दरवाज़े झूल रहे हैं
दरवाज़े खुल रहे हैं
दरवाज़ों से ही एक अलग
शक्ल बनी है इस घर की
शक्ल है इस शरीर की
शक्ल है इस संसद की
लेकिन जिन सहारों पर
टिके हैं दरवाज़े ठढिया से
वही अदृश्य हैं
इस समूचे परिदृश्य से
क़ब्ज़े
चुपचाप
दिन-रात
टाँगे रहते हैं
अपने कंधे पर दरवाज़ों को
खिड़कियों को
जैसे कोई पिता लिए हो कंधे पर
अपने नवजात बच्चे को
जैसे किसी पौधे पर खिल रहे हों फूल
अक्सर कहते हैं लोग कि
कोई कब तक किसी को सहारा देता है
बड़े भी अक्सर खड़ा करके छोड़ देते हैं बच्चे को
अपने पाँवों पर चलने के लिए
लेकिन क़ब्ज़े तोड़ते हैं यह मिथक
आजीवन इन दरवाज़ों को अपना सहारा देकर
यह साधना नहीं सबके बस की
न कभी किसी ने तारीफ़ की इनकी
न ही सुनी कभी किसी ने उफ़ इनकी
दरअसल, यह सब कील-क़ब्ज़े की महिमा है
जिनकी बदौलत झूल रहे हैं दरवाज़े
ख़ुशी में झूम रहे हैं दरवाज़े
खुल रहे हैं दरवाज़े
झूल रहे हैं दरवाज़े
darwaze jhool rahe hain
darwaze khul rahe hain
darwazon se hi ek alag
shakl bani hai is ghar ki
shakl hai is sharir ki
shakl hai is sansad ki
lekin jin saharon par
tike hain darwaze thaDhiya se
wahi adrshy hain
is samuche paridrshy se
qabze
chupchap
din raat
tange rahte hain
apne kandhe par darwazon ko
khiDakiyon ko
jaise koi pita liye ho kandhe par
apne nawjat bachche ko
jaise kisi paudhe par khil rahe hon phool
aksar kahte hain log ki
koi kab tak kisi ko sahara deta hai
baDe bhi aksar khaDa karke chhoD dete hain bachche ko
apne panwon par chalne ke liye
lekin qabze toDte hain ye mithak
ajiwan in darwazon ko apna sahara dekar
ye sadhana nahin sabke bus ki
na kabhi kisi ne tarif ki inki
na hi suni kabhi kisi ne uf inki
darasal, ye sab keel qabze ki mahima hai
jinki badaulat jhool rahe hain darwaze
khushi mein jhoom rahe hain darwaze
khul rahe hain darwaze
jhool rahe hain darwaze
darwaze jhool rahe hain
darwaze khul rahe hain
darwazon se hi ek alag
shakl bani hai is ghar ki
shakl hai is sharir ki
shakl hai is sansad ki
lekin jin saharon par
tike hain darwaze thaDhiya se
wahi adrshy hain
is samuche paridrshy se
qabze
chupchap
din raat
tange rahte hain
apne kandhe par darwazon ko
khiDakiyon ko
jaise koi pita liye ho kandhe par
apne nawjat bachche ko
jaise kisi paudhe par khil rahe hon phool
aksar kahte hain log ki
koi kab tak kisi ko sahara deta hai
baDe bhi aksar khaDa karke chhoD dete hain bachche ko
apne panwon par chalne ke liye
lekin qabze toDte hain ye mithak
ajiwan in darwazon ko apna sahara dekar
ye sadhana nahin sabke bus ki
na kabhi kisi ne tarif ki inki
na hi suni kabhi kisi ne uf inki
darasal, ye sab keel qabze ki mahima hai
jinki badaulat jhool rahe hain darwaze
khushi mein jhoom rahe hain darwaze
khul rahe hain darwaze
jhool rahe hain darwaze
स्रोत :
रचनाकार : संतोष कुमार चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.