अब कि फिर उदास बैठी है गंगा
कि दो दिन बाद
उसके अमृत पानी में
रंगों का ज़हर घोला जाएगा...
इंसान तो ख़ैर इंसान ठहरे
बस के ग़लतियों का पुतला हैं,
गंगा तो इस बात से डरती है
कि दशहरे के बाद
देवी-देवताओं की जमात भी
राक्षसों के साथ आएगी डूबने के लिए
प्लास्टिक रंगों और कैमिकलों से
मितली-सी आती है उसे...
कभी-कभी साहिल पे आकर
ख़ुद को पहचानने की
एक कोशिश करती है
और दर्द से सिहर उठती है
जब ख़याल आता है उसे
छोटी बहन यमुना के
बेरंग काले पानी का...
क्या करती भला गंगा
इंसानों को पालने की
ज़िम्मेदारी जो है उसके सिर पर
बद्दुआ भी नहीं दे सकती...
मगर हम इंसान तो
एक इंसान ही ठहरे
ग़लतियों का एक पुतला...
ab ki phir udas baithi hai ganga
ki do din baad
uske amrit pani mein
rangon ka zahr ghola jayega
insan to khair insan thahre
bus ke ghalatiyon ka putla hain,
ganga to is baat se Darti hai
ki dashahre ke baad
dewi dewtaon ki jamat bhi
rakshson ke sath ayegi Dubne ke liye
plastic rangon aur kaimiklon se
mitli si aati hai use
kabhi kabhi sahil pe aakar
khu ko pahchanne ki
ek koshish karti hai
aur dard se sihar uthti hai
jab khayal aata hai use
chhoti bahan yamuna ke
berang kale pani ka
kya karti bhala ganga
insanon ko palne ki
zimmedari jo hai uske sir par
baddua bhi nahin de sakti
magar hum insan to
ek insan hi thahre
ghalatiyon ka ek putla
ab ki phir udas baithi hai ganga
ki do din baad
uske amrit pani mein
rangon ka zahr ghola jayega
insan to khair insan thahre
bus ke ghalatiyon ka putla hain,
ganga to is baat se Darti hai
ki dashahre ke baad
dewi dewtaon ki jamat bhi
rakshson ke sath ayegi Dubne ke liye
plastic rangon aur kaimiklon se
mitli si aati hai use
kabhi kabhi sahil pe aakar
khu ko pahchanne ki
ek koshish karti hai
aur dard se sihar uthti hai
jab khayal aata hai use
chhoti bahan yamuna ke
berang kale pani ka
kya karti bhala ganga
insanon ko palne ki
zimmedari jo hai uske sir par
baddua bhi nahin de sakti
magar hum insan to
ek insan hi thahre
ghalatiyon ka ek putla
स्रोत :
रचनाकार : वसीम अकरम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.