तीत मीठ खट्टा नमकीन कसैला चखकर
साग पात मूली गाजर कच्चा पक्का भक्ष्याभक्ष्य खाकर
पानी दूध पसावन काढ़ा छाछ पना रस पीकर
खाल छाल पत्ता बल्कल सूती फूती पहनकर
घाम बतास आँधी बौंखा जाड़ा पाला सहकर
रखाई है अपनी देह
घमौनी करके मज़बूत की अपनी हड्डियाँ
मेहनत करके उन्नत की अपनी छाती
और पतली की अपनी कमर
ज़मीन पर सोकर कड़ा किया अपना शरीर
बिछिया झुककर
सूरज के किरणों की सुई अपनी पलकों से उठाती हुई
लचीले किए अपने अंग-प्रत्यंग
हल्दी लेपकर निखारी अपनी कांति
काजल और किरकिरी बनाने लगी लोगों को
प्रणय-निवेदन या अपशब्द सुनकर
जब-तब सुर्ख़ हो जाता है इसका मुखड़ा
अब पूरी जवान हो चुकी है दुनिया
बस, एक प्रसव की देर है
दूध अपने आप निकलने लगेगा इसके तन से
teet meeth khatta namkin kasaila chakhkar
sag pat muli gajar kachcha pakka bhakshyabhakshy khakar
pani doodh pasawan kaDha chhachh pana ras pikar
khaal chhaal patta balkal suti phuti pahankar
gham batas andhi baunkha jaDa pala sahkar
rakhai hai apni deh
ghamauni karke mazbut ki apni haDDiyan
mehnat karke unnat ki apni chhati
aur patli ki apni kamar
zamin par sokar kaDa kiya apna sharir
bichhiya jhukkar
suraj ke kirnon ki sui apni palkon se uthati hui
lachile kiye apne ang pratyang
haldi lepkar nikhari apni kanti
kajal aur kirakiri banane lagi logon ko
pranay niwedan ya apshabd sunkar
jab tab surkh ho jata hai iska mukhDa
ab puri jawan ho chuki hai duniya
bus, ek prasaw ki der hai
doodh apne aap nikalne lagega iske tan se
teet meeth khatta namkin kasaila chakhkar
sag pat muli gajar kachcha pakka bhakshyabhakshy khakar
pani doodh pasawan kaDha chhachh pana ras pikar
khaal chhaal patta balkal suti phuti pahankar
gham batas andhi baunkha jaDa pala sahkar
rakhai hai apni deh
ghamauni karke mazbut ki apni haDDiyan
mehnat karke unnat ki apni chhati
aur patli ki apni kamar
zamin par sokar kaDa kiya apna sharir
bichhiya jhukkar
suraj ke kirnon ki sui apni palkon se uthati hui
lachile kiye apne ang pratyang
haldi lepkar nikhari apni kanti
kajal aur kirakiri banane lagi logon ko
pranay niwedan ya apshabd sunkar
jab tab surkh ho jata hai iska mukhDa
ab puri jawan ho chuki hai duniya
bus, ek prasaw ki der hai
doodh apne aap nikalne lagega iske tan se
स्रोत :
रचनाकार : अष्टभुजा शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.