क्षति में
संघर्ष में
एक अज़ीब-सी अनिश्चिता में
कोई उम्मीद कैसे खोजे?
कहाँ खोजे?
और जब लगता है कि सब कुछ खो दिया है हमने
तो शायद इस अल्फ़ाज़ में मायने मिलते हैं
इस अल्फ़ाज़ का नाम है घर
घर कोई ईंट की चार दीवारों पे तंगी महज़ एक छत नहीं
वो एक एहसास है
घर एक खुली सड़क है
ना पलटा हुआ एक पन्ना
वो पीछे छूट गया गरम दस्ताना
जिसे लौटाने मैं वापस नहीं गया
दीमकों के खाए हुए दरवाज़े,
जंग लगे तालों के बीच
चरमराती यादों को लिए खड़ा है
एक मकान,
हज़ारों मील दूर,
एक याद लिए
याद उस घर की
अपनी ज़मीन की
एक ज़माने की
इस फ़साने की
बूँद-बूँद रिसते
इस लम्हे की तरह एक दिन
वो यादें भी सूख जाएँगी
घर और उसकी यादें
वही हमें ज़िंदा रखती हैं
उस बरगद की परछाई जैसे
जिसकी उस डाल पे
उन पंछियों ने एक घोंसला बनाया है
उस घोंसले की कोई छत नहीं
लेकिन आसमान को छूने की आशा है
यही है बस
एक लम्हा
एक उम्मीद भरा लम्हा
kshati mein
sangharsh mein
ek azib si anishchita mein
koi ummid kaise khoje?
kahan khoje?
aur jab lagta hai ki sab kuch kho diya hai hamne
to shayad is alfaz mein mayne milte hain
is alfaz ka naam hai ghar
ghar koi iint ki chaar divaron pe tangi mahz ek chhat nahin
wo ek ehsaas hai
ghar ek khuli saDak hai
na palta hua ek panna
wo pichhe chhoot gaya garam dastana
jise lautane main vapas nahin gaya
dimkon ke khaye hue darvaze,
jang lage talon ke beech
charamrati yadon ko liye khaDa hai
ek makan,
hazaron meel door,
ek yaad liye
yaad us ghar ki
apni zamin ki
ek zamane ki
is fasane ki
boond boond riste
is lamhe ki tarah ek din
wo yaden bhi sookh jayengi
ghar aur uski yaden
vahi hamein zinda rakhti hain
us bargad ki parchhai jaise
jiski us Daal pe
un panchhiyon ne ek ghonsla banaya hai
us ghonsle ki koi chhat nahin
lekin asman ko chhune ki aasha hai
yahi hai bas
ek lamha
ek ummid bhara lamha
kshati mein
sangharsh mein
ek azib si anishchita mein
koi ummid kaise khoje?
kahan khoje?
aur jab lagta hai ki sab kuch kho diya hai hamne
to shayad is alfaz mein mayne milte hain
is alfaz ka naam hai ghar
ghar koi iint ki chaar divaron pe tangi mahz ek chhat nahin
wo ek ehsaas hai
ghar ek khuli saDak hai
na palta hua ek panna
wo pichhe chhoot gaya garam dastana
jise lautane main vapas nahin gaya
dimkon ke khaye hue darvaze,
jang lage talon ke beech
charamrati yadon ko liye khaDa hai
ek makan,
hazaron meel door,
ek yaad liye
yaad us ghar ki
apni zamin ki
ek zamane ki
is fasane ki
boond boond riste
is lamhe ki tarah ek din
wo yaden bhi sookh jayengi
ghar aur uski yaden
vahi hamein zinda rakhti hain
us bargad ki parchhai jaise
jiski us Daal pe
un panchhiyon ne ek ghonsla banaya hai
us ghonsle ki koi chhat nahin
lekin asman ko chhune ki aasha hai
yahi hai bas
ek lamha
ek ummid bhara lamha
स्रोत :
रचनाकार : द्वारिका उनियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.