वे आती हैं मेरे क़रीब
रात के नीरव एकांत में
बैठ जाती हैं मुझे घेरकर
उनका भीत मौन रुदन
निचोड़ देता है लहू मेरी देह का
अपनी ख़ाक चिताओं से उठकर
धुएँ के बगूलों-सी नाचती
बेचैन हनहनाती
वे आती हैं मेरे क़रीब
उनके आँसू
गिरते हैं मेरे सुख-सपनों पर
अंगारों की तरह
वे नोचती रहती हैं अपनी खोपड़ियाँ
उनसे बहती रहती है पीव फदफदाती
वे भँभोरती रहती हैं अपने सारे अंग दहकते सीझे
उनसे बहता रहता है ख़ून सफ़ेद गाढ़ा
वे पीटती रहती हैं ध्वस्त अपनी छातियाँ
उनसे झड़ती रहती है राख मेरे सीने पर
अंधकार की तरह
मेरी निस्पंद काया को झकझोरती
वे घूरती रहती हैं मुझे
अपनी आँखों के काले भयानक सूराखों से
मेरी युवा रात के स्वप्निल एकांत में
रातरानी की ख़ुशबू नहीं आती
वे आती हैं
चिरायँध गंध के झोंकों-सी दुस्सह
जिन्हें होम कर दिया इस समय ने
हेम-हुताशन में हवि की तरह...
ve aati hain mere qarib
raat ke nirav ekaant men
baith jati hain mujhe gherkar
unka bheet maun rudan
nichoD deta hai lahu meri deh ka
apni khaak chitaon se uthkar
dhuen ke bagulon si nachti
bechain hanahnati
ve aati hain mere qarib
unke ansu
girte hain mere sukh sapnon par
angaron ki tarah
ve nochti rahti hain apni khopDiyan
unse bahti rahti hai peev phadaphdati
ve bhanbhorati rahti hain apne sare ang dahakte sijhe
unse bahta rahta hai khoon safed gaDha
ve pitti rahti hain dhvast apni chhatiyan
unse jhaDti rahti hai raakh mere sine par
andhkar ki tarah
meri nispand kaya ko jhakjhorti
ve ghurti rahti hain mujhe
apni ankhon ke kale bhayanak surakhon se
meri yuva raat ke svapnil ekaant men
ratrani ki khushbu nahin aati
ve aati hain
chirayandh gandh ke jhonkon si dussah
jinhen hom kar diya is samay ne
hem hutachhan mein havi ki tarah. . .
ve aati hain mere qarib
raat ke nirav ekaant men
baith jati hain mujhe gherkar
unka bheet maun rudan
nichoD deta hai lahu meri deh ka
apni khaak chitaon se uthkar
dhuen ke bagulon si nachti
bechain hanahnati
ve aati hain mere qarib
unke ansu
girte hain mere sukh sapnon par
angaron ki tarah
ve nochti rahti hain apni khopDiyan
unse bahti rahti hai peev phadaphdati
ve bhanbhorati rahti hain apne sare ang dahakte sijhe
unse bahta rahta hai khoon safed gaDha
ve pitti rahti hain dhvast apni chhatiyan
unse jhaDti rahti hai raakh mere sine par
andhkar ki tarah
meri nispand kaya ko jhakjhorti
ve ghurti rahti hain mujhe
apni ankhon ke kale bhayanak surakhon se
meri yuva raat ke svapnil ekaant men
ratrani ki khushbu nahin aati
ve aati hain
chirayandh gandh ke jhonkon si dussah
jinhen hom kar diya is samay ne
hem hutachhan mein havi ki tarah. . .
स्रोत :
रचनाकार : राकेश रंजन
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.