हिक़ारत भरा समय है यह
स्थितियाँ चूँकि गड्डमड्ड हैं इसलिए
निरीहता कब हथियार बन जाएगी
ठीक-ठीक समझा नहीं जा सकता
अपनी दयनीयता को ढाल की तरह
आगे करते हैं हम किसी का भी
अपमान करने के बाद
शब्दों के ही नहीं हमारे भावों के भी
अर्थ बदल गए हैं
इसीलिए यह संभव हो सका है कि
जब हम एक बेहतर दुनिया की बात
कर रहे हों तो हो सकता है कि ठीक
उसी समय यह भी सोच रहे हों कि
दुनिया हमारे क़दमों के नीचे कैसे आए
या संवेदनशीलता घड़ियाली आँसू
बहाने के मुहावरे से आगे जाकर हमें
हत्या के लिए उकसाए
या किसी की हत्या के बाद हमें अपने पर
हिक़ारत आए
हो सकता है यह आत्मघृणा किसी
आत्मसंघर्ष का प्रतिफल न हो बल्कि
हमें हत्या करने के बेहतर गुर सिखाए
हिक़ारत भरा समय है यह
और स्थितियाँ सचमुच गड्डमड्ड हैं
यहाँ तक कि कवि जब अपनी कविता में
चीख़ते हैं कि उन्हें जीवन से
प्यार है तो इसका मतलब भी वही नहीं होता
हो सकता है वे अपनी घृणा को
छुपाने के लिए ऐसा कह रहे हों
ऐसा कैसे हो सकता है कि जीवन से
प्यार किए बिना
जीवन को सचमुच प्यार किया जाए।
hiqarat bhara samay hai ye
sthitiyan chunki gaDDmaDD hain isliye
nirihata kab hathiyar ban jayegi
theek theek samjha nahin ja sakta
apni dayniyata ko Dhaal ki tarah
age karte hain hum kisi ka bhi
apman karne ke baad
shabdon ke hi nahin hamare bhawon ke bhi
arth badal gaye hain
isiliye ye sambhaw ho saka hai ki
jab hum ek behtar duniya ki baat
kar rahe hon to ho sakta hai ki theek
usi samay ye bhi soch rahe hon ki
duniya hamare qadmon ke niche kaise aaye
ya sanwedanshilta ghaDiyali ansu
bahane ke muhaware se aage jakar hamein
hattya ke liye uksaye
ya kisi ki hattya ke baad hamein apne par
hiqarat aaye
ho sakta hai ye atmaghrina kisi
atmsangharsh ka pratiphal na ho balki
hamein hattya karne ke behtar gur sikhaye
hiqarat bhara samay hai ye
aur sthitiyan sachmuch gaDDmaDD hain
yahan tak ki kawi jab apni kawita mein
chikhte hain ki unhen jiwan se
pyar hai to iska matlab bhi wahi nahin hota
ho sakta hai we apni ghrina ko
chhupane ke liye aisa kah rahe hon
aisa kaise ho sakta hai ki jiwan se
pyar kiye bina
jiwan ko sachmuch pyar kiya jaye
hiqarat bhara samay hai ye
sthitiyan chunki gaDDmaDD hain isliye
nirihata kab hathiyar ban jayegi
theek theek samjha nahin ja sakta
apni dayniyata ko Dhaal ki tarah
age karte hain hum kisi ka bhi
apman karne ke baad
shabdon ke hi nahin hamare bhawon ke bhi
arth badal gaye hain
isiliye ye sambhaw ho saka hai ki
jab hum ek behtar duniya ki baat
kar rahe hon to ho sakta hai ki theek
usi samay ye bhi soch rahe hon ki
duniya hamare qadmon ke niche kaise aaye
ya sanwedanshilta ghaDiyali ansu
bahane ke muhaware se aage jakar hamein
hattya ke liye uksaye
ya kisi ki hattya ke baad hamein apne par
hiqarat aaye
ho sakta hai ye atmaghrina kisi
atmsangharsh ka pratiphal na ho balki
hamein hattya karne ke behtar gur sikhaye
hiqarat bhara samay hai ye
aur sthitiyan sachmuch gaDDmaDD hain
yahan tak ki kawi jab apni kawita mein
chikhte hain ki unhen jiwan se
pyar hai to iska matlab bhi wahi nahin hota
ho sakta hai we apni ghrina ko
chhupane ke liye aisa kah rahe hon
aisa kaise ho sakta hai ki jiwan se
pyar kiye bina
jiwan ko sachmuch pyar kiya jaye
स्रोत :
पुस्तक : पहला उपदेश (पृष्ठ 68)
रचनाकार : अनिल कुमार सिंह
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.