जीने के लिए नहीं
हम मरने के लिए लौट रहे हैं
जीने के लिए तो हम आए थे इस महानगर में इतनी दूर
जहाँ हम मर-मर कर जीते रहे
रास्ते में मर जाएँगे
या हम पहुँच जाएँगे वहाँ
जहाँ हम पैदा हुए थे
जहाँ की मिट्टी में दबी हुई है हमारी नाल
जिस मिट्टी में खेलकर बड़े हुए
उसी मिट्टी में मिल जाना चाहते हैं
जीने तो नहीं दिया
क्या मरने भी नहीं दोगे
हम चल रहे हैं
हम चले जा रहे हैं
रेल की पटरियों को और
राजपथों को पीछे छोड़ते हुए
अपने देस अपने गाँव
पैदल और पाँव पाँव
हाथ के छालों से तो बेहतर हैं—
पाँव के छाले!
jine ke liye nahin
hum marne ke liye laut rahe hain
jine ke liye to hum aaye the is mahangar mein itni door
jahan hum mar mar kar jite rahe
raste mein mar jayenge
ya hum pahunch jayenge wahan
jahan hum paida hue the
jahan ki mitti mein dabi hui hai hamari nal
jis mitti mein khelkar baDe hue
usi mitti mein mil jana chahte hain
jine to nahin diya
kya marne bhi nahin doge
hum chal rahe hain
hum chale ja rahe hain
rail ki patariyon ko aur
rajapthon ko pichhe chhoDte hue
apne des apne ganw
paidal aur panw panw
hath ke chhalon se to behtar hain—
panw ke chhale!
jine ke liye nahin
hum marne ke liye laut rahe hain
jine ke liye to hum aaye the is mahangar mein itni door
jahan hum mar mar kar jite rahe
raste mein mar jayenge
ya hum pahunch jayenge wahan
jahan hum paida hue the
jahan ki mitti mein dabi hui hai hamari nal
jis mitti mein khelkar baDe hue
usi mitti mein mil jana chahte hain
jine to nahin diya
kya marne bhi nahin doge
hum chal rahe hain
hum chale ja rahe hain
rail ki patariyon ko aur
rajapthon ko pichhe chhoDte hue
apne des apne ganw
paidal aur panw panw
hath ke chhalon se to behtar hain—
panw ke chhale!
स्रोत :
रचनाकार : कृष्ण कल्पित
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.