खेतों की मेड़ पर
सुस्ताते किसानों की अधकच्ची नींद में
कई महानगर
खौलते तेज़ाब की तरह
बूँद-बूँद गिरते गए...
(या संभवतः गिराए गए...?)
मुझे याद है...
बंबई पहले-पहल गाँव के
एक नाई की दुकान में
अर्धनग्न नायिकाओं की शक्ल में
दीवार से चिपकी हुई मिली थी...
(गाँव के लड़के बाल कटाते हुए
उसे चोर निगाहों से घंटों देखा करते...)
दुबई एक रंगीन सिगरेट की डिब्बी की शक्ल में मिली
जिसके ऊपर अरबी अक्षरों में कुछ लिखा हुआ था...
दिल्ली चूँकि बेहद क़रीब थी
इसीलिए गाँव से बार-बार टकराती रही
कभी अख़बारों के मुख्य पृष्ठ की तरह
कभी जींस की किसी पैंट की शक्ल में
कभी दातून का उपहास उड़ाते मंजन की शक्ल में
तो कभी अजीब ढंग से कटे बालों की सूरत में...!
मेरे गाँव के पुरुषों को
ये महानगर
जाँघों से लिपटे गुलाबी तौलियों की शक्ल में मिले...
औरतों को
ये शहर
कभी कंबलों की शक्ल में मिले
तो कभी आठ खानों वाली मसालदानी की सूरत में...!
अजीब ढंग से कटे जिन बालों
और
ब्लेड से चीथी हुई पतलूनों का
मेरे गाँव ने पहले-पहल मज़ाक़ उड़ाया था
वो अब मेरे गाँव की खोपड़ी
और टाँगों पर
स्थायी निवास बना चुके हैं...
इन दोनों घटनाओं के बीच
एक इतिहास है...
जिसके मटमैले पन्नों पर
मेरे गाँव के ख़ून के छींटें बिखरे हैं..!
kheton ki meD par
sustate kisanon ki adhakchi neend men
kai mahangar
khaulte tezab ki tarah
boond boond girte gaye. . .
(ya sambhvat giraye gaye. . . ?)
mujhe yaad hai. . .
bambi pahle pahal gaanv ke
ek nai ki dukan mein
ardhanagn nayikaon ki shakl mein
divar se chipki hui mili thi. . .
(gaanv ke laDke baal katate hue
use chor nigahon se ghanton dekha karte. . . )
dubai ek rangin cigarette ki Dibbi ki shakl mein mili
jiske upar arbi akshron mein kuch likha hua tha. . .
dilli chunki behad qarib thi
isiliye gaanv se baar baar takrati rahi
kabhi akhbaron ke mukhy prishth ki tarah
kabhi jeans ki kisi pant ki shakl men
kabhi datun ka uphaas uDate manjan ki shakl men
to kabhi ajib Dhang se kate balon ki surat mein. . . !
mere gaanv ke purushon ko
ye mahangar
janghon se lipte gulabi tauliyon ki shakl mein mile. . .
aurton ko
ye shahr
kabhi kamblon ki shakl mein mile
to kabhi aath khanon vali masaldani ki surat mein. . . !
ajib Dhang se kate jin balon
aur
blade se chithi hui patlunon ka
mere gaanv ne pahle pahal mazaq uDaya tha
wo ab mere gaanv ki khopaDi
aur tangon par
sthai nivas bana chuke hain. . .
in donon ghatnaon ke beech
ek itihas hai. . .
jiske matamaile pannon par
mere gaanv ke khoon ke chhinten bikhre hain. . !
kheton ki meD par
sustate kisanon ki adhakchi neend men
kai mahangar
khaulte tezab ki tarah
boond boond girte gaye. . .
(ya sambhvat giraye gaye. . . ?)
mujhe yaad hai. . .
bambi pahle pahal gaanv ke
ek nai ki dukan mein
ardhanagn nayikaon ki shakl mein
divar se chipki hui mili thi. . .
(gaanv ke laDke baal katate hue
use chor nigahon se ghanton dekha karte. . . )
dubai ek rangin cigarette ki Dibbi ki shakl mein mili
jiske upar arbi akshron mein kuch likha hua tha. . .
dilli chunki behad qarib thi
isiliye gaanv se baar baar takrati rahi
kabhi akhbaron ke mukhy prishth ki tarah
kabhi jeans ki kisi pant ki shakl men
kabhi datun ka uphaas uDate manjan ki shakl men
to kabhi ajib Dhang se kate balon ki surat mein. . . !
mere gaanv ke purushon ko
ye mahangar
janghon se lipte gulabi tauliyon ki shakl mein mile. . .
aurton ko
ye shahr
kabhi kamblon ki shakl mein mile
to kabhi aath khanon vali masaldani ki surat mein. . . !
ajib Dhang se kate jin balon
aur
blade se chithi hui patlunon ka
mere gaanv ne pahle pahal mazaq uDaya tha
wo ab mere gaanv ki khopaDi
aur tangon par
sthai nivas bana chuke hain. . .
in donon ghatnaon ke beech
ek itihas hai. . .
jiske matamaile pannon par
mere gaanv ke khoon ke chhinten bikhre hain. . !
स्रोत :
रचनाकार : गौरव सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.