मैं जितना देह में था
उतना ही देह से बाहर रहा
मैं जुलूसों में कुचला गया
नारों में उछाला गया
मैं झंडों में फड़फड़ाया
और अंत में बीड़ी के धुआँ होकर
छाती में खाँसी-सा फँसा रहा।
मैं अपनी देह में था
तो सिर्फ़ भूख था
देह के बाहर मैं एक जटिल आँकड़ा
एक भद्दी गाली था
हिंदुओं में थोड़ा ज़्यादा हिंदू
मुसलमानों में थोड़ा ज़्यादा मुसलमान
और इंसानों में थोड़ा कम इंसान था।
मैं दया, करुणा, मदद, मुआवज़ा
इन सारे शब्दों को अर्थ देता हुआ
तालियों में पीटा गया
भाषणों भुनाया गया
सभाओं के बाद धूल-सा झड़ा
और अंत के किसी पुराने पुल की तरह
भरभराकर टूट गया।
main jitna deh mein tha
utna hi deh se bahar raha
main juluson mein kuchla gaya
naron mein uchhala gaya
main jhanDon mein phaDphaDaya
aur ant mein biDi ke dhuan hokar
chhati mein khansi sa phansa raha
main apni deh mein tha
to sirf bhookh tha
deh ke bahar main ek jatil ankDa
ek bhaddi gali tha
hinduon mein thoDa zyada hindu
musalmanon mein thoDa zyada musalman
aur insanon mein thoDa kam insan tha
main daya, karuna, madad, muawza
in sare shabdon ko arth deta hua
taliyon mein pita gaya
bhashnon bhunaya gaya
sabhaon ke baad dhool sa jhaDa
aur ant ke kisi purane pul ki tarah
bharabhrakar toot gaya
main jitna deh mein tha
utna hi deh se bahar raha
main juluson mein kuchla gaya
naron mein uchhala gaya
main jhanDon mein phaDphaDaya
aur ant mein biDi ke dhuan hokar
chhati mein khansi sa phansa raha
main apni deh mein tha
to sirf bhookh tha
deh ke bahar main ek jatil ankDa
ek bhaddi gali tha
hinduon mein thoDa zyada hindu
musalmanon mein thoDa zyada musalman
aur insanon mein thoDa kam insan tha
main daya, karuna, madad, muawza
in sare shabdon ko arth deta hua
taliyon mein pita gaya
bhashnon bhunaya gaya
sabhaon ke baad dhool sa jhaDa
aur ant ke kisi purane pul ki tarah
bharabhrakar toot gaya
स्रोत :
रचनाकार : अशोक कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.