मैं बंबई में था
तलवारों और लाठियों से बचता-बचाता भागता-चीख़ता
जानवरों की तरह पिटा और उन्हीं की तरह ट्रेन के डिब्बों में लदा-फँदा
सन् साठ में मद्रासी था, नब्बे में मुसलमान
और उसके बाद से बिहारी हुआ
मैं कश्मीर में था
कोड़ों के निशान लिए अपनी पीठ पर
बेघर, बेआसरा, मजबूर, मज़लूम
सन् तीस में मुसलमान था
नब्बे में हिंदू हुआ
मैं दिल्ली में था
भालों से बिंधा, आग में भुना, अपने ही लहू से धोता हुआ अपना चेहरा
सैंतालीस में मुसलमान था
चौरासी में सिख हुआ
मैं भागलपुर में था
मैं बड़ौदा में था
मैं नरोदा-पाटिया में था
मैं फलस्तीन में था अब तक हूँ वहीं अपनी क़ब्र में साँसें गिनता
मैं ग्वाटेमाला में हूँ
मैं इराक में हूँ
पाकिस्तान पहुँचा तो हिंदू हुआ
जगहें बदलती हैं
वजूहात बदल जाते हैं
और मज़हब भी, मैं वही का वही!
main bambai mein tha
talwaron aur lathiyon se bachta bachata bhagta chikhta
janawron ki tarah pita aur unhin ki tarah train ke Dibbon mein lada phanda
san sath mein madrasi tha, nabbe mein musalman
aur uske baad se bihari hua
main kashmir mein tha
koDon ke nishan liye apni peeth par
beghar, beasra, majbur, mazlum
san tees mein musalman tha
nabbe mein hindu hua
main dilli mein tha
bhalon se bindha, aag mein bhuna, apne hi lahu se dhota hua apna chehra
saintalis mein musalman tha
chaurasi mein sikh hua
main bhagalpur mein tha
main baDauda mein tha
main naroda patiya mein tha
main phalastin mein tha ab tak hoon wahin apni qabr mein sansen ginta
main gwatemala mein hoon
main irak mein hoon
pakistan pahuncha to hindu hua
jaghen badalti hain
wajuhat badal jate hain
aur mazhab bhi, main wahi ka wahi!
main bambai mein tha
talwaron aur lathiyon se bachta bachata bhagta chikhta
janawron ki tarah pita aur unhin ki tarah train ke Dibbon mein lada phanda
san sath mein madrasi tha, nabbe mein musalman
aur uske baad se bihari hua
main kashmir mein tha
koDon ke nishan liye apni peeth par
beghar, beasra, majbur, mazlum
san tees mein musalman tha
nabbe mein hindu hua
main dilli mein tha
bhalon se bindha, aag mein bhuna, apne hi lahu se dhota hua apna chehra
saintalis mein musalman tha
chaurasi mein sikh hua
main bhagalpur mein tha
main baDauda mein tha
main naroda patiya mein tha
main phalastin mein tha ab tak hoon wahin apni qabr mein sansen ginta
main gwatemala mein hoon
main irak mein hoon
pakistan pahuncha to hindu hua
jaghen badalti hain
wajuhat badal jate hain
aur mazhab bhi, main wahi ka wahi!
स्रोत :
रचनाकार : अशोक कुमार पांडेय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.