मैं ढूँढूँगा कुहरे की चादर के पार कोई भीगी लपट,
चाहूँगा मुट्ठी भर गर्मास...
सदियों प्यासा भटकने के बाद मिली नदी पर जमी बर्फ़ के पिघलने की करूँगा प्रतीक्षा;
गा राख के ढेर में दबी बची कोई आख़िरी चिंगारी।
रात की शांत नदी में हवा के साथ बहती पीड़ाओं के बीच खड़ा देखूँगा दूर टिमकते किसी दिए की लौ पर अगले दिन का सूरज...
सभा की उदास चुप्पी से पहले पंचम स्वर में अंतिम बार मैं छेड़ूँगा हृदय की डूबती तान पर कोई जीवंत-गान...
मैं गाऊँगा पत्थर के ईश्वरों के लिए पिघलने वाली प्रार्थनाएँ और फिर मौन हो जाऊँगा।
main DhunDhunga kuhre ki chadar ke par koi bhigi lapat,
chahunga mutthi bhar garmas
sadiyon pyasa bhatakne ke baad mili nadi par jami barf ke pighalne ki karunga pratiksha;
ga rakh ke Dher mein dabi bachi koi akhiri chingari
raat ki shant nadi mein hawa ke sath bahti piDaon ke beech khaDa dekhunga door timakte kisi diye ki lau par agle din ka suraj
sabha ki udas chuppi se pahle pancham swar mein antim bar main chheDunga hirdai ki Dubti tan par koi jiwant gan
main gaunga patthar ke ishwron ke liye pighalne wali prarthnayen aur phir maun ho jaunga

स्रोत :
रचनाकार : योगेंद्र गौतम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.