एक लगभग की पीड़ा दूसरा लगभग ही समझ सकता है
एक लगभग हारे हुए व्यक्ति को दूसरा लगभग हारा हुआ व्यक्ति जब देखता है तो
आइने में लगभग हारने का प्रतिबिंब उभर आता है
एक लगभग टूटे हुए व्यक्ति को जब दूसरा लगभग टूटा हुआ व्यक्ति छूता है तो
लगभग टूटा हुआ
लगभग जुड़े हुए में बदल जाता है
एक लगभग प्यासा आदमी दूसरे लगभग प्यासे आदमी के लिए लगभग नदी होता है
एक लगभग विस्थापित दूसरे लगभग विस्थापित में पाता है शरण
लगभग भुला दिए गए लोग ही याद रखते हैं लगभग भुला दिए गए लोगों को
लगभग भटक चुके लोग ही गंतव्य तक पहुँचाते हैं लगभग भटक चुके लोगों को
लगभग बेसहारा ही सहारा देता है दूसरे लगभग बेसहारा को
लगभग उपेक्षितों से ही अपेक्षा है फिसलती हुई दुनिया को थाम लेंगे वे
ek lagbhag ki piDa dusra lagbhag hi samajh sakta hai
ek lagbhag hare hue wekti ko dusra lagbhag hara hua wekti jab dekhta hai to
aine mein lagbhag harne ka pratibimb ubhar aata hai
ek lagbhag tute hue wekti ko jab dusra lagbhag tuta hua wekti chhuta hai to
lagbhag tuta hua
lagbhag juDe hue mein badal jata hai
ek lagbhag pyasa adami dusre lagbhag pyase adami ke liye lagbhag nadi hota hai
ek lagbhag wisthapit dusre lagbhag wisthapit mein pata hai sharan
lagbhag bhula diye gaye log hi yaad rakhte hain lagbhag bhula diye gaye logon ko
lagbhag bhatak chuke log hi gantawya tak pahunchate hain lagbhag bhatak chuke logon ko
lagbhag besahara hi sahara deta hai dusre lagbhag besahara ko
lagbhag upekshiton se hi apeksha hai phisalti hui duniya ko tham lenge we

स्रोत :
रचनाकार : अनुराग अनंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.