ऊपर की ओर जाती सीढ़ियाँ वीरान हैं
उन पर बिछी है धूल की चादर
वह बताती है
आख़िरी बार क़दम कब रखे गए
नीचे के आँगन से ऊपर के बरामदे तक।
बरामदे में खेलने की आवाज़ें सुनाई नहीं देतीं
ख़ामोशी पसरी है वहाँ—
अपनी अदृश्य भुजाओं को
कोनों तक फैलाकर।
जिन दीवारों पर कभी बड़ी-बड़ी तस्वीरें थीं,
उनकी जगह अब चूने की पपड़ियाँ हैं।
कुछ चीज़ें नहीं बदली हैं,
जैसे हर सुबह,
धूप का आँगन से आलिंगन
और दिन भर के साथ के बाद
शाम होते ही लौट जाना।
ऊपर जाती सीढ़ियों के सहारे बढ़ती बेल
उन पर चिड़ियाओं का आना-जाना
जारी है बेल का बढ़ना
जारी है चिड़ियाओं का चहचहाना
बिखर चुके घर में
अपना एक घर बनाना।
upar ki or jati siDhiyan wiran hain
un par bichhi hai dhool ki chadar
wo batati hai
akhiri bar qadam kab rakhe gaye
niche ke angan se upar ke baramde tak
baramde mein khelne ki awazen sunai nahin detin
khamoshi pasri hai wahan—
apni adrshy bhujaon ko
konon tak phailakar
jin diwaron par kabhi baDi baDi taswiren theen,
unki jagah ab chune ki papDiyan hain
kuch chizen nahin badli hain,
jaise har subah,
dhoop ka angan se alingan
aur din bhar ke sath ke baad
sham hote hi laut jana
upar jati siDhiyon ke sahare baDhti bel
un par chiDiyaon ka aana jana
jari hai bel ka baDhna
jari hai chiDiyaon ka chahchahana
bikhar chuke ghar mein
apna ek ghar banana
upar ki or jati siDhiyan wiran hain
un par bichhi hai dhool ki chadar
wo batati hai
akhiri bar qadam kab rakhe gaye
niche ke angan se upar ke baramde tak
baramde mein khelne ki awazen sunai nahin detin
khamoshi pasri hai wahan—
apni adrshy bhujaon ko
konon tak phailakar
jin diwaron par kabhi baDi baDi taswiren theen,
unki jagah ab chune ki papDiyan hain
kuch chizen nahin badli hain,
jaise har subah,
dhoop ka angan se alingan
aur din bhar ke sath ke baad
sham hote hi laut jana
upar jati siDhiyon ke sahare baDhti bel
un par chiDiyaon ka aana jana
jari hai bel ka baDhna
jari hai chiDiyaon ka chahchahana
bikhar chuke ghar mein
apna ek ghar banana
स्रोत :
रचनाकार : शुभम् आमेटा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.