हृदय की दृढता एव शक्ति में सुमेंरु पर्वत समान है।
मेंधावी पंडित जवाहरलाल नेहरू।
छल-कपट एव भय से रहित धीर है वह,
शारीरिक सौंदर्य में भी मन्मथ समान है वह!
भारत देश का एक शेर है वह
आचार-व्यवहार संस्कार-विचार में
छविमान, तपा कुंदन है वह
शासन के सारथी बने उसके
संचालन में बढ़ता देश पथ उन्नति के।
आलसहीन, धीर, सनेही है वह
आत्मश्लाघा से दूर कर्मठ, सेवक है वह
सदा चिंतनशील औ' विचारों के धनी
देश-भक्त त्यागियों में इसकी विशिष्टता अपनी।
मुस्कान से ही मुसीबत झेलने वाले
सर्वदा विद्वत्ता बोध देने वाले
राजकुँवर बन महल में वास किया था इसने
आज जनगण के संकट पर शोध किया है इसने।
ज्योतिर्मय प्रेम की मूर्ति महान् गाँधी के
धर्मीय शासन को शीश से स्वीकार कर,
आँखों के तारे, अपने देश प्यारे के
रखवाले लाल यह। जिए चिरकाल यह।
hirdai ki driDhta ev shakti mein sumenru parvat saman hai.
mendhavi panDit javaharlal nehru.
chhal kapat ev bhay se rahit dheer hai wo,
sharirik saundarya mein bhi manmath saman hai vah!
bharat desh ka ek sher hai wo
achar vyvahar sanskar vichar mein
chhaviman, tapa kundan hai wo
shasan ke sarthi bane uske
sanchalan mein baDhta desh path unnati ke.
alashin, dheer, sanehi hai wo
atmashlagha se door karmath, sevak hai wo
sada chintanshil au vicharon ke dhani
desh bhakt tyagiyon mein iski vishishtata apni.
muskan se hi musibat jhelne vale
sarvada vidvatta bodh dene vale
rajakunvar ban mahl mein vaas kiya tha isne
aaj jangan ke sankat par shodh kiya hai isne.
jyotirmay prem ki murti mahan gandhi ke
dharmiy shasan ko sheesh se svikar kar,
ankhon ke tare, apne desh pyare ke
rakhvale laal ye. jiye chirkal ye.
hirdai ki driDhta ev shakti mein sumenru parvat saman hai.
mendhavi panDit javaharlal nehru.
chhal kapat ev bhay se rahit dheer hai wo,
sharirik saundarya mein bhi manmath saman hai vah!
bharat desh ka ek sher hai wo
achar vyvahar sanskar vichar mein
chhaviman, tapa kundan hai wo
shasan ke sarthi bane uske
sanchalan mein baDhta desh path unnati ke.
alashin, dheer, sanehi hai wo
atmashlagha se door karmath, sevak hai wo
sada chintanshil au vicharon ke dhani
desh bhakt tyagiyon mein iski vishishtata apni.
muskan se hi musibat jhelne vale
sarvada vidvatta bodh dene vale
rajakunvar ban mahl mein vaas kiya tha isne
aaj jangan ke sankat par shodh kiya hai isne.
jyotirmay prem ki murti mahan gandhi ke
dharmiy shasan ko sheesh se svikar kar,
ankhon ke tare, apne desh pyare ke
rakhvale laal ye. jiye chirkal ye.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 323)
रचनाकार : ए. शुरुलियाण्डि पावलर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.