तुम्हारे पतझर मन-मौसम के लिए लाऊँगा
वसंत
गाऊँगा गीत
वन-पखेरूओं का भिनसारी कलरव
अपने कंठ में उतारूँगा
क्रीड़ाएँ करूँगा
आषाढ़ की बदली बन
बरस जाऊँगा
पानी से आग्रह करूँगा वह तुमसे
दोस्ती करे
सारे रागों को आमंत्रित करूँगा
फूलों को लिखूँगा पत्र
कि
आना भूलना मत
तुम्हारे कोरे दुपट्टों के लिए
कशीदाकारी सीखूँगा
बनाऊँगा बेल-बूटे दुनिया जहान के
इंद्रधनुष उठा लाऊँगा अपने इन कंधों पर
भले वह दुर्गम पहाड़ी के पीछे खिलता हो
तुम चाँद देखकर हाथ बढ़ाओ और
अगली रात उसे अपनी आँख में उगता पाओ
तो आश्चर्य कैसा
असंभव कुछ भी नहीं है मेरे लिए
तुम्हारी ये पनीली आँखें कुछ भी करवा सकती हैं मुझसे
कुछ भी कर जाऊँगा मैं तुम्हारी इन पनीली आँखों के लिए।
tumhare patjhar man mausam ke liye launga
wasant
gaunga geet
wan pakheruon ka bhinsari kalraw
apne kanth mein utarunga
kriDayen karunga
ashaDh ki badli ban
baras jaunga
pani se agrah karunga wo tumse
dosti kare
sare ragon ko amantrit karunga
phulon ko likhunga patr
ki
ana bhulna mat
tumhare kore dupatton ke liye
kashidakari sikhunga
banaunga bel bute duniya jahan ke
indradhnush utha launga apne in kandhon par
bhale wo durgam pahaDi ke pichhe khilta ho
tum chand dekhkar hath baDhao aur
agli raat use apni ankh mein ugta pao
to ashchary kaisa
asambhaw kuch bhi nahin hai mere liye
tumhari ye panili ankhen kuch bhi karwa sakti hain mujhse
kuch bhi kar jaunga main tumhari in panili ankhon ke liye
tumhare patjhar man mausam ke liye launga
wasant
gaunga geet
wan pakheruon ka bhinsari kalraw
apne kanth mein utarunga
kriDayen karunga
ashaDh ki badli ban
baras jaunga
pani se agrah karunga wo tumse
dosti kare
sare ragon ko amantrit karunga
phulon ko likhunga patr
ki
ana bhulna mat
tumhare kore dupatton ke liye
kashidakari sikhunga
banaunga bel bute duniya jahan ke
indradhnush utha launga apne in kandhon par
bhale wo durgam pahaDi ke pichhe khilta ho
tum chand dekhkar hath baDhao aur
agli raat use apni ankh mein ugta pao
to ashchary kaisa
asambhaw kuch bhi nahin hai mere liye
tumhari ye panili ankhen kuch bhi karwa sakti hain mujhse
kuch bhi kar jaunga main tumhari in panili ankhon ke liye
स्रोत :
रचनाकार : नीरव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.