पहले नहीं थी
रचनात्मक बदहवासियों के सुथरेपन में कोई रुचि
नशे के अंतरालों में
टुकड़े बटोरे एक ही कविता के
अरसे तक
अक्सर देर रात पहुँचा हूँ
जहाँ मुँह पर गिर पड़ते थे
मुक्ति के दरवाज़े
फिर नींद थी
मिल चुका है मेरा ईश्वर मुझे
धूप में सूखते रहने के लिए
अलगनी मिल चुकी है
जिनको नहीं मिला ये सब
उन पर दया नहीं
उनकी पसंद
मेरे नज़दीक अभी भी निकृष्ट है
उन्हें टोकने का अधिकार नहीं खोया
उनकी बहर दुरुस्त करता हूँ
जाँघ पर हाथ मारकर कहता हूँ
‘यह था सम’
धर पकड़ता हूँ
रँगे हाथों उन्हें
जिन्हें बड़े-बड़े सवालों से निबाह है
निगहबान की तरह
दरवाज़ों पर अब भी हूँ
अपनी ही चौखट तक सब कुछ
खींच घटाकर लाने के अभिजात्य सुख के साथ
मुझे मेरा राग मिल चुका है
मिल चुका है ईश्वर मेरा
pahle nahin thi
rachnatmak badahvasiyon ke suthrepan mein koi ruchi
nashe ke antralon men
tukDe batore ek hi kavita ke
arse tak
aksar der raat pahuncha hoon
jahan munh par gir paDte the
mukti ke darvaze
phir neend thi
mil chuka hai mera iishvar mujhe
dhoop mein sukhte rahne ke liye
algani mil chuki hai
jinko nahin mila ye sab
un par daya nahin
unki pasand
mere nazdik abhi bhi nikrisht hai
unhen tokne ka adhikar nahin khoya
unki bahr durust karta hoon
jaangh par haath markar kahta hoon
‘yah tha sam’
dhar pakaDta hoon
range hathon unhen
jinhen baDe baDe savalon se nibah hai
nigahban ki tarah
darvazon par ab bhi hoon
apni hi chaukhat tak sab kuch
kheench ghatakar lane ke abhijatya sukh ke saath
mujhe mera raag mil chuka hai
mil chuka hai iishvar mera
pahle nahin thi
rachnatmak badahvasiyon ke suthrepan mein koi ruchi
nashe ke antralon men
tukDe batore ek hi kavita ke
arse tak
aksar der raat pahuncha hoon
jahan munh par gir paDte the
mukti ke darvaze
phir neend thi
mil chuka hai mera iishvar mujhe
dhoop mein sukhte rahne ke liye
algani mil chuki hai
jinko nahin mila ye sab
un par daya nahin
unki pasand
mere nazdik abhi bhi nikrisht hai
unhen tokne ka adhikar nahin khoya
unki bahr durust karta hoon
jaangh par haath markar kahta hoon
‘yah tha sam’
dhar pakaDta hoon
range hathon unhen
jinhen baDe baDe savalon se nibah hai
nigahban ki tarah
darvazon par ab bhi hoon
apni hi chaukhat tak sab kuch
kheench ghatakar lane ke abhijatya sukh ke saath
mujhe mera raag mil chuka hai
mil chuka hai iishvar mera
स्रोत :
रचनाकार : निशांत कौशिक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.