कोहरे में सिमटी सर्द सुबह
और दाँत किटकिटाने वाली
ठंडी हवा के झोंकों के बीच वह उस खेत की पगडंडी पर
बहुत देर नहीं बैठ पाता है
बहुत देर तक बैठना चाहने के बावजूद
ओस से गीली घास की छुअन उसे सिहरा देती है
तलुओं से घुसती ठंडी छुरी-सी चुभन
उसके हड्डियों को कँपकँपा देती है
फिर भी वह वहाँ हर सुबह आता है
हर मौसम की ख़ूबसूरती और बदसूरती की
परवाह किए बिना वह निहारता है
लहलहाती फ़सल की हरियाली
वह सुनता है सरसराहट
और भावावेश में सहलाने लगता है
कच्चे गेहूँ के पौधों के सिरों को
वह पौधों से बातें करता है
लेकिन उनसे कभी कह नहीं पाता है
कि खेत में कमैनी-कटैनी करते-करते
खाद-पानी देते-देते
वह जवानी से बुढ़ापे में
प्रवेश कर गया है
कि उसका झुका हुआ कमज़ोर शरीर
फ़सल में कीड़े लगने की प्रक्रिया को
शुरू में ही देख लेने में उसकी मदद करता है
वह बहुत प्यार करता है
रेलवे लाइन के इस पार वाले खेतों से
यह जानते हुए भी
कि न तो ये सारे खेत उसके अपने हैं
और न ही इनसे निकलने वाला अनाज
लेकिन क्या खेत की मिट्टी और लहलहाते पौधे जानते हैं कि कौन उनका अपना है
खेतिहर मज़दूर या खेत-मालिक?
kohre mein simti sard subah
aur dant kitakitane wali
thanDi hawa ke jhonkon ke beech wo us khet ki pagDanDi par
bahut der nahin baith pata hai
bahut der tak baithna chahne ke bawjud
os se gili ghas ki chhuan use sihra deti hai
taluon se ghusti thanDi chhuri si chubhan
uske haDDiyon ko kanpakanpa deti hai
phir bhi wo wahan har subah aata hai
har mausam ki khubsurati aur badsurati ki
parwah kiye bina wo niharta hai
lahlahati fasal ki hariyali
wo sunta hai sarsarahat
aur bhawawesh mein sahlane lagta hai
kachche gehun ke paudhon ke siron ko
wo paudhon se baten karta hai
lekin unse kabhi kah nahin pata hai
ki khet mein kamaini kataini karte karte
khad pani dete dete
wo jawani se buDhape mein
prawesh kar gaya hai
ki uska jhuka hua kamzor sharir
fasal mein kiDe lagne ki prakriya ko
shuru mein hi dekh lene mein uski madad karta hai
wo bahut pyar karta hai
railway line ke is par wale kheton se
ye jante hue bhi
ki na to ye sare khet uske apne hain
aur na hi inse nikalne wala anaj
lekin kya khet ki mitti aur lahlahate paudhe jante hain ki kaun unka apna hai
khetihar mazdur ya khet malik?
kohre mein simti sard subah
aur dant kitakitane wali
thanDi hawa ke jhonkon ke beech wo us khet ki pagDanDi par
bahut der nahin baith pata hai
bahut der tak baithna chahne ke bawjud
os se gili ghas ki chhuan use sihra deti hai
taluon se ghusti thanDi chhuri si chubhan
uske haDDiyon ko kanpakanpa deti hai
phir bhi wo wahan har subah aata hai
har mausam ki khubsurati aur badsurati ki
parwah kiye bina wo niharta hai
lahlahati fasal ki hariyali
wo sunta hai sarsarahat
aur bhawawesh mein sahlane lagta hai
kachche gehun ke paudhon ke siron ko
wo paudhon se baten karta hai
lekin unse kabhi kah nahin pata hai
ki khet mein kamaini kataini karte karte
khad pani dete dete
wo jawani se buDhape mein
prawesh kar gaya hai
ki uska jhuka hua kamzor sharir
fasal mein kiDe lagne ki prakriya ko
shuru mein hi dekh lene mein uski madad karta hai
wo bahut pyar karta hai
railway line ke is par wale kheton se
ye jante hue bhi
ki na to ye sare khet uske apne hain
aur na hi inse nikalne wala anaj
lekin kya khet ki mitti aur lahlahate paudhe jante hain ki kaun unka apna hai
khetihar mazdur ya khet malik?
स्रोत :
रचनाकार : गुलज़ार हुसैन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.