कि मैं प्राय: अकेला और हास्यास्पद हुआ
लेकिन तब तक मेरे पास
बहुत विकल्प न बचे थे
कि घनी आबादी के इस अविकसित देश में
विकसित हो चुके लोगों का साम्राज्य था
उधर होनी ही थी ग़रीबी सनातन
कि धर्म हो चुका था सनातन
कि मछुआरा अपने बेटे को पढ़ाना तो चाहता था
मगर मछली न मारने की क़ीमत पर नहीं
कि साक्षरता और खाद्य दो अलग विभाग थे
और इसमें सरकार बेचारी क्या कर सकती थी
अस्पताल से या दुकान से
लौटते हुए से आदमी को लगता था
कि उसे लूट लिया गया है सरेबाज़ार
कि अब वह क्या कर सकता है
जबकि लुटने वाले अनेक हैं एकदम चुप
कि आख़िर स्त्रियाँ और बच्चे
सबसे आज्ञाकारी मज़दूर साबित हुए
तो इसमें मालिकों का क्या अपराध?
और अंत में यह
कि दुनिया को बदलने वाले लोगों का एक दल
हर काल में होता आया है
कि आज की यह तस्वीर ही
संसार की आख़िरी तस्वीर नहीं है।
ki main prayah akela aur hasyaspad hua
lekin tab tak mere paas
bahut vikalp na bache the
ki ghani abadi ke is aviksit desh mein
viksit ho chuke logon ka samrajy tha
udhar honi hi thi gharib sanatan
ki dharm ho chuka tha sanatan
ki machhuara apne bete ko paDhana to chahta tha
magar machhli na marne ki qimat par nahin
ki saksharata aur khaady do alag vibhag the
aur ismen sarkar bechari kya kar sakti thi
aspatal se ya dukan se
lautte hue se adami ko lagta tha
ki use loot liya gaya hai sarebazar
ki ab wo kya kar sakta hai
jabki lutne vale anek hain ekdam chup
ki akhir striyan aur bachche
sabse agyakari mazdur sabit hue
to ismen malikon ka kya apradh?
aur ant mein ye
ki duniya ko badalne vale logon ka ek dal
har kaal mein hota aaya hai
ki aaj ki ye tasvir hi
sansar ki akhiri tasvir nahin hai.
ki main prayah akela aur hasyaspad hua
lekin tab tak mere paas
bahut vikalp na bache the
ki ghani abadi ke is aviksit desh mein
viksit ho chuke logon ka samrajy tha
udhar honi hi thi gharib sanatan
ki dharm ho chuka tha sanatan
ki machhuara apne bete ko paDhana to chahta tha
magar machhli na marne ki qimat par nahin
ki saksharata aur khaady do alag vibhag the
aur ismen sarkar bechari kya kar sakti thi
aspatal se ya dukan se
lautte hue se adami ko lagta tha
ki use loot liya gaya hai sarebazar
ki ab wo kya kar sakta hai
jabki lutne vale anek hain ekdam chup
ki akhir striyan aur bachche
sabse agyakari mazdur sabit hue
to ismen malikon ka kya apradh?
aur ant mein ye
ki duniya ko badalne vale logon ka ek dal
har kaal mein hota aaya hai
ki aaj ki ye tasvir hi
sansar ki akhiri tasvir nahin hai.
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 99)
रचनाकार : राजकमल प्रकाशन
प्रकाशन : कुमार अम्बुज
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.