मेरी ग़रीब चचेरी बहन
शादी भी जिसकी ठीक से की नहीं जा सकी
बस भेज दी गई
कुछ औरतों के गाए गीतों के साथ हुई उसकी विदाई
दो-एक ही साल बाद विवाह के गीतों के शब्द निष्प्रभ हो गए
उनकी ध्वनियों की चिड़ियाएँ सदा के लिए सो गईं
उसके पति ने एक हत्यारे की हत्या कर दी
वह भारत की जेलों के उन लाखों अभिशप्त क़ैदियों के बीच जा बैठा
जिनकी ज़मानत नहीं होती
टलती जाती है जिनकी सुनवाई
ससुराल में वह रहने नहीं दी गई
गोद के बच्चे के साथ वह लाचार आ गई यहीं
उसे रहने के लिए एक घै पाटोर बता दी गई
हल्ला-मजूरी करके अपना और बच्चे का पेट पालने लगी
ऐसी मेरी ग़रीब चचेरी बहन का बच्चा था वो
सात साल का हो गया था
बड़ी उम्मीद से बड़ा कर रही थी उसको
पढ़ने भेज रही थी
स्कूल नाम के सरकारी बाड़े में रोज़ बैठता था जाकर
बच्चों के साथ खेलता था स्कूल से आकर
उस खेलते हुए को
मुर्ग़ी के चूजे की तरह ग़ायब कर ले गया कोई
लिखने में भी तकलीफ़ होती है कि पुलिस, सरपंच, विधायक, देवी-देवता
सबके दरवाज़ों पर ढोक दे चुकी है
सबके पैरों में सिर पटक चुकी है
अब तो यही सोचने-बिचारने को रह गया है
आख़िर कौन था वह जो ले गया खेलते बच्चे को
क्या वह ख़ुद दरिद्रता, भूख और कुशिक्षा का शिकार था कोई
क्या उसने कहीं सुनसान में ले जाकर बलि या क़ुर्बानी दे दी बच्चे की
या उसने खाए-पिए-अघाए सभ्य-बर्बरों को बेच दिया उसे
क्या उसे अरब भेज दिया ऊँट पर बाँधकर मारे जाने के लिए
क्या किसी आधुनिक साधु या पर्यटक को बेच आया वह उसे
क्या किसी मेज़ पर तश्तरी में रखा गया उसे
इतने बच्चे ग़ायब होते हैं हर साल
लेकिन बिजली-पानी की माँग जैसा छोटा-मोटा मुद्दा भी नहीं बनती यह बात
तीन महीने भी याद नहीं रखा गया एक बच्चे का ग़ायब होना
सूखे पेड़ के सूखे फूल-पत्तों में बदल गई है
इंसानी समाज और सभ्यता की हरी-भरी संवेदना
जिस दिन से गुम हुआ है बच्चा
मेरी चचेरी बहन भी गुम है
वह नहीं जानती कि न मरे न जीवित
बच्चे के साथ कैसे जीना चाहिए
इसी दुनिया में कहीं
और कहीं भी नहीं बच्चे की सुध कैसे रखनी चाहिए
कैसे उसे सुलाना चाहिए
कैसे उसे जगाना चाहिए
कैसे उसे समझाना चाहिए अपना ध्यान रखने के लिए
लापरवाही करने पर कैसे सख़्त हिदायत दी जानी चाहिए
अगर उसके अंगों को खोलकर
अलग-अलग शरीरों में नहीं लगा दिया गया है
अगर स्त्री-लोथों से ऊबे विकृतों ने उसे रिहा कर दिया है
अगर दासों की तरह उसके पुट्ठों पर थाप दे-देकर
उसे कई बार बेच और ख़रीद लिया गया है
तो अब वह कहाँ और क्या कर रहा है
कैसा दिखने लगा है वह हाड़-मांस पुतला सालों बाद
क्या वह ब्रेड पर आयोडेक्स लगाकर खा चुका है
क्या दुनिया की सभी लड़कियों के लिए डरावना हो चुका है
क्या वह किसी महानगर की बत्ती गुल करने निकल पड़ा है
क्या वह टेलीफ़ोन लाइन काटने गया है
क्या वह किसी भीड़ भरे इलाक़े में बम रख रहा है
क्या वह रस्सों से बँधा है
क्या वह अपना फटा-टूटा शरीर लिए न्यायालय में उपस्थित है
क्या उसे जेल में ही फाँसी दे दी गई है
क्या उसे वहीं मिट्टी में मिट्टी, राख में राख कर दिया गया है
मेरी चचेरी बहन
दो पीढ़ी पीछे जाएँ तो
हम एक ही दम्पति की संतान हैं
एकाध पीढ़ी और पीछे जाएँ तो
पूरा क़बीला ही एक दम्पति की संतान है
अंततः जैसे दुनिया ही एक दम्पति की संतान हैं
इस तरह देखो तो
कोई भी दूर का नहीं है
कोई भी पराया नहीं है
सभी अपने हैं कोई भी शत्रु नहीं है
वास्तव में देखो तो कैसे-कैसे शत्रु हैं चारों तरफ़
मेरी चचेरी बहन
उसके कपड़े जिनमें से झाँकते हैं उसके धूल के बने हाथ-पैर
उसके फूस के केश झाँकते हैं
गोली खाई हिरनी की करुण सजल आँखें झाँकती हैं
मैं पूछता हूँ कभी-कभी उससे
जीजी तुम्हें इस ब्रह्मांड की किस हाट पर मिलते हैं इतने फीके
इतना अधिक रंग उड़े कपड़े
क्या तुम आकाशगंगा से लाती हो इन्हें
पागल है तू
कहकर हँस देती है जीवन की धनी मेरी चचेरी बहन
meri gharib chacheri bahan
shadi bhi jiski theek se ki nahin ja saki
bus bhej di gai
kuch aurton ke gaye giton ke sath hui uski widai
do ek hi sal baad wiwah ke giton ke shabd nishprabh ho gaye
unki dhwaniyon ki chiDiyayen sada ke liye so gain
uske pati ne ek hatyare ki hattya kar di
wo bharat ki jelon ke un lakhon abhishapt qaidiyon ke beech ja baitha
jinki zamanat nahin hoti
talti jati hai jinki sunwai
sasural mein wo rahne nahin di gai
god ke bachche ke sath wo lachar aa gai yahin
use rahne ke liye ek ghai pator bata di gai
halla majuri karke apna aur bachche ka pet palne lagi
aisi meri gharib chacheri bahan ka bachcha tha wo
sat sal ka ho gaya tha
baDi ummid se baDa kar rahi thi usko
paDhne bhej rahi thi
school nam ke sarkari baDe mein roz baithta tha jakar
bachchon ke sath khelta tha school se aakar
us khelte hue ko
murghi ke chuje ki tarah ghayab kar le gaya koi
likhne mein bhi taklif hoti hai ki police, sarpanch, widhayak, dewi dewta
sabke darwazon par Dhok de chuki hai
sabke pairon mein sir patak chuki hai
ab to yahi sochne bicharne ko rah gaya hai
akhir kaun tha wo jo le gaya khelte bachche ko
kya wo khu daridrata, bhookh aur kushiksha ka shikar tha koi
kya usne kahin sunsan mein le jakar bali ya qurbani de di bachche ki
ya usne khaye piye aghaye sabhy barbron ko bech diya use
kya use arab bhej diya unt par bandhakar mare jane ke liye
kya kisi adhunik sadhu ya paryatak ko bech aaya wo use
kya kisi mez par tashtari mein rakha gaya use
itne bachche ghayab hote hain har sal
lekin bijli pani ki mang jaisa chhota mota mudda bhi nahin banti ye baat
teen mahine bhi yaad nahin rakha gaya ek bachche ka ghayab hona
sukhe peD ke sukhe phool patton mein badal gai hai
insani samaj aur sabhyata ki hari bhari sanwedna
jis din se gum hua hai bachcha
meri chacheri bahan bhi gum hai
wo nahin janti ki na mare na jiwit
bachche ke sath kaise jina chahiye
isi duniya mein kahin
aur kahin bhi nahin bachche ki sudh kaise rakhni chahiye
kaise use sulana chahiye
kaise use jagana chahiye
kaise use samjhana chahiye apna dhyan rakhne ke liye
laparwahi karne par kaise sakht hidayat di jani chahiye
agar uske angon ko kholkar
alag alag shariron mein nahin laga diya gaya hai
agar istri lothon se ube wikriton ne use riha kar diya hai
agar dason ki tarah uske putthon par thap de dekar
use kai bar bech aur kharid liya gaya hai
to ab wo kahan aur kya kar raha hai
kaisa dikhne laga hai wo haD mans putla salon baad
kya wo breD par ayoDeks lagakar kha chuka hai
kya duniya ki sabhi laDakiyon ke liye Darawna ho chuka hai
kya wo kisi mahangar ki batti gul karne nikal paDa hai
kya wo telephone line katne gaya hai
kya wo kisi bheeD bhare ilaqe mein bam rakh raha hai
kya wo rasson se bandha hai
kya wo apna phata tuta sharir liye nyayalay mein upasthit hai
kya use jel mein hi phansi de di gai hai
kya use wahin mitti mein mitti, rakh mein rakh kar diya gaya hai
meri chacheri bahan
do piDhi pichhe jayen to
hum ek hi dampati ki santan hain
ekadh piDhi aur pichhe jayen to
pura qabila hi ek dampati ki santan hai
antatः jaise duniya hi ek dampati ki santan hain
is tarah dekho to
koi bhi door ka nahin hai
koi bhi paraya nahin hai
sabhi apne hain koi bhi shatru nahin hai
wastaw mein dekho to kaise kaise shatru hain charon taraf
meri chacheri bahan
uske kapDe jinmen se jhankte hain uske dhool ke bane hath pair
uske phoos ke kesh jhankte hain
goli khai hirni ki karun sajal ankhen jhankti hain
main puchhta hoon kabhi kabhi usse
jiji tumhein is brahmanD ki kis hat par milte hain itne phike
itna adhik rang uDe kapDe
kya tum akashganga se lati ho inhen
pagal hai tu
kahkar hans deti hai jiwan ki dhani meri chacheri bahan

स्रोत :
रचनाकार : प्रभात
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.