इतना बड़ा लकड़ी का संदूक़
पूरे पैर फैला कर
जिस पर सो सकता था बचपन
देख सकता था स्वप्न
एक बूढ़ी औरत
जो उठ कर चलती नहीं थी
घिसट-घिसट कर
बार-बार आती है
संदूक़ के पास
संदूक़ से उछलती हैं
कुछ पोटलियाँ
पोटलियों में भरा है तिलस्म
एक अजीब-सी गंध देते कपड़े
घिसे हुए बर्तन
गंगाजल की शीशी
न पहचान में आने वाला
पुरी के जगन्नाथ का चित्र
कई बार खुलतीं
बंद होती पोटलियाँ
चुपचाप किवाड़ों की
दरारों से झाँकता एक बच्चा
सोचता है कहीं न कहीं
इसी संदूक़ में है
अल्लादीन का चिराग़
खुल जा सिम-सिम...
बंद हो जा सिम-सिम...
संदूक़ में लग गई है दीमक
चाट गई है सारा तिलस्म
एक झूठी कहानी
साबित हुआ
अलादीन का चिराग़
अब कोई बुढ़िया
घिसटती हुई
नहीं आती वहाँ तक
बचपन आज भी
संदूक़ के किसी कोने में
दबा हुआ है
लेकिन अब संदूक़ पर
पैर पूरे नहीं फैलते
itna baDa lakDi ka sanduq
pure pair phaila kar
jis par so sakta tha bachpan
dekh sakta tha swapn
ek buDhi aurat
jo uth kar chalti nahin thi
ghisat ghisat kar
bar bar aati hai
sanduq ke pas
sanduq se uchhalti hain
kuch potaliyan
potaliyon mein bhara hai tilasm
ek ajib si gandh dete kapDe
ghise hue bartan
gangajal ki shishi
na pahchan mein aane wala
puri ke jagannath ka chitr
kai bar khultin
band hoti potaliyan
chupchap kiwaDon ki
dararon se jhankta ek bachcha
sochta hai kahin na kahin
isi sanduq mein hai
alladin ka chiragh
khul ja sim sim
band ho ja sim sim
sanduq mein lag gai hai dimak
chat gai hai sara tilasm
ek jhuthi kahani
sabit hua
aladin ka chiragh
ab koi buDhiya
ghisatti hui
nahin aati wahan tak
bachpan aaj bhi
sanduq ke kisi kone mein
daba hua hai
lekin ab sanduq par
pair pure nahin phailte
itna baDa lakDi ka sanduq
pure pair phaila kar
jis par so sakta tha bachpan
dekh sakta tha swapn
ek buDhi aurat
jo uth kar chalti nahin thi
ghisat ghisat kar
bar bar aati hai
sanduq ke pas
sanduq se uchhalti hain
kuch potaliyan
potaliyon mein bhara hai tilasm
ek ajib si gandh dete kapDe
ghise hue bartan
gangajal ki shishi
na pahchan mein aane wala
puri ke jagannath ka chitr
kai bar khultin
band hoti potaliyan
chupchap kiwaDon ki
dararon se jhankta ek bachcha
sochta hai kahin na kahin
isi sanduq mein hai
alladin ka chiragh
khul ja sim sim
band ho ja sim sim
sanduq mein lag gai hai dimak
chat gai hai sara tilasm
ek jhuthi kahani
sabit hua
aladin ka chiragh
ab koi buDhiya
ghisatti hui
nahin aati wahan tak
bachpan aaj bhi
sanduq ke kisi kone mein
daba hua hai
lekin ab sanduq par
pair pure nahin phailte
स्रोत :
रचनाकार : गोविंद माथुर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.