सब मिले हुए हैं
जैसे शरीर के हर हिस्से में
उसे नष्ट करने वाले कारक आपस में मिले रहते हैं
अकेला करने के बाद डराते हैं
और कभी डराकर करते हैं अकेला
वे चोरी नहीं करते घर में हमारी जगह रहते हैं
सुई तक नहीं छूते
क्योंकि बाद में सब चीज़ों के साथ वह भी उनकी ही होगी
वे ज़िंदा रहने लायक़ अन्न जल देते हैं हमें
कि हमारे अभी मरने से सब चीज़ें नहीं मिलेंगी उन्हें
जिनसे दोस्ती थी वे एक-एक करके हटा दिए गए
जो डराते थे उन्हें दोस्तों की तरह मिलवाया जा रहा है
इन्हें भी एक दिन मार दिया जाएगा
अभी तो हमारी आदतें सीख रहे हैं
नक़ल करते-करते जब वे सचमुच हमारे नज़दीक आ जाएँगे
उन्हें कितनी दूर करना है यह भी सोचा जा चुका है
अभी सब मिले हुए हैं हमें अलग-अलग करने को
जब हम टूट नहीं सकेंगे ये सब चूर-चूर हो जाएँगे
sab mile hue hain
jaise sharir ke har hisse mein
use nasht karne wale karak aapas mein mile rahte hain
akela karne ke baad Darate hain
aur kabhi Darakar karte hain akela
we chori nahin karte ghar mein hamari jagah rahte hain
sui tak nahin chhute
kyonki baad mein sab chizon ke sath wo bhi unki hi hogi
we zinda rahne layaq ann jal dete hain hamein
ki hamare abhi marne se sab chizen nahin milengi unhen
jinse dosti thi we ek ek karke hata diye gaye
jo Darate the unhen doston ki tarah milwaya ja raha hai
inhen bhi ek din mar diya jayega
abhi to hamari adten seekh rahe hain
naqal karte karte jab we sachmuch hamare nazdik aa jayenge
unhen kitni door karna hai ye bhi socha ja chuka hai
abhi sab mile hue hain hamein alag alag karne ko
jab hum toot nahin sakenge ye sab choor choor ho jayenge

स्रोत :
पुस्तक : नया बस्ता (पृष्ठ 14)
रचनाकार : हेमंत कुकरेती
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.