चल पड़ा गड़रिया दूब भरी घाटियों की ओर घुमाता हुआ अपनी लठिया को
चल पड़ा गड़रिया दूब भरी घाटियों की ओर
निकला लड़ने कुश्ती वर्षा और कीचड़ के साथ, नहीं खाता भय
आँधी से अँधियारी से, विद्युत और तूफ़ान से—चल पड़ा गड़रिया
चढ़ा पठारों पर यात्रा के लिए एक उत्साह लिए दौड़ता हुआ बबरशेर की भाँति
पसीने से तर-ब-तर चिलचिलाती धूप में—चल पड़ा गड़रिया
घिर गया कहीं वर्षा में, चकराया कहीं सिर इसका ओलों की मार में
उड़ा लिया कहीं इसे पश्चिमी झक्कड़ ने―चल पड़ा गड़रिया
गिर पड़ा औधे मुँह पश्चिमी झक्कड़ में और जल इसे बहा ले गया एक नौका की भाँति
हुआ घायल खा-खाकर धचके, झटके—चल पड़ा गड़रिया
जो छिपा नीचे चट्टानों के सँभालने अपने आप को
मर-मर के मानो कई बार जन्म लिया इसने—चल पड़ा गड़रिया
बढ़ता गया आगे ही आगे किस चाव से पड़ा नहीं बल इसकी कमर में
यात्रा के उत्साह में स्थिर है जा रहा—चल पड़ा गड़रिया
तंग नहीं हुआ आघातों से, इसके पग में बल है और तीव्र गति
क्योंकि निकला है शैशव ही से सफ़र करने—चल पड़ा गड़रिया
यात्रा के इस उत्साह पर निछावर हैं इसके साथी आरंभ से ही
यह सूर्य चाँद तारे और यह वायु—चल पड़ा गड़रिया
कहा यह शशि ने जलाऊँगा तेरे लिये मशाले तारों की अँधियारी रातों में
और प्रज्वलित करूँगा पथ तेरे लिए चाँदनी रातों में—चल पड़ा गड़रिया...
कहा यह रवि ने न देना उलाहना मुझे कि जलाया तुझे मैंने पथ पर कड़कती धूप से
(विश्वास रखो) पहुँचाऊँगा ठंडक (दूब भरी घाटियों में) हिम की शीतल वायु से तेरे
शरीर को—चल पड़ा गड़रिया
कहा यह वायु ने सफ़र के ताप में हारना नहीं दम, करूँगी ठंडा तेरे रोम
रोम के पसीने को—चल पड़ा गडरिया
आया गड़रिया नंगे पैर करता छिड़काव पैरों के रक्त का शूल भरी झाड़ियों में से
सोनमर्ग, केरन और द्रावा की घाटियों में से―चल पड़ा गडरिया
आया हाँकता हुआ हाँफती हुई भेड़ों और बकरियों को तीखी चट्टानों पर से
टीलों पर से, और हुआ प्रवेश इसका एक मीर शिकारी की भाँति दूब भरी घाटी में—
चल पड़ा गड़रिया
लगी पिघलने जमी हुई प्रीत हिम-खंडों की इसी के प्रेम में
और खिल उठा माथा पर्वतों और पहाड़ो का—चल पड़ा गड़रिया
आया स्वय भाग्य का शिल्पी मानो बुनता हुआ चादरें प्रपात की
क्योंकि सूचना थी आने की नंग-धड़ंग गड़रिये की—चल पड़ा गड़रिया...
बिछ गया फर्श मखमल का स्थान-स्थान पर हरियाली का क्योंकि आया है दूर से
अतिथि एक थका हारा— चल पड़ा गड़रिया...
आई नदी भी इसी के अनुराग से गरजती हुई उछलती हुई
पांचाल पर्वत के हिम शिखरों से परंतु जल रही देह इसकी थकान से—चल पड़ा गड़रिया
बन में इसके मीत इसकी सखियाँ यही भेड़ें यही बकरियाँ यहीं गायें
बिताता रहता दिन साथ इन्हीं के—चल पड़ा गड़रिया
बैठ गया चोटी पर जैसे एक वाइज़ (उपदेशक) जो उतरा हो सातवें आकाश से
और मानो बना रहा हो भेद भाग्य के—चल पड़ा गड़रिया
झूम उठा बन सारा इसकी मुरली की तान से और सुन रहे हैं कान देकर
यह चीड़ और यह देवदार मानो एक नया यौवन आया हो पेड़ों में—
चल पड़ा गड़रिया...
चढ़ा सेनापति टीलों पर मानो सेना लेकर अपने रेवड़ की, घुमाता हुआ
अपनी लठिया को
और तोड़ता हुआ गौरव पर्वत का—चल पड़ा गड़रिया
मुँह में पानी भर आया भेड़ियों और चीतों के देखकर भेड़-बकरियों को
उनकी गरज से सारा वन काँप उठा—चल पड़ा गड़रिया
फिर बैठ गया गड़रिया एक अलाव जलाकर रखवाली करता
एक पिता की भाँति अपने बच्चों की ओर से लड़ता रहा कुश्ती रीछों से—
चल पड़ा गड़रिया
जब आया चैन-सा निश्चिंतता-सी और हुई मस्त दूब भरी घाटी में
यह भेड़ें और बकरियाँ, आई याद गड़रिये को अपने घर की—
चल पड़ा गड़रिया
चल पड़ा था प्रेम की घाटियों की ओर जब फूल खिल रहे थे वसंत में
और लौटा घर को अब पतझड में, पहुँचा घर जब मानो फिर से जन्म लिया
माँ की कोख से―चल पड़ा गड़रिया
आया कवि “फानी भी प्रेम की घाटी में सुनने संगीत दर्द के साज का
आया लय में सुनकर तान किसी मुरली की—चल पड़ा गड़रिया।
chal paDa gaDariya doob bhari ghatiyon ki or ghumata hua apni lathiya ko
chal paDa gaDariya doob bhari ghatiyon ki or
nikla laDne kushti varsha aur kichaD ke saath, nahin khata bhay
andhi se andhiyari se, vidyut aur tufan se—chal paDa gaDariya. . .
chaDha patharo par yatra ke liye ek utsaah liye dauDta hua babarsher ki bhanti
pasino se tarabtar chilchilati dhoop men—chal paDa gaDariya. . .
ghir gaya kahin varsha mae, chakraya kahi sir iska olo ki maar mein
uDa liya kahi ise pashchimi jhakkaD ne―chal paDa gaDariya
gir paDa audhe munh pashchimi jhakkaD mein aur jal ise vahan le gaya ek nauka ki bhanti
hua ghayal kha kha kar dhachke, jhatke—chal paDa gaDariya
jo chhipa niche chattano ke sambhalne apne aap ko
mar mar ke mano kai baar janm liya isne—chal paDa gaDariya
baDhta gaya aage hi aage kis chaav paDa nahin bal iski kamar men
yatra ke utsaah mein sthir hai ja raha—chal paDa gaDariya
tag nahin hua aghaton se, iske pag mein bal hain aur teevr gati
kyonki nikla hai shaishav hi se safar karne—chal paDa gaDariya
yatra ke is utsaah par nichhavar hai iske sathi arambh se hi
ye surya chaand tare aur ye vayu—chal gaya gaDariya
kaha ye shashi ne jalaunga tere liye mashale taron ki andhiyari rato mein
aur prajvalit karunga path tere liye chandni raton men—chal paDa gaDariya. . .
kaha ye ravi ne na dena ulahna mujhe ki jalaya tujhe mainne path par kaDakti dhoop se
(vishvas rakho) pahunchaunga thaDak (doob bhari ghatiyon men) him ki shital
vayu se tere sharir ko—chal paDa gaDariya
kaha ye vayu ne safar ke taap mein harna nahin dam, karungi thanDa tere rom
rom ke pasine ko—chal paDa gaDariya
aaya gaDariya nange pair karta chhiDakav pairon ke rakt ka shool bhari jhaDiyon mein se
sonamarg keran aur drava ki ghatiyon mein se―chal paDa gaDariya
aaya hota hua hanpti hui bheDon aur bakriyon ko tikhi chattanon par se tilo par se,
aur hua pravesh iska ek meer shikari ki bhanti doob
bhari ghati men—chal paDa gaDariya
lagi pighalne jami hui preet him khanDo ki isi ke prem mein
aur khil utha matha parvton aur pahaDo ka—chal paDa gaDariya. . .
aaya svay bhagya ka shilpi mano bunta hua chadre prapat ki
kyonki suchana thi aane ki nang dhaDag gaDariye ki—chal paDa gaDariya. . .
bichh gaya pharsh makhmal ka sthaan sthaan par hariyali ka kyonki aaya hai door se
atithi ek thaka hara— chal paDa gaDariya. . .
i nadi bhi isi ke anurag se garajti hui uchhalti hui
panchal parvat ke him shikhro se parantu jal rahi deh iski thakan se—chal paDa
ban mein iske meet iski sakhiyan yahi bheDe yahi bakriyan yahin gayen
bitata rahta din saath inhi ke—chal paDa gaDariya. . .
baith gaya choti par jaise ek vaiz (updeshak) jo uttara ho satven akash se
aur mano bana raha ho bhed bhagya ke—chal paDa gaDariya. . .
jhoom utha ban sara iski murli ki taan se aur sun rahe hain kaan dekar
ye cheeD aur ye devdar mano ek naya yauvan aaya ho peDon men—
chal paDa gaDariya. . .
chaDha senapati tilon par mano sena lekar apne revaD ki ghumata hua
apni lathiya ko
aur toDta hua gaurav parvat ka—chal paDa gaDariya
munh mein pani bhar aaya bheDiyo aur chiton ke dekhkar bheD bakriyon ko
unki garaj se sara ban kap utha—chal paDa gaDariya
phir baith gaya gaDariya ek alav jalakar rakhvali karta
ek pita ki bhanti apne bachchon ki or se laDta raha kushti richhon se—
chal paDa gaDariya
jab aaya chain sa nishchintta si aur hui mast doob bhari ghati men
ye meDe aur bakriyan, i yaad gaDariye ko apne ghar kee—
chal paDa gaDariya
chal paDa tha prem ki ghatiyon ki or jab phool khil rahe the vasant
mein aur lauta ghar ko ab patjhaD mein, pahuncha ghar jab mano phir se janm liya
maan ki kokh se―chal paDa gaDariya
aaya kavi “phani bhi prem ki ghati mein sunne sangit dard ke saaj ka
aaya lai mein sunkar taan kisi murli ki—chal paDa gaDariya

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 209)
रचनाकार : पीताम्बर नाथ दर फानी
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.