आसमान फटा तो उसके बहाव में ईश्वर अबाध गति से बहने लगा
ये कहानी मुझे मेरी छाँव में बैठ सुस्ता रहे एक पेड़ ने सुनाई थी।
(इन दिनों ईश्वर कहाँ है?)
एक चित्रकार सूरज को रोज़ाना इस आश्वासन पर अपने लहू से रँगा करता था
कि ये राज़ सिर्फ़ उन दोनों के बीच रहेगा।
(ये चित्रकार कौन था?)
आसमान की बंद पलकें रात हैं और पुतलियाँ दिन,
रात के सन्नाटे से अधिक दिन का बियाबान अखरता है।
इसलिए नींद की क्रिया के निर्वाह हेतु रात को चुना गया।
(ये निर्णायक कौन था?)
दृष्टि का विस्तार समंदर ईजाद करता है
और यदि समंदर खड़ा हो जाए तो आसमान का निर्माण होता है।
(दृष्टि क्या है?)
ऐसे ही एक रोज़ नीत्शे ने कहा : ईश्वर मर गया।
वाजिब सवाल तो यह है कि
क्या कभी वह था भी?
asman phata to uske bahaw mein ishwar abadh gati se bahne laga
ye kahani mujhe meri chhanw mein baith susta rahe ek peD ne sunai thi
(in dinon ishwar kahan hai?)
ek chitrkar suraj ko rozana is ashwasan par apne lahu se ranga karta tha
ki ye raaz sirf un donon ke beech rahega
(ye chitrkar kaun tha?)
asman ki band palken raat hain aur putliyan din,
raat ke sannate se adhik din ka biyaban akharta hai
isliye neend ki kriya ke nirwah hetu raat ko chuna gaya
(ye nirnayak kaun tha?)
drishti ka wistar samandar ijad karta hai
aur yadi samandar khaDa ho jaye to asman ka nirman hota hai
(drishti kya hai?)
aise hi ek roz nitshe ne kaha ha ishwar mar gaya
wajib sawal to ye hai ki
kya kabhi wo tha bhee?

स्रोत :
रचनाकार : आरती अबोध
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.