शाम जब शुरू होती है
उससे कुछ पहले
छत पर चढ़ा था वह बच्चा
उस शहर का मिज़ाज ही था ऐसा
जिसमें साँझ का अंदाज़
सूरज और घड़ी से नहीं
आसमान में उड़ती पतंगों से होता था
तिलंगी के बीचोबीच धागे से उसने
एक सटीक कोण पर बाँधी थी कन्नी
और उड़ाया था उसे लेकर हवा की थाह
जैसे पृथ्वी कुछ झुकी हुई
मगर एक सीध में घूमती जाती है
सृष्टि की लपेट के साथ
वह बढ़ाता जा रहा था लटाई से धागा
और पतंग तो तुली हुई थी
अनंत के अंतिम छोर पर
पहुँचकर दम लेने के लिए
शायद वह लेना चाहती थी
प्रकृति की पहली फूटती धार में साँस
मिलाना चाहती थी हुलसकर
सृष्टि की शुरुआती बयार से हाथ
वह देखना चाहती थी
अंतरिक्ष का असली रंग
जानना चाहती थी कि चलते-चलते
कैसे खो जाती है वह धूल और धुएँ में
लगातार बढ़ती जा रही थी वह
और शाम ढलते घर लौट आने का
अनुशासन टूट रहा था
बच्चे ने दीवार की एक पुरानी जेब में
रख दिया था चुपके से लटाई का एक हाथ
और रात की निस्तब्धता में वह पतंग
ओज़ोन के एक बड़े छेद पर
सिर टिकाए सो रही थी चुपचाप...
sham jab shuru hoti hai
usse kuch pahle
chhat par chaDha tha wo bachcha
us shahr ka mizaj hi tha aisa
jismen sanjh ka andaz
suraj aur ghaDi se nahin
asman mein uDti patangon se hota tha
tilangi ke bichobich dhage se usne
ek satik kon par bandhi thi kanni
aur uDaya tha use lekar hawa ki thah
jaise prithwi kuch jhuki hui
magar ek seedh mein ghumti jati hai
sirishti ki lapet ke sath
wo baDhata ja raha tha latai se dhaga
aur patang to tuli hui thi
anant ke antim chhor par
pahunchakar dam lene ke liye
shayad wo lena chahti thi
prakrti ki pahli phutti dhaar mein sans
milana chahti thi hulaskar
sirishti ki shuruati bayar se hath
wo dekhana chahti thi
antriksh ka asli rang
janna chahti thi ki chalte chalte
kaise kho jati hai wo dhool aur dhuen mein
lagatar baDhti ja rahi thi wo
aur sham Dhalte ghar laut aane ka
anushasan toot raha tha
bachche ne diwar ki ek purani jeb mein
rakh diya tha chupke se latai ka ek hath
aur raat ki nistabdhta mein wo patang
ozon ke ek baDe chhed par
sir tikaye so rahi thi chupchap
sham jab shuru hoti hai
usse kuch pahle
chhat par chaDha tha wo bachcha
us shahr ka mizaj hi tha aisa
jismen sanjh ka andaz
suraj aur ghaDi se nahin
asman mein uDti patangon se hota tha
tilangi ke bichobich dhage se usne
ek satik kon par bandhi thi kanni
aur uDaya tha use lekar hawa ki thah
jaise prithwi kuch jhuki hui
magar ek seedh mein ghumti jati hai
sirishti ki lapet ke sath
wo baDhata ja raha tha latai se dhaga
aur patang to tuli hui thi
anant ke antim chhor par
pahunchakar dam lene ke liye
shayad wo lena chahti thi
prakrti ki pahli phutti dhaar mein sans
milana chahti thi hulaskar
sirishti ki shuruati bayar se hath
wo dekhana chahti thi
antriksh ka asli rang
janna chahti thi ki chalte chalte
kaise kho jati hai wo dhool aur dhuen mein
lagatar baDhti ja rahi thi wo
aur sham Dhalte ghar laut aane ka
anushasan toot raha tha
bachche ne diwar ki ek purani jeb mein
rakh diya tha chupke se latai ka ek hath
aur raat ki nistabdhta mein wo patang
ozon ke ek baDe chhed par
sir tikaye so rahi thi chupchap
स्रोत :
रचनाकार : शरद रंजन शरद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.