झटके में नींद से उठने के बाद लगता है
जैसे कोई खींच ले जा रहा हो मुझे मेरे सुख से
मैं टटोलने लगता हूँ बिस्तर
कसकर पकड़ लेता हूँ उसका दामन
जैसे वह तकिया नहीं है, प्रेयसी है।
जब तक होश सँभालता हूँ तब तक
साथ छोड़ चुके होते हैं आँसू
आँखों की कोरों से होकर चले जाते हैं
चिकनी ढलान की ओर
अवशेषों को जोड़कर कुछ तो बनाना चाहता हूँ
बनता कुछ भी, बिगड़ती हुई दुनिया नज़र आती है।
कोई हो कहीं तो कहे ज़रूर—सब ठीक हो जाएगा
मेरे ताबूत में बरसों की चुप ममी अब चीख़ने को है
हज़ार ज़ुबानों से फिसली हुई कविता के सच के लिए
वन-वन भटकने वालों को
तुम्हारी झूठी कहानी रास नहीं आती।
जिन डायरी के पन्नों से तूफ़ान उठता है
उसी डायरी के बहुत सारे पन्ने ख़ाली रह जाते हैं
जिन दवातों से लिखे गए महाकाव्य
उनमें ही कई बार बिना लिखे ही सूखी होंगी स्याहियाँ।
तुम्हारी आँखों में उमड़ती हैं सागर की लहरें
मेरी आँखों में है उन्हें देख पाने का धैर्य
एक दिन चाँद ने आँखों में आँखें डालकर कही थी एक बात
कई-कई बार ऐसा होता है
कुछ चीज़ें सामने होती हैं
फिर भी हमें दिखाई नहीं देती।
jhatke mein neend se uthne ke baad lagta hai
jaise koi kheench le ja raha ho mujhe mere sukh se
main tatolne lagta hoon bistar
kaskar pakaD leta hoon uska daman
jaise wo takiya nahin hai, preyasi hai
jab tak hosh sambhalta hoon tab tak
sath chhoD chuke hote hain ansu
ankhon ki koron se hokar chale jate hain
chikni Dhalan ki or
awsheshon ko joDkar kuch to banana chahta hoon
banta kuch bhi, bigaDti hui duniya nazar aati hai
koi ho kahin to kahe zarur—sab theek ho jayega
mere tabut mein barson ki chup mummy ab chikhne ko hai
hazar zubanon se phisli hui kawita ke sach ke liye
wan wan bhatakne walon ko
tumhari jhuthi kahani ras nahin aati
jin Diary ke pannon se tufan uthta hai
usi Diary ke bahut sare panne khali rah jate hain
jin dawaton se likhe gaye mahakawya
unmen hi kai bar bina likhe hi sukhi hongi syahiyan
tumhari ankhon mein umaDti hain sagar ki lahren
meri ankhon mein hai unhen dekh pane ka dhairya
ek din chand ne ankhon mein ankhen Dalkar kahi thi ek baat
kai kai bar aisa hota hai
kuch chizen samne hoti hain
phir bhi hamein dikhai nahin deti

स्रोत :
रचनाकार : प्रदीप्त प्रीत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.