पहले घर में घुसते ही
एक अजीब-सा उतावलापन होता था
कि मैं बड़ी तत्परता से नज़र फेर लूँ
कि सब कुछ यथावत है या नहीं
और घर भी जैसे मेरी प्रतीक्षा में
अपना सारा काम-धाम छोड़कर खड़ा हो।
आँगन में अलगनी पर माँ की साड़ी सूखती रहती
धुएँ से काले हुए रौशनदान ताकते रहते
कि जैसे मैं उन्हें पहचान रहा हूँ या नहीं।
माँ गुनगुनाते हुए चावल बीनती दिख जाती
गाना गुनगुनाते वक़्त माँ से कुछ कहो तो
वह बोलती नहीं थी
कई बार कहो तो वह झुँझला जाती
माँ का झुँझलाना तब बहुत अच्छा लगता था।
शाम के वक़्त घर पहुँचो तो
पिता बाज़ार से सब्ज़ी लाने गए होते
और कुछ ही क्षण में आ जाते
यह दृश्य इतना नपा-तुला था
कि इसमें कुछ भी नयापन
या अजीब नहीं दिखाई देता
चाहे जितनी बार बाहर से लौटकर घर जाओ।
अब चाहे जितनी बार घर जाओ
माँ चावल बीनते हुए दिखाई नहीं देती
धुएँ से काले पड़े रौशनदानों को कोई फ़र्क़ नहीं
कि मैं उन्हें पहचान रहा हूँ या नहीं
पलस्तर जमी हुई काई के नीचे से
देखते हैं मुझे और चुप हो जाते हैं।
बाज़ार से सबज़ी लाने जैसी
अब कोई प्रक्रिया नहीं
सब्ज़ीवाला अब ठीक दरवाज़े पर ही आ जाता है।
लगता है जैसे समूचा घर
एक सफ़ेद चादर से ढक गया है
और वे सारी चीज़ें
जिन्हें मैं बड़े उतावलेपन से ढूँढ़ता हूँ
उसके नीचे छुप गई हैं।
घर जाने में अब
घर जैसा सुख नहीं रहा।
घर जाने में अब डर लगता है
कि फिर मुझे लौटकर आना है।
pahle ghar mein ghuste hi
ek ajib sa utawalapan hota tha
ki main baDi tatparta se nazar pher loon
ki sab kuch yathawat hai ya nahin
aur ghar bhi jaise meri pratiksha mein
apna sara kaam dham chhoDkar khaDa ho
angan mein algani par man ki saDi sukhti rahti
dhuen se kale hue raushandan takte rahte
ki jaise main unhen pahchan raha hoon ya nahin
man gungunate hue chawal binti dikh jati
gana gungunate waqt man se kuch kaho to
wo bolti nahin thi
kai bar kaho to wo jhunjhla jati
man ka jhunjhlana tab bahut achchha lagta tha
sham ke waqt ghar pahuncho to
pita bazar se sabzi lane gaye hote
aur kuch hi kshan mein aa jate
ye drishya itna napa tula tha
ki ismen kuch bhi nayapan
ya ajib nahin dikhai deta
chahe jitni bar bahar se lautkar ghar jao
ab chahe jitni bar ghar jao
man chawal binte hue dikhai nahin deti
dhuen se kale paDe raushandanon ko koi farq nahin
ki main unhen pahchan raha hoon ya nahin
palastar jami hui kai ke niche se
dekhte hain mujhe aur chup ho jate hain
bazar se sabzi lane jaisi
ab koi prakriya nahin
sabziwala ab theek darwaze par hi aa jata hai
lagta hai jaise samucha ghar
ek safed chadar se Dhak gaya hai
aur we sari chizen
jinhen main baDe utawlepan se DhunDhata hoon
uske niche chhup gai hain
ghar jane mein ab
ghar jaisa sukh nahin raha
ghar jane mein ab Dar lagta hai
ki phir mujhe lautkar aana hai
pahle ghar mein ghuste hi
ek ajib sa utawalapan hota tha
ki main baDi tatparta se nazar pher loon
ki sab kuch yathawat hai ya nahin
aur ghar bhi jaise meri pratiksha mein
apna sara kaam dham chhoDkar khaDa ho
angan mein algani par man ki saDi sukhti rahti
dhuen se kale hue raushandan takte rahte
ki jaise main unhen pahchan raha hoon ya nahin
man gungunate hue chawal binti dikh jati
gana gungunate waqt man se kuch kaho to
wo bolti nahin thi
kai bar kaho to wo jhunjhla jati
man ka jhunjhlana tab bahut achchha lagta tha
sham ke waqt ghar pahuncho to
pita bazar se sabzi lane gaye hote
aur kuch hi kshan mein aa jate
ye drishya itna napa tula tha
ki ismen kuch bhi nayapan
ya ajib nahin dikhai deta
chahe jitni bar bahar se lautkar ghar jao
ab chahe jitni bar ghar jao
man chawal binte hue dikhai nahin deti
dhuen se kale paDe raushandanon ko koi farq nahin
ki main unhen pahchan raha hoon ya nahin
palastar jami hui kai ke niche se
dekhte hain mujhe aur chup ho jate hain
bazar se sabzi lane jaisi
ab koi prakriya nahin
sabziwala ab theek darwaze par hi aa jata hai
lagta hai jaise samucha ghar
ek safed chadar se Dhak gaya hai
aur we sari chizen
jinhen main baDe utawlepan se DhunDhata hoon
uske niche chhup gai hain
ghar jane mein ab
ghar jaisa sukh nahin raha
ghar jane mein ab Dar lagta hai
ki phir mujhe lautkar aana hai
स्रोत :
रचनाकार : पंकज प्रखर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.