फूली हुई सरसों के
खेतों के ठीक बीच से
सकुचाकर निकलती है कर्मनाशा की पतली धारा।
कछार का लहलहाया पीलापन
भूरे पानी के शीशे में
अपनी शक्ल पहचानने की कोशिश करता है।
धूप में ताँबे की तरह चमकती है
घाट पर नहाती हुई स्त्रियों की देह।
नाव से हाथ लपकाकर
एक-एक अंजुरी जल उठाते हुए
पुरनिया-पुरखों को कोसने लगता हूँ मैं—
क्यों-कब-कैसे कह दिया
कि अपवित्र नदी है कर्मनाशा!
भला बताओ
फूली हुई सरसों
और नहाती हुई स्त्रियों के सानिध्य में
कोई भी नदी
आख़िर कैसे हो सकती है अपवित्र?
phuli hui sarson ke
kheton ke theek beech se
sakuchakar nikalti hai karmanasha ki patli dhara
kachhar ka lahlahaya pilapan
bhure pani ke shishe mein
apni shakl pahchanne ki koshish karta hai
dhoop mein tanbe ki tarah chamakti hai
ghat par nahati hui striyon ki deh
naw se hath lapkakar
ek ek anjuri jal uthate hue
puraniya purkhon ko kosne lagta hoon main—
kyon kab kaise kah diya
ki apawitr nadi hai karmanasha!
bhala batao
phuli hui sarson
aur nahati hui striyon ke sanidhya mein
koi bhi nadi
akhir kaise ho sakti hai apawitr?
phuli hui sarson ke
kheton ke theek beech se
sakuchakar nikalti hai karmanasha ki patli dhara
kachhar ka lahlahaya pilapan
bhure pani ke shishe mein
apni shakl pahchanne ki koshish karta hai
dhoop mein tanbe ki tarah chamakti hai
ghat par nahati hui striyon ki deh
naw se hath lapkakar
ek ek anjuri jal uthate hue
puraniya purkhon ko kosne lagta hoon main—
kyon kab kaise kah diya
ki apawitr nadi hai karmanasha!
bhala batao
phuli hui sarson
aur nahati hui striyon ke sanidhya mein
koi bhi nadi
akhir kaise ho sakti hai apawitr?
स्रोत :
रचनाकार : सिद्धेश्वर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.