लगती तो है बड़ी मुलायम
कोमल-कोमल
पर बड़ी सख़्त जान है मुई
यह देसी करेले की बेल
घर के बाहर कहीं भी उग आती
फेंस हो तो ठीक नहीं तो ज़मीन पर ही बेतरह फैल
पीले-पीले छोटे फूलों को उछालती
हरे पोखर में खेल रहे हों जैसे
धूप के शरारती बच्चे
बेल पर दिखने लगे हैं
छोटे-छोटे करेले
चाहे जितनी मुस्तैदी से खोजें
एक न एक करेला बच ही जाता
पत्तियों के पीछे छुपा हुआ वह
पकता अगली बारिश के लिए
पक कर झड़ता झड़कर छिपता छिपकर बचता बचकर फिर उगता
करेले की यह कड़वी बेल
बस चले इसका
तो तोप की बग़ल से उग आए
नली को लपेट खिलाए पीले फूल
बड़ी सख़्त जान है
यह करेले की बेल!
lagti to hai baDi mulayam
komal komal
par baDi sakht jaan hai mui
ye desi karele ki bel
ghar ke bahar kahin bhi ug aati
phens ho to theek nahin to zamin par hi betarah phail
pile pile chhote phulon ko uchhalti
hare pokhar mein khel rahe hon jaise
dhoop ke shararti bachche
bel par dikhne lage hain
chhote chhote karele
chahe jitni mustaidi se khojen
ek na ek karela bach hi jata
pattiyon ke pichhe chhupa hua wo
pakta agli barish ke liye
pak kar jhaDta jhaDkar chhipta chhipkar bachta bachkar phir ugta
karele ki ye kaDwi bel
bus chale iska
to top ki baghal se ug aaye
nali ko lapet khilaye pile phool
baDi sakht jaan hai
ye karele ki bel!
lagti to hai baDi mulayam
komal komal
par baDi sakht jaan hai mui
ye desi karele ki bel
ghar ke bahar kahin bhi ug aati
phens ho to theek nahin to zamin par hi betarah phail
pile pile chhote phulon ko uchhalti
hare pokhar mein khel rahe hon jaise
dhoop ke shararti bachche
bel par dikhne lage hain
chhote chhote karele
chahe jitni mustaidi se khojen
ek na ek karela bach hi jata
pattiyon ke pichhe chhupa hua wo
pakta agli barish ke liye
pak kar jhaDta jhaDkar chhipta chhipkar bachta bachkar phir ugta
karele ki ye kaDwi bel
bus chale iska
to top ki baghal se ug aaye
nali ko lapet khilaye pile phool
baDi sakht jaan hai
ye karele ki bel!
स्रोत :
रचनाकार : बसंत त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.