एक खुले मौसम में
वह बूढ़ा
वहाँ समंदर किनारे
पथरीली बैंच पर
क्या यूँ ही
शताब्दियों तक बैठा रहेगा?
हम सबके पास घड़ियाँ हैं
पर
ये घड़ियाँ
शताब्दियों का समय नहीं बतातीं
फिर
हम
सब के सब
घर से बाहर
क्यों निकल आते हैं?
समंदर किनारे
जब मैं था
मैंने
घर के बारे में ही
सोचा था
घर
एक अनगिनत शाखाओं वाला पेड़ है
जो
हर मौसम में
हरा हो जाता है
घर
एक बढ़ई है
जो
तुम्हें छीलकर
कुर्सियाँ, टेबल और सोफ़ा
बनाता है
घर
निर्णय लेने के हर मौक़े पर
बिलखता हुआ आता है
और पाँवों से
लिपट जाता है
घर...
तब
घर के बारे में मैंने
और भी जाने क्या-क्या सोचा था
बूढ़ा भी क्या सोचता है बहुत
घर के बारे में
घर के बारे में सोचता हुआ
वह
डरता क्यों नहीं
या
वह
डर से बाहर आकर
डर को देख रहा है
घर और डर
आख़िर यह क्या है
या
यह सिर्फ़ एक ताज्जुब है
जो जितनी देर
समंदर के किनारे होता है
घर के बारे में सोचता है
क्या मैं
इस बूढ़े की तरह
एक पूरी शाम
इस समंदर पर रहूँगा
मैंने सोचा
जबकि यह सोचना
न
जाने
कितनी बार
हो चुका था
ek khule mausam mein
wo buDha
wahan samandar kinare
pathrili bainch par
kya yoon hi
shatabdiyon tak baitha rahega?
hum sabke pas ghaDiyan hain
par
ye ghaDiyan
shatabdiyon ka samay nahin batatin
phir
hum
sab ke sab
ghar se bahar
kyon nikal aate hain?
samandar kinare
jab main tha
mainne
ghar ke bare mein hi
socha tha
ghar
ek anaginat shakhaon wala peD hai
jo
har mausam mein
hara ho jata hai
ghar
ek baDhai hai
jo
tumhein chhilkar
kursiyan, table aur sofa
banata hai
ghar
nirnay lene ke har mauqe par
bilakhta hua aata hai
aur panwon se
lipat jata hai
ghar
tab
ghar ke bare mein mainne
aur bhi jane kya kya socha tha
buDha bhi kya sochta hai bahut
ghar ke bare mein
ghar ke bare mein sochta hua
wo
Darta kyon nahin
ya
wo
Dar se bahar aakar
Dar ko dekh raha hai
ghar aur Dar
akhir ye kya hai
ya
ye sirf ek tajjub hai
jo jitni der
samandar ke kinare hota hai
ghar ke bare mein sochta hai
kya main
is buDhe ki tarah
ek puri sham
is samandar par rahunga
mainne socha
jabki ye sochna
na
jane
kitni bar
ho chuka tha
ek khule mausam mein
wo buDha
wahan samandar kinare
pathrili bainch par
kya yoon hi
shatabdiyon tak baitha rahega?
hum sabke pas ghaDiyan hain
par
ye ghaDiyan
shatabdiyon ka samay nahin batatin
phir
hum
sab ke sab
ghar se bahar
kyon nikal aate hain?
samandar kinare
jab main tha
mainne
ghar ke bare mein hi
socha tha
ghar
ek anaginat shakhaon wala peD hai
jo
har mausam mein
hara ho jata hai
ghar
ek baDhai hai
jo
tumhein chhilkar
kursiyan, table aur sofa
banata hai
ghar
nirnay lene ke har mauqe par
bilakhta hua aata hai
aur panwon se
lipat jata hai
ghar
tab
ghar ke bare mein mainne
aur bhi jane kya kya socha tha
buDha bhi kya sochta hai bahut
ghar ke bare mein
ghar ke bare mein sochta hua
wo
Darta kyon nahin
ya
wo
Dar se bahar aakar
Dar ko dekh raha hai
ghar aur Dar
akhir ye kya hai
ya
ye sirf ek tajjub hai
jo jitni der
samandar ke kinare hota hai
ghar ke bare mein sochta hai
kya main
is buDhe ki tarah
ek puri sham
is samandar par rahunga
mainne socha
jabki ye sochna
na
jane
kitni bar
ho chuka tha
स्रोत :
पुस्तक : अदृश्य हो जाएँगी सूखी पत्तियाँ (पृष्ठ 19)
रचनाकार : विजय कुमार
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस
संस्करण : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.