इसे दो कमरे का मकान बनना था
फ़िलहाल एक कमरे के बाद काम बंद है
जो कमरा अभी बनना है वह नक़्शे के हिसाब से बड़ा कमरा है
जहाँ पर इस कमरे का दरवाज़ा होना था
वहाँ अभी पपीते का एक पेड़ बड़ा हो रहा है
जब फल लगेंगे इस पेड़ पर तो याद दिलाएँगे हमें
इतना समय बीत गया और हम कुछ नहीं कर पाए
भविष्य का यह कमरा अभी बिखरा है अपने चारों ओर
रेत है एक कोने पर और इसे हवा से बचाया जाना है
एक कोने पर सरिया है इसे पानी से बचाया जाना है
ईंटें बिखरी हुईं इधर-उधर और कुछ बने दरवाज़े भी
ये बरसों से जमा अपनी पहली तारीख़ें हैं
बहने या जंग लगने से इन्हें बचाया जाना है
जो कमरा बना है वह भी पूरी तरह बना नहीं है अभी
दीवारों का रिसाव
पहली बरसात में ही बना गई हैं अनींद का ताल
प्लास्टर से ईंटों का शरीर नहीं ढका जा सका है
हाँ इस बीच
सरिया का एक सिरा धँस गया है बच्चे के पैर में
इस बीच बालों का रंग कुछ धूसर हो गया है
इस बीच कुछ ऐसा बरता जा रहा है कि धोतियाँ अनंत समय
तक चलें
इस बीच अन्न परमात्मा हो गया है
और प्यार इस बीच
खूँटी की तरह दो लाल ईंटों के बीच जगह तलाश रहा है
अधूरा मकान यह
आधा सच है, आधा सपना
आधा हँसी है, आधा रोना
यह ताज़ा कटे बकरे की छटपटाती देह है
एक कामना है जो मरते आदमी को मरने भी नहीं देती
बाहर अपने हरेपन के साथ सूख गईं पत्तियों का बंदनवार है
जिसके भीतर सब कुछ शुभ है, सब कुछ निष्ट
जैसे भीतर कोई युवा फेफड़ा धड़क रहा है
जैसे एक पक्षी विपरीत हवा में तैर रहा है
जैसे एक हँसी वर्तमान और भविष्य की खिड़कियों से छनकर
दूर तक जा रही है
मकान के अधूरेपन से एक ख़ुशबू आ रही है
एक खुरदरी ऊँचाई को लाँघ गई है लौकी की एक बेल
और छा गई है अधूरेपन के ऊपर
हरे सपनों की झालर लिए यह मकान
इस बस्ती का सबसे ख़ूबसूरत मकान है
इस घर का सबसे छोटा बच्चा अपनी कॉपी में
एक पूरा मकान बना रहा है
इस मकान में उसने कुछ पंख लगा दिए हैं
ise do kamre ka makan banna tha
filaha ek kamre ke baad kaam band hai
jo kamra abhi banna hai wo naqshe ke hisab se baDa kamra hai
jahan par is kamre ka darwaza hona tha
wahan abhi papite ka ek peD baDa ho raha hai
jab phal lagenge is peD par to yaad dilayenge hamein
itna samay beet gaya aur hum kuch nahin kar pae
bhawishya ka ye kamra abhi bikhra hai apne charon or
ret hai ek kone par aur ise hawa se bachaya jana hai
ek kone par sariya hai ise pani se bachaya jana hai
inten bikhri huin idhar udhar aur kuch bane darwaze bhi
ye barson se jama apni pahli tarikhen hain
bahne ya jang lagne se inhen bachaya jana hai
jo kamra bana hai wo bhi puri tarah bana nahin hai abhi
diwaron ka risaw
pahli barsat mein hi bana gai hain anind ka tal
plastar se inton ka sharir nahin Dhaka ja saka hai
han is beech
sariya ka ek sira dhans gaya hai bachche ke pair mein
is beech balon ka rang kuch dhusar ho gaya hai
is beech kuch aisa barta ja raha hai ki dhotiyan anant samay
tak chalen
is beech ann parmatma ho gaya hai
aur pyar is beech
khunti ki tarah do lal inton ke beech jagah talash raha hai
adhura makan ye
adha sach hai, aadha sapna
adha hansi hai, aadha rona
ye taza kate bakre ki chhatpatati deh hai
ek kamna hai jo marte adami ko marne bhi nahin deti
bahar apne harepan ke sath sookh gain pattiyon ka bandanwar hai
jiske bhitar sab kuch shubh hai, sab kuch nisht
jaise bhitar koi yuwa phephaDa dhaDak raha hai
jaise ek pakshi wiprit hawa mein tair raha hai
jaise ek hansi wartaman aur bhawishya ki khiDakiyon se chhankar
door tak ja rahi hai
makan ke adhurepan se ek khushbu aa rahi hai
ek khuradri unchai ko langh gai hai lauki ki ek bel
aur chha gai hai adhurepan ke upar
hare sapnon ki jhalar liye ye makan
is basti ka sabse khubsurat makan hai
is ghar ka sabse chhota bachcha apni copy mein
ek pura makan bana raha hai
is makan mein usne kuch pankh laga diye hain

स्रोत :
रचनाकार : हरीशचंद्र पांडे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.