ताक़त कभी हक़ की बात नहीं करती
प्रेम की माँग नहीं करता भूखा आदमी
सूखा कंठ रक्त नहीं दो घूँट पानी माँगता है
विपदाओं को झेलने और ख़ुशियों को जीने की कोई उम्र नहीं होती
अत्याचारों को सहने का कोई तजुर्बा नहीं होता
हम मरते हुए भी जीते हैं और जीते हुए भी मरते हैं
एक छोटा-सा अन्याय बच्चों की मासूमियत ले जाता है
एक नि:स्वार्थ उदारता मरने तक याद आती है
ख़ुशी की रोशनी क्षणभंगुर साबित होती है
अपार बन जाती है मुसीबत की एक रात
परोपकार एक छलावा है मगर अत्याचार से बेहतर
अस्थायी लगाव एक धोखा है मगर नफ़रत से बेहतर
अंतिम सत्य मृत्यु नहीं वर्तमान क्षण होता है
मेरे गले में हिचकियाँ भर जाती हैं
देखता हूँ अँधेरी दुनिया में सालों रियाज़ के बाद
एक अंधे को लेते कठिन सुर का सधा अलाप
एक बूढ़ा लड़खड़ाते शिशु की ओर सहारे के लिए बढ़ाता है हाथ
मैं रो पड़ता हूँ
यह जानते हुए भी कि मारा जाएगा वह
एक शख़्स उठाता है जब अन्याय के ख़िलाफ़ आवाज़!
taqat kabhi haq ki baat nahin karti
prem ki mang nahin karta bhukha adami
sukha kanth rakt nahin do ghoont pani mangta hai
wipdaon ko jhelne aur khushiyon ko jine ki koi umr nahin hoti
atyacharon ko sahne ka koi tajurba nahin hota
hum marte hue bhi jite hain aur jite hue bhi marte hain
ek chhota sa annyaye bachchon ki masumiyat le jata hai
ek nihaswarth udarta marne tak yaad aati hai
khushi ki roshni kshanbhangur sabit hoti hai
apar ban jati hai musibat ki ek raat
paropakar ek chhalawa hai magar attyachar se behtar
asthayi lagaw ek dhokha hai magar nafar se behtar
antim saty mirtyu nahin wartaman kshan hota hai
mere gale mein hichkiyan bhar jati hain
dekhta hoon andheri duniya mein salon riyaz ke baad
ek andhe ko lete kathin sur ka sadha alap
ek buDha laDkhaDate shishu ki or sahare ke liye baDhata hai hath
main ro paDta hoon
ye jante hue bhi ki mara jayega wo
ek shakhs uthata hai jab annyaye ke khilaf awaz!

स्रोत :
रचनाकार : सुंदर चंद ठाकुर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.