतर रहता हूँ
जैसे मछलियाँ पानी में रहती हैं
जैसे धूल हवा में रहती है
जैसे पत्तियों में रहता है हरापन
जैसे फूल में रहती है महक
जैसे चाँदनी में रहता है चाँद
जैसे आकाशगंगा में रहती है पृथ्वी
जैसे हथेली में रहता है हथेली का निशान
जैसे पानी में पानी रहता है
जैसे हवा में हवा रहती है
जैसे हवा में जगह रहती है
जैसे धरती में रहते हैं खनिज
जैसे सूरज में रहती है आग
जैसे रौशनी में रहते हैं रंग
जैसे मिट्टी में रहती है गमक
जैसे समुंदर में रहता है नमक
मैं तुम्हारे भीतर रहता हूँ
जैसे मेरे भीतर रहता है ख़ून
जैसे ख़ून में रहता है लोहा
जैसे एक जीवन में छुपा रहता है दूसरा जीवन
main tumhare bhitar rahta hoon
jaise machhliyan pani mein rahti hain
jaise dhool hawa mein rahti hai
jaise pattiyon mein rahta hai harapan
jaise phool mein rahti hai mahak
jaise chandni mein rahta hai chand
jaise akashganga mein rahti hai prithwi
jaise hatheli mein rahta hai hatheli ka nishan
jaise pani mein pani rahta hai
jaise hawa mein hawa rahti hai
jaise hawa mein jagah rahti hai
jaise dharti mein rahte hain khanij
jaise suraj mein rahti hai aag
jaise raushani mein rahte hain rang
jaise mitti mein rahti hai gamak
jaise samundar mein rahta hai namak
main tumhare bhitar rahta hoon
jaise mere bhitar rahta hai khoon
jaise khoon mein rahta hai loha
jaise ek jiwan mein chhupa rahta hai dusra jiwan
main tumhare bhitar rahta hoon
jaise machhliyan pani mein rahti hain
jaise dhool hawa mein rahti hai
jaise pattiyon mein rahta hai harapan
jaise phool mein rahti hai mahak
jaise chandni mein rahta hai chand
jaise akashganga mein rahti hai prithwi
jaise hatheli mein rahta hai hatheli ka nishan
jaise pani mein pani rahta hai
jaise hawa mein hawa rahti hai
jaise hawa mein jagah rahti hai
jaise dharti mein rahte hain khanij
jaise suraj mein rahti hai aag
jaise raushani mein rahte hain rang
jaise mitti mein rahti hai gamak
jaise samundar mein rahta hai namak
main tumhare bhitar rahta hoon
jaise mere bhitar rahta hai khoon
jaise khoon mein rahta hai loha
jaise ek jiwan mein chhupa rahta hai dusra jiwan
स्रोत :
रचनाकार : मनोज कुमार पांडेय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.