जलाते चलो ये दीए स्नेह भर-भर
कभी तो धरा का अँधेरा मिटेगा!
भले शक्ति विज्ञान में है निहित वह
कि जिससे अमावस बने पूर्णिमा-सी,
मगर विश्व पर आज क्यों दिवस ही में
घिरी आ रही है अमावस निशा-सी।
बिना स्नेह विद्युत-दीए जल रहे जो
बुझाओ इन्हें, यों न पथ मिल सकेगा।
जला दीप पहला तुम्हीं ने तिमिर की
चुनौती प्रथम बार स्वीकार की थी।
तिमिर की सरित पार करने, तुम्हीं ने
बना दीप की नाव तैयार की थी।
बहाते चलो नाव तुम वह निरंतर
कभी तो तिमिर का किनारा मिलेगा।
युगों से तुम्हीं ने तिमिर की शिला पर
दीए अनगिनत है निरंतर जलाए
समय साक्षी है कि जलते हुए दीप
अनगिन तुम्हारे, पवन ने बुझाए
मगर बुझ स्वयं ज्योति जो दे गए वे
उसी से तिमिर को उजाला मिलेगा।
दीए और तूफ़ान की यह कहानी
चली आ रही और चलती रहेगी
जली जो प्रथम बार लौ उस दीए की
जली स्वर्ण-सी है, और जलती रहेगी।
रहेगा धरा पर दिया एक भी यदि
कभी तो निशा को सवेरा मिलेगा।
जलाते चलो ये दीए स्नेह भर-भर
कभी तो धरा का अँधेरा मिटेगा!
jalate chalo ye diye sneh bhar bhar
kabhi to dhara ka andhera mitega!
bhale shakti wigyan mein hai nihit wo
ki jisse amawas bane purnaima si,
magar wishw par aaj kyon diwas hi mein
ghiri aa rahi hai amawas nisha si
bina sneh widyut diye jal rahe jo
bujhao inhen, yon na path mil sakega
jala deep pahla tumhin ne timir ki
chunauti pratham bar swikar ki thi
timir ki sarit par karne, tumhin ne
bana deep ki naw taiyar ki thi
bahate chalo naw tum wo nirantar
kabhi to timir ka kinara milega
yugon se tumhin ne timir ki shila par
diye anaginat hai nirantar jalaye
samay sakshi hai ki jalte hue deep
angin tumhare, pawan ne bujhaye
magar bujh swayan jyoti jo de gaye we
usi se timir ko ujala milega
diye aur tufan ki ye kahani
chali aa rahi aur chalti rahegi
jali jo pratham bar lau us diye ki
jali swarn si hai, aur jalti rahegi
rahega dhara par diya ek bhi yadi
kabhi to nisha ko sawera milega
jalate chalo ye diye sneh bhar bhar
kabhi to dhara ka andhera mitega!
jalate chalo ye diye sneh bhar bhar
kabhi to dhara ka andhera mitega!
bhale shakti wigyan mein hai nihit wo
ki jisse amawas bane purnaima si,
magar wishw par aaj kyon diwas hi mein
ghiri aa rahi hai amawas nisha si
bina sneh widyut diye jal rahe jo
bujhao inhen, yon na path mil sakega
jala deep pahla tumhin ne timir ki
chunauti pratham bar swikar ki thi
timir ki sarit par karne, tumhin ne
bana deep ki naw taiyar ki thi
bahate chalo naw tum wo nirantar
kabhi to timir ka kinara milega
yugon se tumhin ne timir ki shila par
diye anaginat hai nirantar jalaye
samay sakshi hai ki jalte hue deep
angin tumhare, pawan ne bujhaye
magar bujh swayan jyoti jo de gaye we
usi se timir ko ujala milega
diye aur tufan ki ye kahani
chali aa rahi aur chalti rahegi
jali jo pratham bar lau us diye ki
jali swarn si hai, aur jalti rahegi
rahega dhara par diya ek bhi yadi
kabhi to nisha ko sawera milega
jalate chalo ye diye sneh bhar bhar
kabhi to dhara ka andhera mitega!
Videos This video is playing from YouTube
द्वारिका प्रसाद माहेश्वरी
स्रोत :
पुस्तक : मल्हार (पृष्ठ 60)
रचनाकार : द्वारिका प्रसाद माहेश्वरी
प्रकाशन : एनसीईआरटी
संस्करण : 2022
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.