हिंदी विभाग में एक प्राध्यापक हैं
जिन्हें अध्यक्ष जी कहते हैं गणेश जी
मानो उनसे शुरू किया जा सकता है कुछ भी
एक और हैं सबसे वरिष्ठ और सचमुच विद्वान
शहर में उनके नाम से होती है विभाग की पहचान
अध्यक्ष जी उन्हें कहते हैं पंडित जी
जैसे यह जताने को
पंडित तो हैं
पर हैं तो निर्वीर्य ही
दो महिलाएँ भी हैं प्रवक्ता
अध्यक्ष जी कहते हैं, देवियाँ हैं
माहौल बना रहता है कुछ ख़ुशगवार
लेकिन क्या जागेंगे शुभ विचार
और शिक्षा सेवा आयोग से
अभी चयनित होकर आए हैं
दो नई उम्र के अध्यापक
अध्यक्ष जी कहते हैं कि बच्चे हैं
बच्चों में है नहीं समझ अध्यात्म की
पढ़-लिखकर सब गँवा दिए हैं संस्कार
मसलन पैर छूने को अध्यक्ष जी
बताते हैं महाविद्यालय की संस्कृति
और पैर छुए जाने पर
एक प्रचलित नारा है उनका आशीष
यानी 'जय श्री राम'
एक दिन अध्यक्ष जी बोले :
विभाग में दो-दो देवियों के बावजूद
एक दर्पण तक नहीं है
और न ही है
चाय-बिस्किट का इंतिज़ाम
इस पर पंडित जी ने
चपरासी को बुलवाकर
अपने पैसों से सबको चाय पिलाई
और कहा—
दर्पण की भला ज़रूरत क्या है
हमारे चेहरे ही दर्पण हैं
जिनमें हम पढ़ सकते हैं
औरों के मन में बिंबित
रूप हमारा कैसा है
अध्यक्ष जी को ऐसी चाय ऐसे हस्तक्षेप
पसंद नहीं आते हैं
पंडित जी से वह झुँझला जाते हैं
अध्यक्षता में है वीर और रौद्र रस कभी-कभार
शांत में हास्य का समावेश आपने देखा ही
इस विवरण की ऐन शुरूआत में
अद्भुत और भयानक बातें भी हैं ख़ूब
हालाँकि प्रमुख हैं वात्सल्य और शृंगार
इस तरह रस तो कमोबेश
सभी हैं हिंदी विभाग में
पर इन सबके संघात से
होता है करुणा का उद्रेक
विडंबनाएँ सामने आती हैं
पंडित जी कहते हैं, विशिष्ट हिंदुत्व से
ख़तरे में पड़ गया है सामान्य हिंदुत्व
अध्यक्ष जी किसी हिंदू संगठन के भी हैं अध्यक्ष
वहाँ से वह अपने लिए
जुटाते हैं साहित्य-विवेक
देखनी है समाज की हालत और राजनीति
महाविद्यालय के लिए कहाँ समय बचता है
देर से आएँ या न भी आएँ अध्यक्ष जी
विभाग के सदस्य न करें कलह उनसे
केवल अपना सही रखें आचरण
अध्यक्ष जी सुनाते हैं 'तैत्तिरीय उपनिषद्'—
आचार्यों के अच्छे चरित ही देखें, अन्य नहीं
हर जगह जायज़ नहीं अनुसरण
लेकिन अब जायज़ काम कहाँ हो पाते हैं
भावुक बनकर अध्यक्ष जी दोहराते हैं
अपने एक भूतपूर्व और अब दिवंगत
अध्यक्ष जी की दो इच्छाएँ
एक तो विभाग में स्त्रियाँ नियुक्त न हों
दूसरे, कोई अवर्ण न आने पाएँ
पर क्या करते सन् अट्ठासी में
उनकी पहली इच्छा विफल हो गई
पिछला अध्यक्ष नहीं माना
और दूसरी इच्छा की रक्षा हो पाएगी
अध्यक्ष जी के मन में है संदेह
आख़िर आयोग का क्या ठिकाना
जब पंडित जी जाएँगे
उनकी जगह अवर्ण ही आएँगे
आयोग हाथ में न सही
हिंदी के तो अध्यक्ष जी हैं कीमियागर
कहते हैं वह, नामवर सिंह को
नहीं लिखनी आती है व्याकरणसम्मत भाषा
'हिंदी' शब्द वैदिक है
कितनों को है पता
कैलास में जब तालव्य 'श' बनता है
तो उसका अर्थ हो जाता है गधा
और सुनो, युवावस्था का प्रेम
प्रेम नहीं, काल-दोष होता है
सबको स्त्री-रत्न नहीं मिल पाता
संतानों की संख्या भी
निश्चित करते हैं परमपिता
ये फुटकर बातें हैं, लगतीं विशृंखल-साधारण
पर इनमें है कितना मर्म भरा
बाँध रहा है इन्हें सूत्र कोई जो ओझल है
वही जिसे अध्यक्ष जी अपना भी आदर्श मानते
प्रकट करते जिसे सबसे अंत में हमेशा
यह कि सब प्रारब्ध की बात है बेटा
प्रारब्ध ही है कि अध्यक्ष जी
अपनी धारा में चाह रहे
सबके चिंतन का समाहार
हिंदी विभाग को समझ रहे
अपनी पूँजी, अपना परिवार
अपने से केवल आठ वर्ष
कनिष्ठ महिला प्रवक्ता को
पुकारते हैं कहकर बेटा
मानो यह विज्ञापन है ज़रूरी
नहीं है उनके मन में कहीं कोई विकार
बंधुत्व की भी आकांक्षा नहीं
हमउम्र स्त्रियों के भी वह पिता सरीखे हैं
बच्चों के तो ख़ैर पिता वह हैं ही
hindi wibhag mein ek pradhyapak hain
jinhen adhyaksh ji kahte hain ganesh ji
mano unse shuru kiya ja sakta hai kuch bhi
ek aur hain sabse warishth aur sachmuch widwan
shahr mein unke nam se hoti hai wibhag ki pahchan
adhyaksh ji unhen kahte hain panDit ji
jaise ye jatane ko
panDit to hain
par hain to nirwiry hi
do mahilayen bhi hain prawakta
adhyaksh ji kahte hain, dewiyan hain
mahaul bana rahta hai kuch khushgawar
lekin kya jagenge shubh wichar
aur shiksha sewa aayog se
abhi chaynit hokar aaye hain
do nai umr ke adhyapak
adhyaksh ji kahte hain ki bachche hain
bachchon mein hai nahin samajh adhyatm ki
paDh likhkar sab ganwa diye hain sanskar
masalan pair chhune ko adhyaksh ji
batate hain mahawidyalay ki sanskriti
aur pair chhue jane par
ek prachalit nara hai unka ashish
yani jay shri ram
ek din adhyaksh ji bole ha
wibhag mein do do dewiyon ke bawjud
ek darpan tak nahin hai
aur na hi hai
chay biskit ka intizam
is par panDit ji ne
chaprasi ko bulwakar
apne paison se sabko chay pilai
aur kaha—
darpan ki bhala zarurat kya hai
hamare chehre hi darpan hain
jinmen hum paDh sakte hain
auron ke man mein bimbit
roop hamara kaisa hai
adhyaksh ji ko aisi chay aise hastakshaep
pasand nahin aate hain
panDit ji se wo jhunjhla jate hain
adhyakshata mein hai weer aur raudr ras kabhi kabhar
shant mein hasya ka samawesh aapne dekha hi
is wiwarn ki ain shuruat mein
adbhut aur bhayanak baten bhi hain khoob
halanki pramukh hain watsaly aur shringar
is tarah ras to kamobesh
sabhi hain hindi wibhag mein
par in sabke sanghat se
hota hai karuna ka udrek
wiDambnayen samne aati hain
panDit ji kahte hain, wishisht hindutw se
khatre mein paD gaya hai samany hindutw
adhyaksh ji kisi hindu sangthan ke bhi hain adhyaksh
wahan se wo apne liye
jutate hain sahity wiwek
dekhni hai samaj ki haalat aur rajaniti
mahawidyalay ke liye kahan samay bachta hai
der se ayen ya na bhi ayen adhyaksh ji
wibhag ke sadasy na karen kalah unse
kewal apna sahi rakhen acharn
adhyaksh ji sunate hain taittiriy upnishad—
acharyon ke achchhe charit hi dekhen, any nahin
har jagah jayaz nahin anusarn
lekin ab jayaz kaam kahan ho pate hain
bhawuk bankar adhyaksh ji dohrate hain
apne ek bhutapurw aur ab diwangat
adhyaksh ji ki do ichhayen
ek to wibhag mein striyan niyukt na hon
dusre, koi awarn na aane payen
par kya karte san atthasi mein
unki pahli ichha wiphal ho gai
pichhla adhyaksh nahin mana
aur dusri ichha ki rakhsha ho payegi
adhyaksh ji ke man mein hai sandeh
akhir aayog ka kya thikana
jab panDit ji jayenge
unki jagah awarn hi ayenge
ayog hath mein na sahi
hindi ke to adhyaksh ji hain kimiyagar
kahte hain wo, namwar sinh ko
nahin likhni aati hai wyakaransammat bhasha
hindi shabd waidik hai
kitnon ko hai pata
kailas mein jab talawy sh banta hai
to uska arth ho jata hai gadha
aur suno, yuwawastha ka prem
prem nahin, kal dosh hota hai
sabko istri ratn nahin mil pata
santanon ki sankhya bhi
nishchit karte hain parampita
ye phutkar baten hain, lagtin wishrinkhal sadharan
par inmen hai kitna marm bhara
bandh raha hai inhen sootr koi jo ojhal hai
wahi jise adhyaksh ji apna bhi adarsh mante
prakat karte jise sabse ant mein hamesha
ye ki sab prarabdh ki baat hai beta
prarabdh hi hai ki adhyaksh ji
apni dhara mein chah rahe
sabke chintan ka samahar
hindi wibhag ko samajh rahe
apni punji, apna pariwar
apne se kewal aath warsh
kanishth mahila prawakta ko
pukarte hain kahkar beta
mano ye wigyapan hai zaruri
nahin hai unke man mein kahin koi wikar
bandhutw ki bhi akanksha nahin
hamumr striyon ke bhi wo pita sarikhe hain
bachchon ke to khair pita wo hain hi
hindi wibhag mein ek pradhyapak hain
jinhen adhyaksh ji kahte hain ganesh ji
mano unse shuru kiya ja sakta hai kuch bhi
ek aur hain sabse warishth aur sachmuch widwan
shahr mein unke nam se hoti hai wibhag ki pahchan
adhyaksh ji unhen kahte hain panDit ji
jaise ye jatane ko
panDit to hain
par hain to nirwiry hi
do mahilayen bhi hain prawakta
adhyaksh ji kahte hain, dewiyan hain
mahaul bana rahta hai kuch khushgawar
lekin kya jagenge shubh wichar
aur shiksha sewa aayog se
abhi chaynit hokar aaye hain
do nai umr ke adhyapak
adhyaksh ji kahte hain ki bachche hain
bachchon mein hai nahin samajh adhyatm ki
paDh likhkar sab ganwa diye hain sanskar
masalan pair chhune ko adhyaksh ji
batate hain mahawidyalay ki sanskriti
aur pair chhue jane par
ek prachalit nara hai unka ashish
yani jay shri ram
ek din adhyaksh ji bole ha
wibhag mein do do dewiyon ke bawjud
ek darpan tak nahin hai
aur na hi hai
chay biskit ka intizam
is par panDit ji ne
chaprasi ko bulwakar
apne paison se sabko chay pilai
aur kaha—
darpan ki bhala zarurat kya hai
hamare chehre hi darpan hain
jinmen hum paDh sakte hain
auron ke man mein bimbit
roop hamara kaisa hai
adhyaksh ji ko aisi chay aise hastakshaep
pasand nahin aate hain
panDit ji se wo jhunjhla jate hain
adhyakshata mein hai weer aur raudr ras kabhi kabhar
shant mein hasya ka samawesh aapne dekha hi
is wiwarn ki ain shuruat mein
adbhut aur bhayanak baten bhi hain khoob
halanki pramukh hain watsaly aur shringar
is tarah ras to kamobesh
sabhi hain hindi wibhag mein
par in sabke sanghat se
hota hai karuna ka udrek
wiDambnayen samne aati hain
panDit ji kahte hain, wishisht hindutw se
khatre mein paD gaya hai samany hindutw
adhyaksh ji kisi hindu sangthan ke bhi hain adhyaksh
wahan se wo apne liye
jutate hain sahity wiwek
dekhni hai samaj ki haalat aur rajaniti
mahawidyalay ke liye kahan samay bachta hai
der se ayen ya na bhi ayen adhyaksh ji
wibhag ke sadasy na karen kalah unse
kewal apna sahi rakhen acharn
adhyaksh ji sunate hain taittiriy upnishad—
acharyon ke achchhe charit hi dekhen, any nahin
har jagah jayaz nahin anusarn
lekin ab jayaz kaam kahan ho pate hain
bhawuk bankar adhyaksh ji dohrate hain
apne ek bhutapurw aur ab diwangat
adhyaksh ji ki do ichhayen
ek to wibhag mein striyan niyukt na hon
dusre, koi awarn na aane payen
par kya karte san atthasi mein
unki pahli ichha wiphal ho gai
pichhla adhyaksh nahin mana
aur dusri ichha ki rakhsha ho payegi
adhyaksh ji ke man mein hai sandeh
akhir aayog ka kya thikana
jab panDit ji jayenge
unki jagah awarn hi ayenge
ayog hath mein na sahi
hindi ke to adhyaksh ji hain kimiyagar
kahte hain wo, namwar sinh ko
nahin likhni aati hai wyakaransammat bhasha
hindi shabd waidik hai
kitnon ko hai pata
kailas mein jab talawy sh banta hai
to uska arth ho jata hai gadha
aur suno, yuwawastha ka prem
prem nahin, kal dosh hota hai
sabko istri ratn nahin mil pata
santanon ki sankhya bhi
nishchit karte hain parampita
ye phutkar baten hain, lagtin wishrinkhal sadharan
par inmen hai kitna marm bhara
bandh raha hai inhen sootr koi jo ojhal hai
wahi jise adhyaksh ji apna bhi adarsh mante
prakat karte jise sabse ant mein hamesha
ye ki sab prarabdh ki baat hai beta
prarabdh hi hai ki adhyaksh ji
apni dhara mein chah rahe
sabke chintan ka samahar
hindi wibhag ko samajh rahe
apni punji, apna pariwar
apne se kewal aath warsh
kanishth mahila prawakta ko
pukarte hain kahkar beta
mano ye wigyapan hai zaruri
nahin hai unke man mein kahin koi wikar
bandhutw ki bhi akanksha nahin
hamumr striyon ke bhi wo pita sarikhe hain
bachchon ke to khair pita wo hain hi
स्रोत :
रचनाकार : पंकज चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.