अकाल में
पानी बरसता है
आँसुओं की तरह
और फ़सल
साँसों की तरह
लपट में दहक जाती है
लपट लिपटती तो कभी नहीं
फफोलती है
जलन के हाथ-पाँव
जाल से फैलते हैं
और हड्डियों को
भूख की बारीक़ रेती से
कोई रेतता जाता है
जब जलने की तरह
भूख का बढ़ना
केंचुए की तरह
वहीं-वहीं सरकता है
तब लोहे की सिल्ली भी
चर्र से चबाने का सुख
दाँतों से लटककर लालायित
झूलता रहता है
मिलना कभी नहीं होता
बस उतरना
गिरना
गड़ना
और सूखकर खड़े हो जाना
मजबूरी में
हथेलियाँ रगड़ते हुए
तोड़ पाना फल
रह जाना
और झेल पाना
अकाल को
या भूख को
भाषा में फैलाना भर
फैलाना...
क्योंकि अभी बयार बहुत तेज़ नहीं चलती
जंगल हुँकारता नहीं
भर सुरसुराता है तेज़
नए पत्तों को
पतझरी खड़-खड़
उच्चरित नहीं होती
पत्थरी दरारों में फँसकर कुचलकर
बवंडर बन जाने की तरह
नहीं हो पाता तेज़
जलन की धुँध का स्वाद
तड़फ जाता है
पैरों तक चीरता
अकाल कुतरता नहीं
चीरता है फाड़ता है
भेजे में सोच की मिर्च
भर देने की तरह
तब भूखे पेट के खलिहान में
जर्जरित शरीर की खोहों से
बाहर निकली तलाश!
और तलाश
जब सूखते ख़ून की गवाह हो
तो कितनी बंजर
और ख़ूँख़ारों से निपटने
बढ़ी हुई दिशा के
सूर्य की तलाश हो सकती है!
झूठे आश्वासनों का गहराता अँधेरा
भाषणों में भाषा की कालाबाज़ारी
और मरुस्थली महँगाई का
बढ़ता हुआ थकाता बोझ
आँखों का सफ़ेद अँधेरा
असल में भाषा का अकाल
भी गहरा हो गया है
भूखी संवेदना की पत्तियों की
खड़खड़ाहट शेष है भर
अकाल से भूखी आवाज़ें
इस भाषा की बंद दीवालों के
दरवाज़ों को
नोचती-खरोंचती हुईं
हालात के शब्द संस्कारों से
देश को देखना
उचारना माँगती हैं
नंगी और घायल
और उसी हद तक हकलाती भाषा
संकट की दरार में फँसे
मनुष्यों के सरोकार से
काँच के टुकड़ों से छिदे दृश्यों
और चीरती ध्वनियों से भाषा
मस्तिष्क को छेदने की तरह
उतरती है
ख़ून की तरह टपकने से तड़फड़ा जाती है
अस्तव्यस्त लटपटा लथपथा जाती है
और इस अधूरेपन में अकाल
अकाल की तरह सब कुछ सुन रहा है
और बहरे लोगों की समझ को बुन रहा है
मेरे सिर पर बैठा गिद्ध
कुछ नहीं बोलता
और कंधे पर जबरन छुट्टा आ बैठे
कौए की चोंच
गले में ज़रूरती छेदकर
स्वर यंत्र के इर्द-गिर्द
पकड़ मज़बूत कर रही है
और सचमुच
भूख और भाषा कितनी सगी हैं
कि अकाल की आँखें मुझे घूर रही हैं
लेकिन अब यह भाषा
भखराती नहीं
पहाड़ और नदियों से रचे हुए भूगोल में
शब्दों को आदमियों की तरह
समझा-समझाकर सँभालती है
तभी शंखों या घोंघों के अंदर की
जोंको के ख़ाली घर से
यह गुँगवाती ध्वनि की चीत्कार से
घृणा करती है
भाषा असल बीज से पनपी
फ़सल को पकाने वाली
तेज़ होती धूप का संस्कार भी होती है
जिसमें ज़िंदगी का घिसा हुआ चंदन
उमड़-घुमड़ उठता है
ख़ून में मिलकर बरसते-कड़कते
वज्र में बदल जाता है
बादल हो जाता है
बरस कर बो जाता है
तब अकाल कभी नहीं आता
तब अकाल कहीं नहीं होता
नहीं होता कहीं भी!
akal mein
pani barasta hai
ansuon ki tarah
aur fasal
sanson ki tarah
lapat mein dahak jati hai
lapat lipatti to kabhi nahin
phapholti hai
jalan ke hath panw
jal se phailte hain
aur haDDiyon ko
bhookh ki bariq reti se
koi retta jata hai
jab jalne ki tarah
bhookh ka baDhna
kenchue ki tarah
wahin wahin sarakta hai
tab lohe ki silli bhi
charr se chabane ka sukh
danton se latakkar lalayit
jhulta rahta hai
milna kabhi nahin hota
bus utarna
girna
gaDna
aur sukhkar khaDe ho jana
majburi mein
hatheliyan ragaDte hue
toD pana phal
rah jana
aur jhel pana
akal ko
ya bhookh ko
bhasha mein phailana bhar
phailana
kyonki abhi bayar bahut tez nahin chalti
jangal hunkarata nahin
bhar surasurata hai tez
nae patton ko
patajhri khaD khaD
uchcharit nahin hoti
patthri dararon mein phansakar kuchalkar
bawanDar ban jane ki tarah
nahin ho pata tez
jalan ki dhundh ka swad
taDaph jata hai
pairon tak chirta
akal kutarta nahin
chirta hai phaDta hai
bheje mein soch ki mirch
bhar dene ki tarah
tab bhukhe pet ke khalihan mein
jarjarit sharir ki khohon se
bahar nikli talash!
aur talash
jab sukhte khoon ki gawah ho
to kitni banjar
aur khunkharon se nipatne
baDhi hui disha ke
surya ki talash ho sakti hai!
jhuthe ashwasnon ka gahrata andhera
bhashnon mein bhasha ki kalabazari
aur marusthli mahngai ka
baDhta hua thakata bojh
ankhon ka safed andhera
asal mein bhasha ka akal
bhi gahra ho gaya hai
bhukhi sanwedna ki pattiyon ki
khaDkhaDahat shesh hai bhar
akal se bhukhi awazen
is bhasha ki band diwalon ke
darwazon ko
nochti kharonchti huin
halat ke shabd sanskaron se
desh ko dekhana
ucharna mangti hain
nangi aur ghayal
aur usi had tak haklati bhasha
sankat ki darar mein phanse
manushyon ke sarokar se
kanch ke tukDon se chhide drishyon
aur chirti dhwaniyon se bhasha
mastishk ko chhedne ki tarah
utarti hai
khoon ki tarah tapakne se taDphaDa jati hai
astawyast latapta lathaptha jati hai
aur is adhurepan mein akal
akal ki tarah sab kuch sun raha hai
aur bahre logon ki samajh ko bun raha hai
mere sir par baitha giddh
kuch nahin bolta
aur kandhe par jabran chhutta aa baithe
kaue ki chonch
gale mein zarurti chhedkar
swar yantr ke ird gird
pakaD mazbut kar rahi hai
aur sachmuch
bhookh aur bhasha kitni sagi hain
ki akal ki ankhen mujhe ghoor rahi hain
lekin ab ye bhasha
bhakhrati nahin
pahaD aur nadiyon se rache hue bhugol mein
shabdon ko adamiyon ki tarah
samjha samjhakar sambhalti hai
tabhi shankhon ya ghonghon ke andar ki
jonko ke khali ghar se
ye gungwati dhwani ki chitkar se
ghrina karti hai
bhasha asal beej se panpi
fasal ko pakane wali
tez hoti dhoop ka sanskar bhi hoti hai
jismen zindagi ka ghisa hua chandan
umaD ghumaD uthta hai
khoon mein milkar baraste kaDakte
wajr mein badal jata hai
badal ho jata hai
baras kar bo jata hai
tab akal kabhi nahin aata
tab akal kahin nahin hota
nahin hota kahin bhee!
akal mein
pani barasta hai
ansuon ki tarah
aur fasal
sanson ki tarah
lapat mein dahak jati hai
lapat lipatti to kabhi nahin
phapholti hai
jalan ke hath panw
jal se phailte hain
aur haDDiyon ko
bhookh ki bariq reti se
koi retta jata hai
jab jalne ki tarah
bhookh ka baDhna
kenchue ki tarah
wahin wahin sarakta hai
tab lohe ki silli bhi
charr se chabane ka sukh
danton se latakkar lalayit
jhulta rahta hai
milna kabhi nahin hota
bus utarna
girna
gaDna
aur sukhkar khaDe ho jana
majburi mein
hatheliyan ragaDte hue
toD pana phal
rah jana
aur jhel pana
akal ko
ya bhookh ko
bhasha mein phailana bhar
phailana
kyonki abhi bayar bahut tez nahin chalti
jangal hunkarata nahin
bhar surasurata hai tez
nae patton ko
patajhri khaD khaD
uchcharit nahin hoti
patthri dararon mein phansakar kuchalkar
bawanDar ban jane ki tarah
nahin ho pata tez
jalan ki dhundh ka swad
taDaph jata hai
pairon tak chirta
akal kutarta nahin
chirta hai phaDta hai
bheje mein soch ki mirch
bhar dene ki tarah
tab bhukhe pet ke khalihan mein
jarjarit sharir ki khohon se
bahar nikli talash!
aur talash
jab sukhte khoon ki gawah ho
to kitni banjar
aur khunkharon se nipatne
baDhi hui disha ke
surya ki talash ho sakti hai!
jhuthe ashwasnon ka gahrata andhera
bhashnon mein bhasha ki kalabazari
aur marusthli mahngai ka
baDhta hua thakata bojh
ankhon ka safed andhera
asal mein bhasha ka akal
bhi gahra ho gaya hai
bhukhi sanwedna ki pattiyon ki
khaDkhaDahat shesh hai bhar
akal se bhukhi awazen
is bhasha ki band diwalon ke
darwazon ko
nochti kharonchti huin
halat ke shabd sanskaron se
desh ko dekhana
ucharna mangti hain
nangi aur ghayal
aur usi had tak haklati bhasha
sankat ki darar mein phanse
manushyon ke sarokar se
kanch ke tukDon se chhide drishyon
aur chirti dhwaniyon se bhasha
mastishk ko chhedne ki tarah
utarti hai
khoon ki tarah tapakne se taDphaDa jati hai
astawyast latapta lathaptha jati hai
aur is adhurepan mein akal
akal ki tarah sab kuch sun raha hai
aur bahre logon ki samajh ko bun raha hai
mere sir par baitha giddh
kuch nahin bolta
aur kandhe par jabran chhutta aa baithe
kaue ki chonch
gale mein zarurti chhedkar
swar yantr ke ird gird
pakaD mazbut kar rahi hai
aur sachmuch
bhookh aur bhasha kitni sagi hain
ki akal ki ankhen mujhe ghoor rahi hain
lekin ab ye bhasha
bhakhrati nahin
pahaD aur nadiyon se rache hue bhugol mein
shabdon ko adamiyon ki tarah
samjha samjhakar sambhalti hai
tabhi shankhon ya ghonghon ke andar ki
jonko ke khali ghar se
ye gungwati dhwani ki chitkar se
ghrina karti hai
bhasha asal beej se panpi
fasal ko pakane wali
tez hoti dhoop ka sanskar bhi hoti hai
jismen zindagi ka ghisa hua chandan
umaD ghumaD uthta hai
khoon mein milkar baraste kaDakte
wajr mein badal jata hai
badal ho jata hai
baras kar bo jata hai
tab akal kabhi nahin aata
tab akal kahin nahin hota
nahin hota kahin bhee!
स्रोत :
रचनाकार : मलय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.