जो हमारे भरोसों के साथी थे
आओ उन्हें सहेजें और कुछ उपाय करें
ताकि न टूटे ज़िंदगी का ज़रूरी नाता।
मसलन कुएँ और बावड़ी
जिन पर सबसे ज़्यादा है तकनीक की मार
भले ही आज जो लगते हैं
सबसे अधिक प्रासंगिक
जबकि चेतावनी यही है कि
अगली लड़ाई
इस धरती पर पानी के लिए होगी।
एक खुरपी एक फावड़ा
और हो सके तो एक हँसिया भी
जिनके बिना अनाज तो क्या तुम गमले में
एक फूल भी नहीं उगा सकते।
कच्चापन तो बेहद ज़रूरी है
जिसे बचाया ही जाना चाहिए
वह चाहे भाषा का हो या स्वाद का
क्योंकि पकी हुई चीज़ों पर भरोसा करना
मूर्खता ही होगी एक सीमा के बाद।
हो सके तो एक पेड़ भी
वह हो सकता है कुछ भी, नाम लेना व्यर्थ है
जहाँ तक मेरी पसंद का सवाल है
तो नीम और आम का ही नाम लूँगा
ताकि मिल सके तुम्हें तुम्हारे हिस्से की प्राणवायु
थोड़ी-सी हँसी
जो लापता होती चीज़ों में सबसे सुंदर है
क्योंकि इस समय दो तरह के लोग हैं
एक वे जिनकी हँसी भयानक एवं पाखंडपूर्ण है
और दूसरे वे जिनका चेहरा जैसे करेला।
चेतना की ओरदावन तो सबसे बेशक़ीमती है
और जो सबसे बेशक़ीमती है
ज़ाहिर है सबसे सख़्त ज़रूरत भी उसी की है
क्योंकि मेरे समय की खाट बहुत ढीली है।
और भी बहुत कुछ है जिन्हें बचाना ज़रूरी है
जैसे थोड़ी-थोड़ी आग
थोड़ा-थोड़ा रंग
थोड़ा-थोड़ा राग
थोड़ा-थोड़ा प्यार
थोड़ा-थोड़ा रंज
थोड़ी-थोड़ी भाषा
थोड़ी-थोड़ी गाथा
वे सब कुछ मेरे दोस्त जिनसे ज़िंदगी रौशन है।
jo hamare bharoson ke sathi the
aao unhen sahejen aur kuch upaay karen
taki na tute zindagi ka zaruri nata.
masalan kuen aur bavDi
jin par sabse zyada hai taknik ki maar
bhale hi aaj jo lagte hain
sabse adhik prasangik
jabki chetavni yahi hai ki
agli laDai
is dharti par pani ke liye hogi.
ek khurpi ek phaoDa
aur ho sake to ek hansiya bhi
jinke bina anaj to kya tum gamle men
ek phool bhi nahin uga sakte.
kachchapan to behad zaruri hai
jise bachaya hi jana chahiye
wo chahe bhasha ka ho ya svaad ka
kyonki paki hui chizon par bharosa karna
murkhata hi hogi ek sima ke baad.
ho sake to ek peD bhi
wo ho sakta hai kuch bhi, naam lena byarth hai
jahan tak meri pasand ka saval hai
to neem aur aam ka hi naam lunga
taki mil sake tumhein tumhare hisse ki pranavayu
thoDi si hansi
jo lapata hoti chizon mein sabse sundar hai
kyonki is samay do tarah ke log hain
ek ve jinki hansi bhayanak evan pakhanDpurn hai
aur dusre ve jinka chehra jaise karela.
chetna ki ordavan to sabse beshakimati hai
aur jo sabse beshakimati hai
zahir hai sabse sakht zarurat bhi usi ki hai
kyonki mere samay ki khaat bahut Dhili hai.
aur bhi bahut kuch hai jinhen bachana zaruri hai
jaise thoDi thoDi aag
thoDa thoDa rang
thoDa thoDa raag
thoDa thoDa pyaar
thoDa thoDa ranj
thoDi thoDi bhasha
thoDi thoDi gatha
wo sab kuch mere dost jinse zindagi raushan hai.
jo hamare bharoson ke sathi the
aao unhen sahejen aur kuch upaay karen
taki na tute zindagi ka zaruri nata.
masalan kuen aur bavDi
jin par sabse zyada hai taknik ki maar
bhale hi aaj jo lagte hain
sabse adhik prasangik
jabki chetavni yahi hai ki
agli laDai
is dharti par pani ke liye hogi.
ek khurpi ek phaoDa
aur ho sake to ek hansiya bhi
jinke bina anaj to kya tum gamle men
ek phool bhi nahin uga sakte.
kachchapan to behad zaruri hai
jise bachaya hi jana chahiye
wo chahe bhasha ka ho ya svaad ka
kyonki paki hui chizon par bharosa karna
murkhata hi hogi ek sima ke baad.
ho sake to ek peD bhi
wo ho sakta hai kuch bhi, naam lena byarth hai
jahan tak meri pasand ka saval hai
to neem aur aam ka hi naam lunga
taki mil sake tumhein tumhare hisse ki pranavayu
thoDi si hansi
jo lapata hoti chizon mein sabse sundar hai
kyonki is samay do tarah ke log hain
ek ve jinki hansi bhayanak evan pakhanDpurn hai
aur dusre ve jinka chehra jaise karela.
chetna ki ordavan to sabse beshakimati hai
aur jo sabse beshakimati hai
zahir hai sabse sakht zarurat bhi usi ki hai
kyonki mere samay ki khaat bahut Dhili hai.
aur bhi bahut kuch hai jinhen bachana zaruri hai
jaise thoDi thoDi aag
thoDa thoDa rang
thoDa thoDa raag
thoDa thoDa pyaar
thoDa thoDa ranj
thoDi thoDi bhasha
thoDi thoDi gatha
wo sab kuch mere dost jinse zindagi raushan hai.
स्रोत :
रचनाकार : अनिल त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.