मेरा विश्वास
अब विश्वास त्याग चुका है
मेरे व्यवहार की धुनें अब कर्णप्रिय नहीं रहीं
सहयोग,
असहयोग में बदल गया है
भावनाएँ भी दुर्भावनाओं में
शाम का सूरज बन-ढलकर अब मैं
निस्तेज हो गया हूँ
मेरी हँसी-मुस्कान
क्रोध में परिवर्तित हो गई हैं
जीवन के उद्देश्य भी
कर चुके हैं आत्महत्याएँ
मैं नहीं मिलता किसी से
बस घर में बंद रहते हुए
देता हूँ गाँव-समाज देश को ख़ूब गालियाँ
कोई स्वप्न भी नहीं है—
अब मेरी आँखों में
ऐसी कोई भी ख़बर कभी
पहुँचे तुम तक
और तुम अलग जाओ मुझसे
इससे पहले ही पहुँच जाना चाहता हूँ
मैं तुम तक।
mera vishvas
ab vishvas tyaag chuka hai
mere vyvahar ki dhunen ab karnapriy nahin rahin
sahyog,
asahyog mein badal gaya hai
bhavnayen bhi durbhavnaon men
shaam ka suraj ban Dhalkar ab main
nistej ho gaya hoon
meri hansi muskan
krodh mein parivartit ho gai hain
jivan ke uddeshya bhi
kar chuke hain atmhatyayen
main nahin milta kisi se
bas ghar mein band rahte hue
deta hoon gaanv samaj desh ko khoob galiyan
koi svapn bhi nahin hai—
ab meri ankhon men
aisi koi bhi khabar kabhi
pahunche tum tak
aur tum alag jao mujhse
isse pahle hi pahunch jana chahta hoon
main tum tak.
mera vishvas
ab vishvas tyaag chuka hai
mere vyvahar ki dhunen ab karnapriy nahin rahin
sahyog,
asahyog mein badal gaya hai
bhavnayen bhi durbhavnaon men
shaam ka suraj ban Dhalkar ab main
nistej ho gaya hoon
meri hansi muskan
krodh mein parivartit ho gai hain
jivan ke uddeshya bhi
kar chuke hain atmhatyayen
main nahin milta kisi se
bas ghar mein band rahte hue
deta hoon gaanv samaj desh ko khoob galiyan
koi svapn bhi nahin hai—
ab meri ankhon men
aisi koi bhi khabar kabhi
pahunche tum tak
aur tum alag jao mujhse
isse pahle hi pahunch jana chahta hoon
main tum tak.
स्रोत :
रचनाकार : खेमकरण ‘सोमन’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.