तुम्हारी सारी चालाकियाँ
धरी की धरी रह जाएँगी
तुम देख लेना
हमारा प्रेम तुम्हारी घृणा पर भारी पड़ेगा
हम तुम्हारे नापाक दिवास्वप्नों में
बज्र की तरह आएँगे
हम तुम्हारे इरादों पर
प्रश्न की तरह आएँगे
तुम्हारे हाथों में हथियार होगा
हमारे हाथों में कविता
तुम्हारी ज़ुबान पर ज़हर होगा
हमारे हाथों में फूल
तब हाथों में हाथ डाले लोगों से
तुम्हें डर लगेगा
और उससे भी ज़्यादा
तुम्हें यहाँ की मूर्तियाँ डराएँगी
जानते हो बाबू!
हमारे शहर में मई की कड़कड़ाती धूप में भी
डंठलों पर दहकता है लाल-लाल पलाश
जब-जब हावड़ा ब्रिज से कोई नारा गूँजता है
हुगली झुक कर
उसे सलामी देती हुई गुज़रती है
एक बच्चे की कोमल मुस्कान पर
अभी भी ठहर जाता है हमारा शहर
देख लेना
तुम्हारे सारे समीकरणों को
बंगाल की खाड़ी के
किसी अँधेरे गर्त में जगह मिलेगी
तुम्हारे बोए चरस उगाने से
हमारी धरती अस्वीकार करती है
हमारा शहर तुम्हारी प्रयोगशाला बनने से इंकार करता है।
tumhari sari chalakiyan
dhari ki dhari rah jayengi
tum dekh lena
hamara prem tumhari ghrina par bhari paDega
hum tumhare napak diwaswapnon mein
bajr ki tarah ayenge
hum tumhare iradon par
parashn ki tarah ayenge
tumhare hathon mein hathiyar hoga
hamare hathon mein kawita
tumhari zuban par zahr hoga
hamare hathon mein phool
tab hathon mein hath Dale logon se
tumhein Dar lagega
aur usse bhi zyada
tumhein yahan ki murtiyan Darayengi
jante ho babu!
hamare shahr mein mai ki kaDkaDati dhoop mein bhi
Danthlon par dahakta hai lal lal palash
jab jab hawDa bridge se koi nara gunjta hai
hugli jhuk kar
use salami deti hui guzarti hai
ek bachche ki komal muskan par
abhi bhi thahar jata hai hamara shahr
dekh lena
tumhare sare samikarnon ko
bangal ki khaDi ke
kisi andhere gart mein jagah milegi
tumhare boe charas ugane se
hamari dharti aswikar karti hai
hamara shahr tumhari prayogashala banne se inkar karta hai
tumhari sari chalakiyan
dhari ki dhari rah jayengi
tum dekh lena
hamara prem tumhari ghrina par bhari paDega
hum tumhare napak diwaswapnon mein
bajr ki tarah ayenge
hum tumhare iradon par
parashn ki tarah ayenge
tumhare hathon mein hathiyar hoga
hamare hathon mein kawita
tumhari zuban par zahr hoga
hamare hathon mein phool
tab hathon mein hath Dale logon se
tumhein Dar lagega
aur usse bhi zyada
tumhein yahan ki murtiyan Darayengi
jante ho babu!
hamare shahr mein mai ki kaDkaDati dhoop mein bhi
Danthlon par dahakta hai lal lal palash
jab jab hawDa bridge se koi nara gunjta hai
hugli jhuk kar
use salami deti hui guzarti hai
ek bachche ki komal muskan par
abhi bhi thahar jata hai hamara shahr
dekh lena
tumhare sare samikarnon ko
bangal ki khaDi ke
kisi andhere gart mein jagah milegi
tumhare boe charas ugane se
hamari dharti aswikar karti hai
hamara shahr tumhari prayogashala banne se inkar karta hai
स्रोत :
रचनाकार : आनंद गुप्ता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.