दुनिया बेसुरे संगीत से सम्मोहित है
और तुम मेरी छुअन से बुना गया मौन
मेरे सपने मछलियों की तरह हैं
नींद से बाहर साँस नहीं ले पाते
एक बगुला घात लगाकर बैठा रहता है
मेरी नींद के जल-तल पर
वक़्त गुज़रता जाता है
वक़्त को गुज़रने के लिए जाने कितने पल चाहिए
मैं वक़्त से तेज़ हूँ, एक पल में गुज़र जाऊँगा
जाने से पहले तुम्हें क्या दूँगा?
मेरे सपने तो बगुले खा जाएँगे
तुम कहती हो, मासूमियत? अरे नहीं!
प्यार वह फल है, जिस पर मासूमियत का छिलका होता है
और बिना छिलका उतारे इस फल को खाया नहीं जाता
यह जो मेरा जिस्म है
इसे उगाने में मुझे बरसों लगे हैं
दिल तो ख़ैर मेरा जन्मजात ऐसा ही है,
क़दम-क़दम पर ज़ख़्मी होता
माँगोगी, तो भी यह जिस्म नहीं दे पाऊँगा,
आग का इस पर बरसों से दावा है
यह दिल देता हूँ, इसे एहतियात से रखना
कि यह उसका है, जिसने सपने देखे थे
duniya besure sangit se sammohit hai
aur tum meri chhuan se buna gaya maun
mere sapne machhaliyon ki tarah hain
neend se bahar sans nahin le pate
ek bagula ghat lagakar baitha rahta hai
meri neend ke jal tal par
waqt guzarta jata hai
waqt ko guzarne ke liye jane kitne pal chahiye
main waqt se tez hoon, ek pal mein guzar jaunga
jane se pahle tumhein kya dunga?
mere sapne to bagule kha jayenge
tum kahti ho, masumiyat? are nahin!
pyar wo phal hai, jis par masumiyat ka chhilka hota hai
aur bina chhilka utare is phal ko khaya nahin jata
ye jo mera jism hai
ise ugane mein mujhe barson lage hain
dil to khair mera janmajat aisa hi hai,
qadam qadam par zakhmi hota
mangogi, to bhi ye jism nahin de paunga,
ag ka is par barson se dawa hai
ye dil deta hoon, ise ehtiyat se rakhna
ki ye uska hai, jisne sapne dekhe the
duniya besure sangit se sammohit hai
aur tum meri chhuan se buna gaya maun
mere sapne machhaliyon ki tarah hain
neend se bahar sans nahin le pate
ek bagula ghat lagakar baitha rahta hai
meri neend ke jal tal par
waqt guzarta jata hai
waqt ko guzarne ke liye jane kitne pal chahiye
main waqt se tez hoon, ek pal mein guzar jaunga
jane se pahle tumhein kya dunga?
mere sapne to bagule kha jayenge
tum kahti ho, masumiyat? are nahin!
pyar wo phal hai, jis par masumiyat ka chhilka hota hai
aur bina chhilka utare is phal ko khaya nahin jata
ye jo mera jism hai
ise ugane mein mujhe barson lage hain
dil to khair mera janmajat aisa hi hai,
qadam qadam par zakhmi hota
mangogi, to bhi ye jism nahin de paunga,
ag ka is par barson se dawa hai
ye dil deta hoon, ise ehtiyat se rakhna
ki ye uska hai, jisne sapne dekhe the
स्रोत :
रचनाकार : गीत चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.