समय में दौड़ते-दौड़ते हम
एक दिन थककर रुक जाएँगे
और सोचेंगे
आख़िर क्यूँ दौड़े इस तरह अकारण ही?
जो भी किया क्यूँ किया
कैसे किया
कब किया इसका बस धुँधला आभास होगा।
सब भूल चुकने के दो पायदान पहले
हमारा प्रायश्चित उस दिन
चोरों की तरह गर्दन झुकाकर खड़ा होगा।
अग्नि जैसे बुझने के पहले जमकर फड़फड़ाती है
उसी तरह सब भूलने से ठीक पहले
सब याद आ जाएगा—अचानक—एक साथ
पर स्मृति का वह दंश क्या झेल पाएँगे हम उस समय?
याद आते चेहरों की भीड़ में
पहाड़ों के चेहरे होंगे, जगहों के चेहरे होंगे, जानवरों के चेहरे होंगे
नक्षत्रों के चेहरे होंगे, पर क्या कोई एक भी चेहरा होगा
जो उस समय निकाल ले जाएगा हमें उस भूलभुलैया से?
हमारी आशाएँ सबसे पहले लोगों पर से उठेंगी
फिर अपने आप से
और फिर लँगड़े समय पर से उठकर सिरहाने खड़ी हो जाएँगी।
स्मृतियों में उभरते चेहरे
आशाओं के घुमड़ते धुएँ में भभककर और लाल दीखेंगे—और डरावने।
सोचेंगे कि कितना समय पार कर लिया
पार कर भी लिया या वहीं खड़े रहे
या यूँ तो नहीं कि समय ही पार करता रहा हमें लगातार
और हम तटस्थ रह गए?
समय बीता या हम—
बीतते जीवन के साथ यह प्रश्न क्यूँ नहीं बीत पाता?
यूँ तो बीच में कोई नदी नहीं,
पर तब लगेगा कि है—जिसके उस पार मृतकों की टोली खड़ी है।
बस नदी पार करके उनमें मिल जाना है।
उस टोली में कुछ चेहरे जाने लगेंगे, कुछ अजाने।
और फिर लगेगा कि अपना चेहरा भी भूल गए हैं।
उस पार के लोग अचानक अपने चेहरे के लगने लगेंगे—
सबके सब एक शक्ल के!
अंतिम पायदान पर अश्रुपूरित खड़े हम करबद्ध हो कहेंगे—
ओ जीवन, हम जीने आए थे, पर जी नहीं पाए। हमें क्षमा करो!
samay mein dauDte dauDte hum
ek din thakkar ruk jayenge
aur sochenge
akhir kyoon dauDe is tarah akaran hee?
jo bhi kiya kyoon kiya
kaise kiya
kab kiya iska bus dhundhla abhas hoga
sab bhool chukne ke do payadan pahle
hamara prayashchit us din
choron ki tarah gardan jhukakar khaDa hoga
agni jaise bujhne ke pahle jamkar faDfaDati hai
usi tarah sab bhulne se theek pahle
sab yaad aa jayega—achanak—ek sath
par smriti ka wo dansh kya jhel payenge hum us samay?
yaad aate chehron ki bheeD mein
pahaDon ke chehre honge, jaghon ke chehre honge, janawron ke chehre honge
nakshatron ke chehre honge, par kya koi ek bhi chehra hoga
jo us samay nikal le jayega hamein us bhulabhulaiya se?
hamari ashayen sabse pahle logon par se uthengi
phir apne aap se
aur phir langDe samay par se uthkar sirhane khaDi ho jayengi
smritiyon mein ubharte chehre
ashaon ke ghumaDte dhuen mein bhabhakkar aur lal dikhenge—aur Darawne
sochenge ki kitna samay par kar liya
par kar bhi liya ya wahin khaDe rahe
ya yoon to nahin ki samay hi par karta raha hamein lagatar
aur hum tatasth rah gaye?
samay bita ya ham—
bitte jiwan ke sath ye parashn kyoon nahin beet pata?
yoon to beech mein koi nadi nahin,
par tab lagega ki hai—jiske us par mritkon ki toli khaDi hai
bus nadi par karke unmen mil jana hai
us toli mein kuch chehre jane lagenge, kuch ajane
aur phir lagega ki apna chehra bhi bhool gaye hain
us par ke log achanak apne chehre ke lagne lagenge—
sabke sab ek shakl ke!
antim payadan par ashrupurit khaDe hum karbaddh ho kahenge—
o jiwan, hum jine aaye the, par ji nahin pae hamein kshama karo!

स्रोत :
रचनाकार : योगेंद्र गौतम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.