मुझको यह मालूम नहीं है क्यों यह जीवन का वरदान
मुझे अचानक दिया गया है, जो इसके गुण से अनजान।
मुझको यह मालूम नहीं है क्यों करके इसका निर्माण
अध नियति ने मृत्यु-लक्ष्य की ओर किया इसको गतिमान।
किस निर्दय, किस मनमानी ने सूनेपन का पर्दा फाड़
आदिहीन तंद्रा निद्रा से मुझको सहसा लिया पुकार।
किसने मेरे मन के अंदर भर दी भावों की ज्वाला,
किसने ले मस्तिष्क उसे शत शंकाओं से मथ डाला।
नहीं दिखाई देता मुझको नयनों के आगे कुछ ध्येय,
मन को प्रेय नहीं मिलता है, बुद्धि नहीं पाती है श्रेय,
गर्जन करता है जीवन का मेरे पीछे नित्य अभाव,
बने हुए हैं मेरे मन के ऊपर उसके शत-शत घाव।
mujhko ye malum nahin hai kyon ye jivan ka vardan
achanak diya gaya hai, jo iske gun se anjan.
mujhko ye malum nahin hai kyon karke iska nirman
niyti ne mirtyu lakshya ki or kiya isko gatiman.
kis nirday, kis manmani ne sunepan ka parda phaaD
adihin tandra nidra se mujhko sahsa liya pukar.
kisne mere man ke andar bhar di bhavon ki jvala,
kisne le mastishk use shat shankaon se math Dala.
nahin dikhai deta mujhko naynon ke aage kuch dhyey,
man ko prey nahin milta hai, buddhi nahin pati hai shrey,
garjan karta hai jivan ka mere pichhe nity abhav,
bane hue hai mere man ke upar uske shat shat ghaav.

स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 69)
रचनाकार : अलेक्सांद्र पूश्किन
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.