एक दिन
ग़लतियाँ गिनाने वाले
सुधारने वाले
सभ्यता की ओर उन्मुख करने वाले
धरातलीय चेतना से जोड़ने वाले
बैल, गाय, बकरी, भेड़ें पालने वाले
अस्तित्वबोध कराने वाले
बाज़ारवाद की निंदा करने वाले
बेगारी आधुनिकता से लड़ने वाले
मूर्ख बन जाएँगे
आप ही
और इनसे परिष्कृत हुए लोग
जो होंगे सभ्य और सुशील
आगे बढ़ जाएँगे
और सँभालेंगे राष्ट्र
वे निर्धारण करेंगे
हमारी साँस का
हमारी ज़मीन का
हमारी सभ्यताओं के समय का
और धरती पर हमारे अस्तित्व का
कि हम ज़रूरी हैं
या ग़ैरज़रूरी।
एक दिन
उलटफेर होगा
जातियाँ आपस में घुल-मिल जाएँगी
लोग आपने लोगों को ढूँढ़ेंगे
बेतहाशा।
एक दिन
खेत-खलिहान बंजर हो जाएँगे
लोग खाएँगे
उसी खेत में लगी फ़ैक्ट्री के
प्लास्टिक का अनाज।
एक दिन
सिंधु घाटी सभ्यता के कंकाल
बोल उठेंगे अपनी भाषा में
और बताएँगे अपना
वास्तविक समय।
एक दिन
समय चलेगा
अपनी दोगुनी चाल से
पकड़ने के लिए
मनुष्य की रफ़्तार।
एक दिन
योजक चिह्न
अस्तित्वहीन हो जाएँगे
और विलोम शब्द
लगभग अर्थहीन।
एक दिन
महिलाएँ
पुरुष हो जाएँगी
और पुरुष
महिलाएँ।
एक दिन
हरा और लाल में
भेद करने वाले
हो जाएँगे
काले।
एक दिन
जब ये सब होगा
हम नहीं होंगे
होंगे केवल वही
जिनकी पुस्तें इसकी ज़िम्मेदार हैं।
ek din
galatiyan ginane vale
sudharne vale
sabhyata ki or unmukh karne vale
dharataliy chetna se joDne vale
bail, gaay, bakri, bheDen palne vale
astitvbodh karane vale
bazaravad ki ninda karne vale
begari adhunikta se laDne vale
moorkh ban jayenge
aap hi.
aur inse parishkrit hue log
jo honge sabhy aur sushil
aage baDh jayenge
aur sambhalenge rashtra
ve nirdharan karenge
hamari saans ka
hamari zamin ka
hamari sabhytaon ke samay ka
aur dharti par hamare astitv ka
ki hum zaruri hain
ya ghairazruri.
ek din
ulatpher hoga
jatiyan aapas mein ghul mil jayengi
log aapne logon ko DhunDhenge
bethasa.
ek din
khet khalihan banjar ho jayenge
log khayenge
usi khet mein lagi faiktri ke
plastic ka anaj.
ek din
sindhu ghati sabhyata ke kankal
bol uthenge apni bhasha men
aur batayenge apna
vastavik samay.
ek din
samay chalega
apni doguni chaal se
pakaDne ke liye
manushya ki raftar.
ek din
yojak chihn
astitvhin ho jayenge
aur vilom shabd
lagbhag arthahin.
ek din
mahilayen
purush ho jayengi
aur purush
mahilayen.
ek din
hara aur laal men
bhed karne vale
ho jayenge
kale.
ek din
jab ye sab hoga
hum nahin honge
honge keval vahi
jinki pusten iski zimmedar hain.
ek din
galatiyan ginane vale
sudharne vale
sabhyata ki or unmukh karne vale
dharataliy chetna se joDne vale
bail, gaay, bakri, bheDen palne vale
astitvbodh karane vale
bazaravad ki ninda karne vale
begari adhunikta se laDne vale
moorkh ban jayenge
aap hi.
aur inse parishkrit hue log
jo honge sabhy aur sushil
aage baDh jayenge
aur sambhalenge rashtra
ve nirdharan karenge
hamari saans ka
hamari zamin ka
hamari sabhytaon ke samay ka
aur dharti par hamare astitv ka
ki hum zaruri hain
ya ghairazruri.
ek din
ulatpher hoga
jatiyan aapas mein ghul mil jayengi
log aapne logon ko DhunDhenge
bethasa.
ek din
khet khalihan banjar ho jayenge
log khayenge
usi khet mein lagi faiktri ke
plastic ka anaj.
ek din
sindhu ghati sabhyata ke kankal
bol uthenge apni bhasha men
aur batayenge apna
vastavik samay.
ek din
samay chalega
apni doguni chaal se
pakaDne ke liye
manushya ki raftar.
ek din
yojak chihn
astitvhin ho jayenge
aur vilom shabd
lagbhag arthahin.
ek din
mahilayen
purush ho jayengi
aur purush
mahilayen.
ek din
hara aur laal men
bhed karne vale
ho jayenge
kale.
ek din
jab ye sab hoga
hum nahin honge
honge keval vahi
jinki pusten iski zimmedar hain.
स्रोत :
रचनाकार : प्रखर शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.