जैसे आया
पूर्व-सूचना के साथ—
एक सूचना की ही शक्ल में—
वैसे न जाऊँ
जिस दिन जाऊँ
उसमें पर्याप्त रोज़मर्रापन हो
उस दिन के बाबत
आकाश
किंचित् भी बड़बोला न हो,
सूरज हो
और दिनों-सा ताप लिए हुए,
सुबह हो
बिस्तर छोड़ने के अनमनेपन से भरी हुई
किसी की न फड़के
बाईं आँख,
किसी के ऊप्पर
न बैठे काग,
इस संबंध में
किसी को
न हो कोई
पूर्वाभास
और जिसके ऊप्पर
बैठे काग,
जिसकी फड़के
बाईं आँख
वह न मानता हो
यह सब
आदम,
घिसे-पिटे
अंधविश्वास
फिर, किसी को भी
मेरा जाना
जाना न लगे
कहीं कोई
रिक्तता न आए,
कहीं कोई अपूर्णता
कि वाक़ई जाने के पहले
लगभग जा चुका होऊँ—
उन सबके जीवन से
जिनके जीवन में
थोड़ा-बहुत भी
था—
और, इस वाक़ई और लगभग के बीच
एक लंबी और अलंघ्य दूरी हो
किसी ने बाक़ायदे
मेरी जगह ले ली हो
सब मेरी अनुपस्थिति के
इतने आदी हो चुके हों
कि जब ख़बर लगे
मेरे जा चुकने की
तब किसी को रत्ती भर
न महसूस हो अकेलापन,
किसी को खटके
न खले, लेशमात्र
आराम से टूटें निवाले—
हलक़ में किसी के
रोटियाँ न अटकें,
किसी की बिरयानी का
ज़ाइक़ा न बिगड़े
किसी को न देकर जाऊँ
मसान-बैराग
सब वैसे के वैसे रहें
घर-बार, गिरस्ती आदि की
उलझनों में उलझे हुए,
काम-धंधों से पटे हुए
सब वैसा का वैसा रहे
हाँ, असुंदर, सुंदर हो
और सुंदर को सौंदर्य की किसी
पुरातन परिभाषा के अंतर्गत
परिभाषित न किया जाए
किसी भी देश का झंडा
न झुकाया जाए,
न तोपें चलें,
न बलवा मचे,
कोई हो-हल्ला न हो
बस चला जाऊँ
और किसी को
कानों-कान ख़बर तक न हो
jaise aaya
poorw suchana ke sath—
ek suchana ki hi shakl mein—
waise na jaun
jis din jaun
usmen paryapt rozmarrapan ho
us din ke babat
akash
kinchit bhi baDbola na ho,
suraj ho
aur dinon sa tap liye hue,
subah ho
bistar chhoDne ke anamnepan se bhari hui
kisi ki na phaDke
bain ankh,
kisi ke uppar
na baithe kag,
is sambandh mein
kisi ko
na ho koi
purwabhas
aur jiske uppar
baithe kag,
jiski phaDke
bain ankh
wo na manata ho
ye sab
adam,
ghise pite
andhwishwas
phir, kisi ko bhi
mera jana
jana na lage
kahin koi
riktata na aaye,
kahin koi apurnata
ki waqi jane ke pahle
lagbhag ja chuka houn—
un sabke jiwan se
jinke jiwan mein
thoDa bahut bhi
tha—
aur, is waqi aur lagbhag ke beech
ek lambi aur alanghya duri ho
kisi ne baqayde
meri jagah le li ho
sab meri anupasthiti ke
itne aadi ho chuke hon
ki jab khabar lage
mere ja chukne ki
tab kisi ko ratti bhar
na mahsus ho akelapan,
kisi ko khatke
na khale, leshamatr
aram se tuten niwale—
halaq mein kisi ke
rotiyan na atken,
kisi ki biryani ka
zaiqa na bigDe
kisi ko na dekar jaun
masan bairag
sab waise ke waise rahen
ghar bar, girasti aadi ki
ulajhnon mein uljhe hue,
kaam dhandhon se pate hue
sab waisa ka waisa rahe
han, asundar, sundar ho
aur sundar ko saundarya ki kisi
puratan paribhasha ke antargat
paribhashit na kiya jaye
kisi bhi desh ka jhanDa
na jhukaya jaye,
na topen chalen,
na balwa mache,
koi ho halla na ho
bus chala jaun
aur kisi ko
kanon kan khabar tak na ho
jaise aaya
poorw suchana ke sath—
ek suchana ki hi shakl mein—
waise na jaun
jis din jaun
usmen paryapt rozmarrapan ho
us din ke babat
akash
kinchit bhi baDbola na ho,
suraj ho
aur dinon sa tap liye hue,
subah ho
bistar chhoDne ke anamnepan se bhari hui
kisi ki na phaDke
bain ankh,
kisi ke uppar
na baithe kag,
is sambandh mein
kisi ko
na ho koi
purwabhas
aur jiske uppar
baithe kag,
jiski phaDke
bain ankh
wo na manata ho
ye sab
adam,
ghise pite
andhwishwas
phir, kisi ko bhi
mera jana
jana na lage
kahin koi
riktata na aaye,
kahin koi apurnata
ki waqi jane ke pahle
lagbhag ja chuka houn—
un sabke jiwan se
jinke jiwan mein
thoDa bahut bhi
tha—
aur, is waqi aur lagbhag ke beech
ek lambi aur alanghya duri ho
kisi ne baqayde
meri jagah le li ho
sab meri anupasthiti ke
itne aadi ho chuke hon
ki jab khabar lage
mere ja chukne ki
tab kisi ko ratti bhar
na mahsus ho akelapan,
kisi ko khatke
na khale, leshamatr
aram se tuten niwale—
halaq mein kisi ke
rotiyan na atken,
kisi ki biryani ka
zaiqa na bigDe
kisi ko na dekar jaun
masan bairag
sab waise ke waise rahen
ghar bar, girasti aadi ki
ulajhnon mein uljhe hue,
kaam dhandhon se pate hue
sab waisa ka waisa rahe
han, asundar, sundar ho
aur sundar ko saundarya ki kisi
puratan paribhasha ke antargat
paribhashit na kiya jaye
kisi bhi desh ka jhanDa
na jhukaya jaye,
na topen chalen,
na balwa mache,
koi ho halla na ho
bus chala jaun
aur kisi ko
kanon kan khabar tak na ho
स्रोत :
रचनाकार : कुशाग्र अद्वैत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.