कम से कम लिखने का काम तो
नहीं ही करना चाहिए था
करना चाहिए था कोई और काम
जैसे छोटे-छोटे बच्चों को पढ़ाने का काम
फूल बेचने का काम
भटके हुए तारों को रास्ता दिखाने का काम
मछलियों को कहानियाँ सुनाने का काम
सपनों में रंग भरने का काम
बादलों में घर बनाने का काम
किसी टूटे हुए पुल को बचाने का काम
तितलियों की भाषा सीखने का काम
लुप्त हो रही भाषाओं में प्रेम-पत्र लिखने का काम
एक लड़की जो देख नहीं सकती
उसके लिए किताब पढ़ने का काम
गली के बूढ़े डाकिया से दोस्ती करने का काम
लगातार मर रही चिड़ियों के लिए शोकगीत लिखने का काम
इनमें से कोई भी काम तुम चुन सकते थे
पर तुमने चुना है दुनिया का सबसे उदास काम।
kam se kam likhne ka kaam to
nahin hi karna chahiye tha
karna chahiye tha koi aur kaam
jaise chhote chhote bachchon ko paDhane ka kaam
phool bechne ka kaam
bhatke hue taron ko rasta dikhane ka kaam
machhliyon ko kahaniyan sunane ka kaam
sapnon mein rang bharne ka kaam
badalon mein ghar banane ka kaam
kisi tute hue pool ko bachane ka kaam
titliyon ki bhasha sikhne ka kaam
lupt ho rahi bhashaon mein prem patr likhne ka kaam
ek laDki jo dekh nahin sakti uske ke liye kitab paDhne ka kaam
gali ke buDhe Dakiya se dosti karne ka kaam
lagatar mar rahi chiDiyon ke liye shokagit likhne ka kaam
inmen se koi bhi kaam tum chun sakte the
par tumne chuna hai duniya ka sabse udaas kaam.

स्रोत :
रचनाकार : राकेश कुमार मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.