ईश्वर तुम आत्महत्या कर लो अब
सही वक़्त पर तुम्हारे अस्तित्व का
समाप्त हो जाना ही अच्छा है
अपने झूठे मुखौटे को हटाओ
और कर लो स्वीकार
कि सिसकते हो तुम भी!
यदि यह दुनिया तुम्हारे लिए खेल है
तो तुम्हें नहीं लगता?
कि खेल एकतरफ़ा होता जा रहा है
कि कमज़ोर के आँसुओं से अब
तुम्हारी सत्ता डिगने की कगार पर है?
इससे पहले कि कमज़ोर...
जिसकी प्रार्थनाएँ तुम्हारे वजूद को बचाए हुए हैं
उतार दे तुम्हें सिंहासन से तंग आकर
नकार दे तुम्हारा ईश्वर होना
उजाड़ दे तुम्हारे बड़े-बड़े मंदिरों का अस्तित्व
और तुम्हारी ईश्वर होने की नौकरी से तुम्हें बेदख़ल कर दे
तुम आत्महत्या कर लो!
सुना है कि तुम्हें धरती पर
सबसे अधिक प्रिय बच्चों की मुस्कानें हैं
कि चिड़ियों की चहचहाहट तुम्हारा संगीत है
कि तुम तितली के पंखों के रंग से करते हो शृंगार
कि तुम प्रेम की भाषा समझते हो
तो क्यों नहीं देते सज़ा?
उन्हें जो बच्चों का बचपन उजाड़ देते हैं
जो चिड़ियों के पंख कतर देते हैं
जो तितलियों के रंगीन परों को मसल देते हैं
जो भय, नफ़रत, हथियारों की भाषा सीखा रहे हैं!
बुढ़ा गए हो तुम ईश्वर
अब तुम घर के बाहर देहरी पर बैठे
बुज़ुर्ग माँ-बाप की तरह लाचार हो
जिसे कभी भी उनकी संतानें
भेज सकती हैं वृद्धाश्रम!
तुम झूठी हँसी के पीछे ठीक वैसे ही
छुपा रहे हो अपने आँसू
जैसे कोई कलाकार अपने चेहरे पर
पोत लेता है कई परतें शृंगार की!
असल में ये दुनिया अब वैसी रह नहीं गई
जैसी तुमने बनाई थी
इसलिए...
कमज़ोर बेबस तुम्हारे वज़ूद को
नकार दे उसके पहले
तुम आत्महत्या कर लो ईश्वर!
ishwar tum atmahatya kar lo ab
sahi waqt par tumhare astitw ka
samapt ho jana hi achchha hai
apne jhuthe mukhaute ko hatao
aur kar lo swikar
ki sisakte ho tum bhee!
yadi ye duniya tumhare liye khel hai
to tumhein nahin lagta?
ki khel ekatrafa hota ja raha hai
ki kamzor ke ansuon se ab
tumhari satta Digne ki kagar par hai?
isse pahle ki kamzor
jiski prarthnayen tumhare wajud ko bachaye hue hain
utar de tumhein sinhasan se tang aakar
nakar de tumhara ishwar hona
ujaD de tumhare baDe baDe mandiron ka astitw
aur tumhari ishwar hone ki naukari se tumhein bedkhal kar de
tum atmahatya kar lo!
suna hai ki tumhein dharti par
sabse adhik priy bachchon ki muskanen hain
ki chiDiyon ki chahchahahat tumhara sangit hai
ki tum titli ke pankhon ke rang se karte ho shringar
ki tum prem ki bhasha samajhte ho
to kyon nahin dete saza?
unhen jo bachchon ka bachpan ujaD dete hain
jo chiDiyon ke pankh katar dete hain
jo titaliyon ke rangin paron ko masal dete hain
jo bhay, nafar, hathiyaron ki bhasha sikha rahe hain!
buDha gaye ho tum ishwar
ab tum ghar ke bahar dehri par baithe
buzurg man bap ki tarah lachar ho
jise kabhi bhi unki santanen
bhej sakti hain wriddhashram!
tum jhuthi hansi ke pichhe theek waise hi
chhupa rahe ho apne ansu
jaise koi kalakar apne chehre par
pot leta hai kai parten shringar kee!
asal mein ye duniya ab waisi rah nahin gai
jaisi tumne banai thi
isliye
kamzor bebas tumhare wazud ko
nakar de uske pahle
tum atmahatya kar lo ishwar!
ishwar tum atmahatya kar lo ab
sahi waqt par tumhare astitw ka
samapt ho jana hi achchha hai
apne jhuthe mukhaute ko hatao
aur kar lo swikar
ki sisakte ho tum bhee!
yadi ye duniya tumhare liye khel hai
to tumhein nahin lagta?
ki khel ekatrafa hota ja raha hai
ki kamzor ke ansuon se ab
tumhari satta Digne ki kagar par hai?
isse pahle ki kamzor
jiski prarthnayen tumhare wajud ko bachaye hue hain
utar de tumhein sinhasan se tang aakar
nakar de tumhara ishwar hona
ujaD de tumhare baDe baDe mandiron ka astitw
aur tumhari ishwar hone ki naukari se tumhein bedkhal kar de
tum atmahatya kar lo!
suna hai ki tumhein dharti par
sabse adhik priy bachchon ki muskanen hain
ki chiDiyon ki chahchahahat tumhara sangit hai
ki tum titli ke pankhon ke rang se karte ho shringar
ki tum prem ki bhasha samajhte ho
to kyon nahin dete saza?
unhen jo bachchon ka bachpan ujaD dete hain
jo chiDiyon ke pankh katar dete hain
jo titaliyon ke rangin paron ko masal dete hain
jo bhay, nafar, hathiyaron ki bhasha sikha rahe hain!
buDha gaye ho tum ishwar
ab tum ghar ke bahar dehri par baithe
buzurg man bap ki tarah lachar ho
jise kabhi bhi unki santanen
bhej sakti hain wriddhashram!
tum jhuthi hansi ke pichhe theek waise hi
chhupa rahe ho apne ansu
jaise koi kalakar apne chehre par
pot leta hai kai parten shringar kee!
asal mein ye duniya ab waisi rah nahin gai
jaisi tumne banai thi
isliye
kamzor bebas tumhare wazud ko
nakar de uske pahle
tum atmahatya kar lo ishwar!
स्रोत :
रचनाकार : रुचि बहुगुणा उनियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.