काँव... काँव... काँव...
कौए की काँव
आँगन में रखी
दूध-भात की कटोरी
नीम की डाल पर बैठा
गिरिधर पंडित की झिड़की
और शोभा काकी की आशीष
सुनता, चोंच खुजलाता, सिर हिलाता
घुप्प काला कौआ
अपनी मुँडेर पर
बिठाने की ज़िद में
कौए को
सब जगह से उड़ाते बच्चे
काँव... काँव... काँव...
अपने हिस्से का प्रसाद खिलाया
शोख रमवतिया ने
चुपके से
रँगे हाथ पकड़ी गईं
रामदई काकी
सोना से चोंच मढ़वाने की रिश्वत देते
काँव... काँव... काँव...
काँव छा गई चमक बन कर
पाँच साल से नइहर की राह देखती
अन्नू की भाभी के चेहरे पर
काँव समा गई
मज़बूती बन कर
कुबड़ी दादी की लाठी में
काँव के दम पर झिड़क दिया
बुधिया चाची ने
द्वार आए साहूकार को
परंतु गहरा गया
मेजर चाचा के बाबूजी की
आँखों का सूनापन
काँव... काँव... काँव...
कौए की काँव
काँव नहीं डोर
जिससे बँधे थे
पँद्रह साल से बेटे की राह देखती
मलती दादी के प्रान
काँव नहीं धुन
जो नचाती थी दिलों को
और रोप देती थी
आँखों में सपना
सपना
जिसमें 'देह की महक' से
'नए बैल की घंटी की गूँज' तक
समाई होती थी
जिसमें
'छोनू की लेलगाली'
मोनी की गुड़िया
और माला की लाल गोटेदार साड़ी
चमकती थी.
काँव... काँव... काँव...
काँव नहीं 'खिड़की'
जिसमें से दिखता था
चुन्नू को शहर का स्कूल
रामरती को पछाँही गाय
और गोपी काका को
बिटिया का पीला हाथ
काँव में धड़कती थी
एक पूरी की पूरी दुनिया
जो सरकती जा रही थी
मेरे बौद्धिक हाथों से
kanw kanw kanw
kaue ki kanw
angan mein rakhi
doodh bhat ki katori
neem ki Dal par baitha
girdhar panDit ki jhiDki
aur shobha kaki ki ashish
sunta, chonch khujlata, sir hilata
ghupp kala kaua
apni munDer par
bithane ki zid mein
kaue ko
sab jagah se uDate bachche
kanw kanw kanw
apne hisse ka parsad khilaya
shokh ramawatiya ne
chupke se
range hath pakDi gain
ramadi kaki
sona se chonch maDhwane ki rishwat dete
kanw kanw kanw
kanw chha gai chamak ban kar
panch sal se naihar ki rah dekhti
annu ki bhabhi ke chehre par
kanw sama gai
mazbuti ban kar
kubDi dadi ki lathi mein
kanw ke dam par jhiDak diya
budhiya chachi ne
dwar aaye sahukar ko
parantu gahra gaya
major chacha ke babuji ki
ankhon ka sunapan
kanw kanw kanw
kaue ki kanw
kanw nahin Dor
jisse bandhe the
pandrah sal se bete ki rah dekhti
malti dadi ke pran
kanw nahin dhun
jo nachati thi dilon ko
aur rop deti thi
ankhon mein sapna
sapna
jismen deh ki mahak se
nae bail ki ghanti ki goonj tak
samai hoti thi
jismen
chhonu ki lelgali
moni ki guDiya
aur mala ki lal gotedar saDi
chamakti thi
kanw kanw kanw
kanw nahin khiDki
jismen se dikhta tha
chunnu ko shahr ka school
ramarti ko pachhanhi gay
aur gopi kaka ko
bitiya ka pila hath
kanw mein dhaDakti thi
ek puri ki puri duniya
jo sarakti ja rahi thi
mere bauddhik hathon se
kanw kanw kanw
kaue ki kanw
angan mein rakhi
doodh bhat ki katori
neem ki Dal par baitha
girdhar panDit ki jhiDki
aur shobha kaki ki ashish
sunta, chonch khujlata, sir hilata
ghupp kala kaua
apni munDer par
bithane ki zid mein
kaue ko
sab jagah se uDate bachche
kanw kanw kanw
apne hisse ka parsad khilaya
shokh ramawatiya ne
chupke se
range hath pakDi gain
ramadi kaki
sona se chonch maDhwane ki rishwat dete
kanw kanw kanw
kanw chha gai chamak ban kar
panch sal se naihar ki rah dekhti
annu ki bhabhi ke chehre par
kanw sama gai
mazbuti ban kar
kubDi dadi ki lathi mein
kanw ke dam par jhiDak diya
budhiya chachi ne
dwar aaye sahukar ko
parantu gahra gaya
major chacha ke babuji ki
ankhon ka sunapan
kanw kanw kanw
kaue ki kanw
kanw nahin Dor
jisse bandhe the
pandrah sal se bete ki rah dekhti
malti dadi ke pran
kanw nahin dhun
jo nachati thi dilon ko
aur rop deti thi
ankhon mein sapna
sapna
jismen deh ki mahak se
nae bail ki ghanti ki goonj tak
samai hoti thi
jismen
chhonu ki lelgali
moni ki guDiya
aur mala ki lal gotedar saDi
chamakti thi
kanw kanw kanw
kanw nahin khiDki
jismen se dikhta tha
chunnu ko shahr ka school
ramarti ko pachhanhi gay
aur gopi kaka ko
bitiya ka pila hath
kanw mein dhaDakti thi
ek puri ki puri duniya
jo sarakti ja rahi thi
mere bauddhik hathon se
स्रोत :
रचनाकार : प्रमोद कुमार तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.