दोस्ती का मुखौटा लगाकर चूसता रहा ख़ून
तो कभी प्रेम के आढ़े छिपकर मारता रहा झप्पट्टा
भेड़िया आता रहा
भेड़िया खाता रहा
औरत को ख़रीदता है आदमी
जबकि वह बिकाऊ नहीं है
सो भँजा लेता है
दो टुक प्रेम से
बहलाता है उसका मन
फिर मढ देता है अपने सही ग़लत का सिद्धाँत
उसके मत्थे
सही-ग़लत होता रहा
और ग़लत-सही
परिभाषाएँ बदल दी जाती रहीं हैं
इच्छानुसार, पुरुषों के
वर्ग विशेषों द्वारा
स्त्रियों के लिए
माँओं के मौन में क्यों दिखाई देती है पीड़ा
व्यस्तता में उचाट खालीपन
और स्मित रेखाओं के पीछे
विद्रोह की नन्हीं आकाँक्षा
बहरहाल
आत्मग्लानि से भरा हृदय खोखला होता जाता है
फिर एक दोपहरी
दस्तक देता है—
एक भेड़िया।
dosti ka mukhauta lagakar chusta raha khoon
to kabhi prem ke aDhe chhipkar marta raha jhappatta
bheDiya aata raha
bheDiya khata raha
aurat ko kharidta hai adami
jabki wo bikau nahin hai
so bhanja leta hai
do tuk prem se
bahlata hai uska man
phir maDh deta hai apne sahi ghalat ka siddhant
uske matthe
sahi ghalat hota raha
aur ghalat sahi
paribhashayen badal di jati rahin hain
ichchhanusar, purushon ke
varg visheshon dvara
striyon ke liye
manon ke maun mein kyon dikhai deti hai piDa
vyastata mein uchaat khalipan
aur smit rekhaon ke pichhe
vidroh ki nanhin akanksha
baharhal
atmaglani se bhara hriday khokhla hota jata hai
phir ek dopahri
dastak deta hai—
ek bheDiya.
dosti ka mukhauta lagakar chusta raha khoon
to kabhi prem ke aDhe chhipkar marta raha jhappatta
bheDiya aata raha
bheDiya khata raha
aurat ko kharidta hai adami
jabki wo bikau nahin hai
so bhanja leta hai
do tuk prem se
bahlata hai uska man
phir maDh deta hai apne sahi ghalat ka siddhant
uske matthe
sahi ghalat hota raha
aur ghalat sahi
paribhashayen badal di jati rahin hain
ichchhanusar, purushon ke
varg visheshon dvara
striyon ke liye
manon ke maun mein kyon dikhai deti hai piDa
vyastata mein uchaat khalipan
aur smit rekhaon ke pichhe
vidroh ki nanhin akanksha
baharhal
atmaglani se bhara hriday khokhla hota jata hai
phir ek dopahri
dastak deta hai—
ek bheDiya.
स्रोत :
रचनाकार : अपूर्वा श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.