घुटन भरे दिन / पसरे हैं नदी के
इस किनारे से उस किनारे तक
लहरों पर सवार सपने / आत्मघात करते हैं
हर पल, हर क्षण / मछलियाँ पूछती हैं
कहाँ तक तैर सकती हैं हम?
मगरमच्छ निश्चिंत नींद निकालते हैं।
उनके चौकीदार बताते हैं पट्टा नदी का
मछलियों और जल-पक्षियों को
घुटन भरे दिन पसरे हैं
नदी के आस-पास / चारों दिशाओं में।
घाट-घाट बैठे हैं पंडे
श्राद्ध का सरंजाम लेकर
प्यासी आत्माओं की मुक्ति के लिए
नदी का अथाह जल व्यर्थ हो रहा है
सूरज की पहली किरण से
अंतिम किरण तक
और देखते-देखते सुनहरे केशों वाली
नदी की धार अदृश्य हो जाती है।
एक अँधेरी खोह में।
ghutan bhare din / pasre hain nadi ke
is kinare se us kinare tak
lahron par sawar sapne / atmghat karte hain
har pal, har kshan / machhliyan puchhti hain
kahan tak tair sakti hain ham?
magarmachh nishchint neend nikalte hain
unke chaukidar batate hain patta nadi ka
machhaliyon aur jal pakshiyon ko
ghutan bhare din pasre hain
nadi ke aas pas / charon dishaon mein
ghat ghat baithe hain panDe
shraddh ka saranjam lekar
pyasi atmaon ki mukti ke liye
nadi ka athah jal byarth ho raha hai
suraj ki pahli kiran se
antim kiran tak
aur dekhte dekhte sunahre keshonwali
nadi ki dhaar adrshy ho jati hai
ek andheri khoh mein
ghutan bhare din / pasre hain nadi ke
is kinare se us kinare tak
lahron par sawar sapne / atmghat karte hain
har pal, har kshan / machhliyan puchhti hain
kahan tak tair sakti hain ham?
magarmachh nishchint neend nikalte hain
unke chaukidar batate hain patta nadi ka
machhaliyon aur jal pakshiyon ko
ghutan bhare din pasre hain
nadi ke aas pas / charon dishaon mein
ghat ghat baithe hain panDe
shraddh ka saranjam lekar
pyasi atmaon ki mukti ke liye
nadi ka athah jal byarth ho raha hai
suraj ki pahli kiran se
antim kiran tak
aur dekhte dekhte sunahre keshonwali
nadi ki dhaar adrshy ho jati hai
ek andheri khoh mein
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक भारतीय कविता संचयन राजस्थानी (1950-2010) (पृष्ठ 64)
संपादक : नंद भारद्वाज
रचनाकार : भगवतीलाल व्यास
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.