घर से जाते हुए
जुटाती हूँ ज़रूरत की प्रत्येक वस्तु
अपने छोटे से गाँव की बाज़ार से
महानगरों में मिलती हैं बेशक
हमारे सोचे से अधिक नायाब चीज़ें
किन्तु वहाँ नहीं मिलता अपनापन
जुटाती हूँ चीज़ें ताकि शामिल रहे घर मेरी दिनचर्या में
मेरे न होते हुए भी
घर पर
लौट आता है घर भी मेरी ओर
प्रत्यक्ष अप्रत्यक्ष क्षणों में
कई-कई बार
घर लौटता है
माँ के हाथों बनी निमकी और ठेकुए में
बेस्वाद खानों के बीच घर का बना अचार ही तो
देता है संबल
और स्वाद भी
लौट आता है घर
दादी के हाथों दिए पान-सौ टकिए में
जिसे ख़र्चने के ठीक पहले
जीवंत हो उठता है वही दृश्य—
'घर से जाते हुए'
जिसे ख़र्चना ख़ुद का एक टुकड़ा ख़र्चने जैसे हीं है
कैसी महानगरीय त्रासदी है
न चाहते हुए भी जहाँ
ख़र्च जाती है घर से मिली आशिर्वादी
जहाँ ख़र्च होती जा रही हूँ—
मैं भी
शेष बची हुई मैं
ख़र्चने के अंतिम कगार पर होती ही हूँ
कि पिता की आवाज़ गूँजती है आँखों में
घर कब आओगी?
ghar se jate hue
jutati hoon zarurat ki pratyek vastu
apne chhote se gaanv ki bazar se
mahanagron mein milti hain beshak
hamare soche se adhik nayab chizen
kintu vahan nahin milta apnapan
jutati hoon chizen taki shamil rahe ghar meri dincharya mein
mere na hote hue bhi
ghar par
laut aata hai ghar bhi meri or
pratyaksh apratyaksh kshnon mein
kai kai baar
ghar lautta hai
maan ke hathon bani nimki aur thekue men
besvad khanon ke beech ghar ka bana achar hi to
deta hai sambal
aur svaad bhi
laut aata hai ghar
dadi ke hathon diye paan sau takiye men
jise kharchne ke theek pahle
jivant ho uthta hai vahi drishya—
ghar se jate hue
jise kharchna khud ka ek tukDa kharchne jaise heen hai
kaisi mahanagriy trasadi hai
na chahte hue bhi jahan
kharch jati hai ghar se mili ashirvadi
jahan kharch hoti ja rahi hoon—
main bhi
shesh bachi hui main
kharchne ke antim kagar par hoti hi hoon
ki pita ki avaz gunjti hai ankhon mein
ghar kab aogi?
ghar se jate hue
jutati hoon zarurat ki pratyek vastu
apne chhote se gaanv ki bazar se
mahanagron mein milti hain beshak
hamare soche se adhik nayab chizen
kintu vahan nahin milta apnapan
jutati hoon chizen taki shamil rahe ghar meri dincharya mein
mere na hote hue bhi
ghar par
laut aata hai ghar bhi meri or
pratyaksh apratyaksh kshnon mein
kai kai baar
ghar lautta hai
maan ke hathon bani nimki aur thekue men
besvad khanon ke beech ghar ka bana achar hi to
deta hai sambal
aur svaad bhi
laut aata hai ghar
dadi ke hathon diye paan sau takiye men
jise kharchne ke theek pahle
jivant ho uthta hai vahi drishya—
ghar se jate hue
jise kharchna khud ka ek tukDa kharchne jaise heen hai
kaisi mahanagriy trasadi hai
na chahte hue bhi jahan
kharch jati hai ghar se mili ashirvadi
jahan kharch hoti ja rahi hoon—
main bhi
shesh bachi hui main
kharchne ke antim kagar par hoti hi hoon
ki pita ki avaz gunjti hai ankhon mein
ghar kab aogi?
स्रोत :
रचनाकार : अपूर्वा श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.