इच्छा नदी का पुल
किसी भी क्षण भरभरा कर ढह जाएगा
इस पुल मे दरारें पड़ गई हैं बहुत
और नदी का वेग बहुत तेज़ है
सदियों से इस पुल पर खड़ी वह स्त्री
कई बार कर चुकी है इरादा कि
पुल के टूटने से पहले ही लगा दे नदी में छलाँग
नियति के हाथों नहीं
ख़ुद अपने हाथों लिखना चाहती है वह
अपनी दास्तान
इस स्त्री के पैरों में लोहे के जूते हैं
और जिस जगह वह खड़ी है
वहाँ की ज़मीन चुंबक से बनी है
स्त्री कई बार झुकी है
इन जूतों के तस्मे खोलने को
और पुल की जर्जर दशा देख ठहर जाती है
सोचती है कुछ
क्या वह किसी की प्रतीक्षा में है
या उसे तलाश है
उस नाव की जिसमें बैठ
वह नदी की सैर को निकले
और लौटे झोली में भर-भर शंख और सीपियाँ
नदी किनारे के छिछले पानी में छपछप नहीं करना चाहती वह
आकंठ डूबने के बाद भी
चाहती है लौटना बार-बार
उसे प्यारा है जीवन का तमाम कारोबार।
ichha nadi ka pul
kisi bhi kshan bharabhra kar Dah jayega
is pul mae dararen paD gai hain bahut
aur nadi ka weg bahut tez hai
sadiyon se is pul par khaDi wo istri
kai bar kar chuki hai irada ki
pul ke tutne se pahle hi laga de nadi mein chhalang
niyti ke hathon nahin
khu apne hathon likhna chahti hai wo
apni dastan
is istri ke pairon mein lohe ke jute hain
aur jis jagah wo khaDi hai
wahan ki zamin chumbak se bani hai
istri kai bar jhuki hai
in juton ke tasme kholne ko
aur pul ki jarjar dasha dekh thahar jati hai
sochti hai kuch
kya wo kisi ki pratiksha mein hai
ya use talash hai
us naw ki jismen baith
wo nadi ki sair ko nikle
aur laute jholi mein bhar bhar shankh aur sipiyan
nadi kinare ke chhichhle pani mein chhapchhap nahin karna chahti wo
akanth Dubne ke baad bhi
chahti hai lautna bar bar
use pyara hai jiwan ka tamam karobar
ichha nadi ka pul
kisi bhi kshan bharabhra kar Dah jayega
is pul mae dararen paD gai hain bahut
aur nadi ka weg bahut tez hai
sadiyon se is pul par khaDi wo istri
kai bar kar chuki hai irada ki
pul ke tutne se pahle hi laga de nadi mein chhalang
niyti ke hathon nahin
khu apne hathon likhna chahti hai wo
apni dastan
is istri ke pairon mein lohe ke jute hain
aur jis jagah wo khaDi hai
wahan ki zamin chumbak se bani hai
istri kai bar jhuki hai
in juton ke tasme kholne ko
aur pul ki jarjar dasha dekh thahar jati hai
sochti hai kuch
kya wo kisi ki pratiksha mein hai
ya use talash hai
us naw ki jismen baith
wo nadi ki sair ko nikle
aur laute jholi mein bhar bhar shankh aur sipiyan
nadi kinare ke chhichhle pani mein chhapchhap nahin karna chahti wo
akanth Dubne ke baad bhi
chahti hai lautna bar bar
use pyara hai jiwan ka tamam karobar
स्रोत :
रचनाकार : देवयानी भारद्वाज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.